waheed ahmed
04-21-2014, 11:52 PM
QurbatouN maiN bhi judaaii ke zamane maange
dil wo be mehr ke rone ke bahane maange
apna ye hal ke ji haar chuke lut bhi chuke
aur muhabbat wohi andaz purane maange
ham na hote tu kisi aur ke cherche hote
khalqat-e-shehr tu kehne ko fasaane maange
maiN wo mehroom ke jaise koi weerane ho
dil wo khush fehm kharabouN se khazane maange
yehi dil thaa ke terastaa thaa marasim ke liye
ab yehii terq-e-taaluq ke bahane maange
zindagi ham tere daghouN se rahe shermindah
aur tuu he ke sada aayna khaane maange
dill kisi haal maiN qnea hi nahi jaan-e-Fraaz
mil gaye tum bhi tu kia aur na jaane maange