waheed ahmed
04-20-2014, 11:10 PM
chalo choro muhabbat jhoot he
ahd-e-wafa ek shughal he be kaar logouN kaa
Talab ! sookhay huwe patouN kaa be ronaq jazeerah he
Khalish ! deemak zadah auraaq per boseedah satrouN ka zakhirah he
Khumar-e-wasal ! Tapti dhoop ke seene pe utrte badlouN kii raigaaN bakhshish
Ghubar-e-Hijar ! sehra maiN surabouN se aate mosam ka khamyaza
chalo choro
ke ab tak maiN andherouN ki dhamak maiN
saans ki zarbouN pe
chaht ke bina ruk ker
safr kerta raha thaa
Mujhe ehsaas hi kab thaa
ke tum bhi mousamouN ke sath
apne perhan ke rang badlo gi
chalo choro
wo sare khaab Kuchee bhurbharii
mitti ke be qeemat ghronday thay
wo sare zaiqe meri zubaaN pe
zakhm ben ke jam gaye hon ge
tumharii ungliiyouN ki narm pooraiN
patherouN pe naam likhtii theeN mera
Lekin tumharii ungliiyaaN tu
aadeten ye jurm karteeN theeN
chalo choro
safr maiN ajnabi logouN se
aise hadse ser zad huwa kerte haiN
saddiiyouN se
chalo choro
mera hona na hona ek baraber he
tum apne khal-o-khad ko aayene maiN
phir nikherne do
tum apni aankh ki basti maiN
phir se ek nyaa mosam utrany do
mere khaabouN ko merne do
naii tasweer daikho
phir nyaa maktoob likho
phir naye mosam naye lafzouN se
apna silsila joro
merii maaZii ki chahat raigaaN samjho
merii yadouN se kachay rabte toro
chalo choro
Muhabbat jhoot he
ahd-e-wafa shughal he be kaar logouN ka
ahd-e-wafa ek shughal he be kaar logouN kaa
Talab ! sookhay huwe patouN kaa be ronaq jazeerah he
Khalish ! deemak zadah auraaq per boseedah satrouN ka zakhirah he
Khumar-e-wasal ! Tapti dhoop ke seene pe utrte badlouN kii raigaaN bakhshish
Ghubar-e-Hijar ! sehra maiN surabouN se aate mosam ka khamyaza
chalo choro
ke ab tak maiN andherouN ki dhamak maiN
saans ki zarbouN pe
chaht ke bina ruk ker
safr kerta raha thaa
Mujhe ehsaas hi kab thaa
ke tum bhi mousamouN ke sath
apne perhan ke rang badlo gi
chalo choro
wo sare khaab Kuchee bhurbharii
mitti ke be qeemat ghronday thay
wo sare zaiqe meri zubaaN pe
zakhm ben ke jam gaye hon ge
tumharii ungliiyouN ki narm pooraiN
patherouN pe naam likhtii theeN mera
Lekin tumharii ungliiyaaN tu
aadeten ye jurm karteeN theeN
chalo choro
safr maiN ajnabi logouN se
aise hadse ser zad huwa kerte haiN
saddiiyouN se
chalo choro
mera hona na hona ek baraber he
tum apne khal-o-khad ko aayene maiN
phir nikherne do
tum apni aankh ki basti maiN
phir se ek nyaa mosam utrany do
mere khaabouN ko merne do
naii tasweer daikho
phir nyaa maktoob likho
phir naye mosam naye lafzouN se
apna silsila joro
merii maaZii ki chahat raigaaN samjho
merii yadouN se kachay rabte toro
chalo choro
Muhabbat jhoot he
ahd-e-wafa shughal he be kaar logouN ka