waheed ahmed
04-29-2014, 12:23 AM
Tazah kalam (Only for MF)
Nazm
Ab ye terii marzi he ay dost
meri chahat ko rashk chamn kaa gulaab samjh
Ya ashk-e-desht kaa phaila huwa suraab samjh
ya merii pighaltii huwii sansouN se bhikarti huwii
shab kaa koii tootaa huwaa khuwaab samjh
maiN bhi
Mitti ke putle maiN palti huwii jan maiN
behktii huwii rooh ka azaab samjhta houN
maiN bhi dil ki na rasaai maiN palne wali dhrkano kaa
hisaab samjhta houN
bas ab ye teri marzi he ay dost
ke merii zindagi ko
un kahe lafzouN wali koi kitab samjh
ya paimana e ashak se labraiz
un ginat chahtouN ke la mutanahii
silsile ka koi baab samjh