PDA

View Full Version : kab tak aakhir ay herf-e-terb kab tak


waheed ahmed
04-16-2014, 10:41 PM
Nazm


Kab tak aakhir ay herf-e-terb kabtak
In maayousiouN ke deryaa maiN behtaa rahouN gaa
shehr-e-hijar maiN afsaane traash.taa rahouN gaa
JunouN kii aakhrii serhadouN per
apne nafs ki khaatir
Kisi khaab ke tasulsal maiN
Takmeel-e-JunouN kii khatir
MuhabbtouN kii bheek mangta rahouN gaa
Tarpay gaa tu ay dil
youN hii Be sabab kab tak
Kab tak aakhir ay herf-e-terb kab tak

Ye hawis he ke Muhabbat
Kiaa tune kabhi isay janaa he
apna chehra aayna e fiker maiN
Kiaa tune abhi pehchaanaa he
apnii khudi maiN\apne derd pe lerzaaN he
Aur ye ju dukh haiN zamaane maiN
Kiaa tune kabhi unhaiN jaanaa he
Be sabab musafat ka kerb kab tak
kab tak aakhir ay herf e tern kab tak

(‘“*JiĢäR*”’)
04-18-2014, 10:49 AM
Very NIce

waheed ahmed
04-19-2014, 02:45 PM
thanks bro...

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.