PDA

View Full Version : Hamarii Dunyaa


waheed ahmed
04-10-2014, 11:34 PM
Dosto! aaj maiN aik aisa thred shru ker rahaa houN ju aap ko heran bhii kare gaa aur
kabhi aap ko sehr maiN bhi mubtalaa kere gaa ...
thank you.

Aur iss maiN ju mawaad ho ga yani ju tehreer ho gi wo merii apni ho gii Ju aasaanii se her kisi ki samjh maiN aa jaaye gii albatta ju videos hoN gii wo youtube kii hoN gii Nasa ki bhi hoN gii kuch maloomati bhi ho ga
ju jin ko maloom nahi un ki knowledge maiN izafa ho ga....so isi thred ko jarii rakhouN gaa.

tu Pl.stay with me on this thred . see you!


Sooraj Tawanaaii kaaa sab se baraa zeriaa he tu ham kehte haiN ke Heat tu ham jab bhi
temperature ko napte haiN tu is kii aaaii heat hi hoti he maslen ager ksi jagah ko thanda kerna he tu
ham kehte haiN ke is jgah se itnii kilo calories heat nikal dii jaaye tu ye jagah thandi ho jaaye gii.
tu heat aur pressure dono sath sath chalte hai, ager aap kisi cheez ka temperature barhaaiN ge tu
us cheez kaa presure bhi berH jaaye ga. misal ke tor pe pani ko liijiiye , pani ko aap garm kerte haiN tu
us ka aap temp. barhate haiN tu wo bhaap maiN tabdeel ho jata he pani ju aik jagah tehra huwa tha
wo bhap bane ke urhne laga kioN ke ap ne us ko temperature barhaya tu us ka presure baraha
aur pani gas maiN tabdeel ho giaa isi tarah jaise aap thanda karaiN ge tu ye barf ben jaaye ga isi terah
her cheez ka aik naqta injamad hota he aur melting point hota he ke bhaii ye cheez itna temp.per melt
ho jaye gi aur itne temperature per jam jaye gii..tu pani ka tu aap ko pata he 100 c pe boil ho ga
aur 0 c se kam pe berf ben jaye gii...is terah her gas ka her cheez ka ye temperaturs alg hote haiN
aap ke ghar maiN air cond he ye referigerator he aap sochte hoN ge ke ye Machine kis asool pe
kam kerti he ye kese thanda kerti he tu yehi asool he ke jab aap kisi cheez ki heat berhate haiN
tu pressure berhta he isi terah ager aap Pressure berhaiN ge tu heat bhi berhe gi aur jab pressure
kam ho ga tu heat kool maiN tabdeel ho jaye gii...tu bas ye machine yehi kam kerti he ke is maiN
compresor he ju gas ka preshure barhata he aur condencer maiN phaink deta he aur condenser ke
baad is gas ko daba diya yani expend ker diya jata he jis se us ka pressure aik dem kam hota he
aur jab pressure kam ho ga tu cooling shre ho jaaye gi.aur under aik Evaporater hota he gas
ko daba ker us maiN phaink deta he aur wo thanda ho jata he isi terah ye amel continious hota
he. tu wo room jis maiN heat hoti he wahaN se heat nikal deta he aur wo jagah thandi ho jati he.


Tu Temperature is most necessory Factor he hamarii life maiN yani hamaiN zindah
rakhta he tu zameen ka ju temperature he wo life ke liye theek he tu earth pe zindagi he werna ager is ka temperature 100 se oper chala jaaye tu life khatm ho jaaye gi...aur ju hamare nizam-e-shamsi maiN
ju syyare aate haiN tu wahaaN life nahii reh sakti kyouN ke wahaaN ke temperature hi aise haiN
ye maiN aage chal ker bataouN ga ke kis syyare ka kitna temp he............
MITTEE. Sand ye her is ka temperature berdasht ker sakti he is liye ju steel milz hot he us maIn
lohe ko pighlane ke liye us bhatti maiN mittee kii blocks lagaye jate haiN jis maiN temp. hazarouN digree C hota he ju lohe ko pighla deta he.. aur jitni bhi khalaii shuttles hoti haiN us ke charouN terf mitti kii
tyles lagaii jati haiN kyouN ke jab shuttle zameen ke madar maiN dakhil hoti he tu raggar kii wajah se
us ke charouN terf ju us ka body temperature hota he wa hazarouN digree centigrade berH jata he
jese shuttle kisi lohe ki bhatti maiN aa gaaii ho youN hota he is ke liye mulahiza kijiiye ye Nasa ki
video you tube per.

http://www.youtube.com/watch?v=RJzyB_qEWyU.ContD

MASOOM GIRL
04-11-2014, 09:07 AM
Nice/....

waheed ahmed
04-11-2014, 04:22 PM
thanks a lot Khush rahye.

Golden Tears
04-11-2014, 10:04 PM
PV= NRT .....

Good Sharing Bro

Akash
04-11-2014, 10:16 PM
Nice Info Bro..

(‘“*JiĢäR*”’)
04-12-2014, 12:59 PM
Very Nice

waheed ahmed
04-13-2014, 12:29 AM
Golden Tears ji
aakash jii
Jigar jii
Thanks a lot
Pl. keep visiting
the next show will be very soon.

bint-e-masroor
04-16-2014, 09:52 AM
Veri nice info khas tor par mitti ki khososeet jan ker harat hoi .Aap ny tu Matric yad diladya, my favrat subject

waheed ahmed
04-16-2014, 06:25 PM
thanks jii
but it is not a matter of matric or Phd.
its the necessity of my on going thredz when ever I have time I will share it.

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.