View Full Version : tujh se milaa hii kab
waheed ahmed
04-11-2014, 12:17 AM
tujh se mila hi kab ju judaa ho jaaoN gaa
terii balaa se ger maiN khafaa ho jaaou gaa
achaa nahii lagtaa he her kisi se wafaa daar hona
tuu nahiiN tu maiN hii be wafaa ho jaaouN gaa
Mujh ko merii asliat hi maiN rhne de Naseh
itni tareef naa ker werna Khuda ho jaaouN gaa
waheed ahmed
04-11-2014, 12:33 AM
Nazm
Muhabbat lafz baDaa sadah he
Kaho kiaa iradaah he
aasmaaN bhii jhuktaa he
zamiiN pe ek rastaa he
Ye jurm na tera he na mera he
ager ser zed ho jaaye
tu dono kaa aadha aadha he
Kaho kiaa iradah he
KaafrouN ki bastii maiN
mere dill kii hastii maiN
Muhabbat ho jaaye ye mushkil he
mera dil kisi ke liye be kal ho jaye
ye mushkil he
kafirouN ki basti maiN
Muhabbat aik khamyazaa he
kaho kiaa iradah he
door kisi basti maiN
charagh ab bhi jalte haiN
roshnii ke gaahe gaahe
suraagh ab bhi milte haiN
lekin ye ju andhairah he
wo dilouN ke ander he
Naam le ke muhabbat kaa
kuch log waqt guzaarte haiN
roshnii kaa bahana he
lekin sab fasaanaa he
na koi yousaf he
na koi radhaa he
hahahahahha
kaho kiaa iradah he
MASOOM GIRL
04-11-2014, 07:53 AM
NiC3...
(‘“*JiĢäR*”’)
04-12-2014, 12:59 PM
Very Nice
waheed ahmed
04-13-2014, 12:12 AM
Masoom Girl and jiger ji THANKS a lot pl. keep visiting.
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.