Mohammad Sajjad
07-03-2014, 01:26 PM
gham k marun k sisaknay ka samaan dekha ha
dard insan k pehlu main jwan dekha ha
dard or dukh to milay mil na saka dil ko sukoon
dil k har parday main ek gham ko nihaan dekha ha
gulshan aabad tah e daam e sayadaan hi raha
har jaga bulbuloon ko mehv e fighaan dekha ha
pinhaan rehti hi nahi aatish e ulfat ki tapash
Quais o Farhad k jalnay ka dhuwaan dekha ha
kis qadar zulm ha insaan ka insaan k sath
waqt ki ankh se ashkoon ko rawaan dekha ha
kis k ajanay se ai FAZAL teray hosh uray
yad tak bhi na raha kis ko kahan dekha ha