waheed ahmed
07-14-2014, 05:24 AM
zindagii khaak NasheeN hone tak
ber-malaa izhaar-e-wafaa kerte haiN
apnii loh-e-jabeeN ko zameeN khane maiN
ba iltifaat-e-Khudaa baar baar rakhte haiN
Hijar-e-janooN se jab bhi hosh aa jaaye
Baargaah-e-aqdas maiN giryaa zaar zaar kerte haiN
But-kaday maiN jab ba-unwan-e-sanm
zikr-e-yaar yaar kerte thay
Jaise pather se ham ahl-e-safaa
Be-qaraar dil ki baqaa mangte thay
S0! ab ke rawish na jaane kyaa ho
shayed ke kisi shaam bhooli huwii raahouN se
yak baar lout aayeN ge yaa!
shayed ke kisi waqt ham bhii
Kaanch ke saaghar ki taraH toot jaayeN ge
waheed ahmed dt.21.5.2013