waheed ahmed
04-02-2014, 09:57 PM
Ayam-e-Hijar maiN khoud ko Tamasha bana lete haiN
Ham log khoud hi apna afsana banaa lete haiN
shab bher ju mehv-e-raqs thay perwane ki tarah ham
Po phat.te hi shamma se khoud ko baigana banaa lete haiN
terii naa kaa noshtaa dewaar ham ne bhii perhaa he
ham phir bhi khoud ko teraa dewaana bana lete haiN
tum ke naa mehram ho phir bhi tum ko aanaa ho gaa
pal bher ko is haqiiqat kaa afsana bana lete haiN