umair8005
04-12-2009, 06:11 PM
Dard kaisa Bhi ho Ankh Nam na karo
Raat kaali sahi koi Gham na karo
ik Sitara Bano Jagmagatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Baant'ni Hai Agar Baant Lo Har khushi
Gham na Zahir karo Tum kisi Per kabhi
Dil ki Gehraai Mein Gham Chupatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Ashk Anmool Hein kho Na Dena kahin
in ki Har Boond Hai Motiyoon Se Haseen
in ko Har Ankh se Tum Churatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Faaslay kam karo Dil Milatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho...
Raat kaali sahi koi Gham na karo
ik Sitara Bano Jagmagatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Baant'ni Hai Agar Baant Lo Har khushi
Gham na Zahir karo Tum kisi Per kabhi
Dil ki Gehraai Mein Gham Chupatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Ashk Anmool Hein kho Na Dena kahin
in ki Har Boond Hai Motiyoon Se Haseen
in ko Har Ankh se Tum Churatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Faaslay kam karo Dil Milatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho...