Log in

View Full Version : Iqrar_e_wafa karna,phir us se mukar jana,


pakeeza
05-19-2014, 09:58 AM
Aawargi mein MOHSIN iss ko Bhi hunar jana,

Iqrar_e_wafa karna,phir us se mukar jana,

Jab khawab nahi koi,kya zindagi ka karna,

Har subah ko jee uthna har raat ko maar jana,

Shab bhar ka Thikana tou ik chaht ke siwa kya hai,

Kya waqt pay ghar ana,kya dair se ghar jana,

Aisa na ho darya mein tum baar-e-giraa'n thehro,

Jab log ziyada hon,kashti se utar jana,

Suqraat ke peeney sey kya mujh pe ayaa'n hota,

Khud zehar piya mein ne, tb us ka asar jana,

Jab bhi nazar aao gay hum tum ko pukarein gay,

Chaho to thehar jana,

Chaho to guzar jana..!
--

Flower~
05-19-2014, 10:37 AM
Aawargi mein MOHSIN iss ko Bhi hunar jana,

Iqrar_e_wafa karna,phir us se mukar jana,


superb one

(‘“*JiĢäR*”’)
05-19-2014, 11:26 AM
,,:bu:

Rania
06-05-2014, 11:52 AM
Very Nice sharing

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.