View Full Version : topic poetry
muhabbat
Mohabaton mai shumar kisa
yaqeen kaisa
guman kaisa
urooj kaisa
zawal kaisa
sawal kaisa
jawab kaisa
mohabtain to mohabtain hai
mohabaton mai hisab kaisa.....
احساس
اپنے احساس سے چھو کر مجھے صندل کر دو
میں صدیوں سے ادھورا ہوںمکمل کر دو
نہ تمہیں ہوش رہے اور نہ مجھے ہوش رہے
اس قدر ٹوٹ کے چاہو مجھے پاگل کر دو
تم ہتھیلی کو میرے پیار کی مہندی سے رنگو
اپنی آنکھوں میں میرے پیار کا کاجل کر دو
اس کے سائے میں میرے خواب اٹھیں گے
میرے چہرے پہ مہکتا ہوا آنچل کر دو
دھوپ ہی دھوپ ہوں میں ٹوٹ کے برسو مجھ پر
میں تو صحرا ہوں مجھے پیار کا بادل کر دو
وصی شاہ
anjani
09-08-2008, 11:14 PM
nice poetry ji
SHAYAN
09-08-2008, 11:55 PM
nyc
buhat buhat shukria anjani ji n shayan ji
tum azm walay ho
bala ka zabt rekhtay ho
tumhein koch b nahi ho ga
mager dekho...
jisay tum choor jatay ho
usay to teek se shaid
bicharna b nahi ata
tum to azm walay ho
usay mat choor k jana...
MOHABBAT THAHAR JAATI HAI
Mohabbat Thahar Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
Jisay hum piyaar kartay hain
Usay hum bhool baithay hain
Magar aisa nahin hota
Mohabbat daimi such hai
Mohabbat thahar jaati hai !!!
Hamari baat kay andar
Mohabbat baith jaati hai
Hamari zaat kay andar
Magar yeh kam nahin hoti
Kisi bhi dukh ki soorat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki thandak mein
Udaasi ki zaroorat mein
Kabhi baarish ki soorat mein
Hamari aankh kay andar
Kabhi aab-e-rawan ban kar
Kabhi qatray ki soorat mein
Bazahir aisa lagta hai
Usay hum bhool baithay hain
Magar aisa nahin hota
Magar aisa nahin hota....
Yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THAHAR JAATI HAI.. !!!
__________________
tum bin jana
tum ne ehud lia tha jana
tum se bicher ker khush rehna hai
dekh lo jana
kitni khush hon
tum bin khush hon
laikan meri aankh ka kajal
meray labon per jami udasi
meri nazmon,
meri gazlon k lafzon main
gehra dukh hai
teray bin main kitni khush hon
sari rasmein nibha rahi hon....
veryyyyyyyyyy niceeeeeeeeeeee
ajeeb shaks
ajeeb shaks tha khesa mizaj rakhta tha
sath reh ker b ikhtilaf rakhta tha
main kyun na daad dun us kay fun ki
meray her sawal ka pehlay eh jawab rakhta tha
wo tu roshniyon ka basi tha magar
mere andheri nagri ka bara khayal rakhta tha
mohabat tu thi usay kisi aur say shayad
humsay tu yunhi hasi mazak rakhta tha
suno to sahi
Meri Zuban Se Meri Dastan Suno To Sahi,
Yakeen Kero Na Kero Meharban Suno To Sahi.
Chalo Yeh Maan Liya Mujrim-E-Mohabbat Hein,
Hamaray Jurm Ka Hum Se Bayan Suno To Sahi.
Bano Gay Dost Mere Tum Bhi Dushmano Aik Din,
Mere Hayat Ki Aah-O-Fughan Suno To Sahi.
Labon Ko Si Ke Jo Baithe Hein Bazm-E-Duniya Mein,
Kabhi To Un Ki Bhi Khamoshiyan Suno To Sahi.
Kaho Gay Waqt Ko Mujrim Bhari Baharoon Mein,
Jalla Tha Kaisay Mera Ashiyaan Suno To Sahi
tum bin jana
tum ne ehud lia tha jana
tum se bicher ker khush rehna hai
dekh lo jana
kitni khush hon
tum bin khush hon
laikan meri aankh ka kajal
meray labon per jami udasi
meri nazmon,
meri gazlon k lafzon main
gehra dukh hai
teray bin main kitni khush hon
sari rasmein nibha rahi hon....
rouhh piyasi hai
Rouhh piyasi he bohat aik hi qatra de de,
Main ne kab tujh se kaha he mujhay darya de de,
Lazat-e-dard se mahroom na ho jaoon kaheen,
Waqat se kahna mujhay phir koi sadma de de,
Zindghi tujh se main kuch our na manghoon gha aghar,
Mera bachpan meri sakhian meri guria de de,
Shama khud say meri kuch pahchan to reh jaye,
Too meray hal ko mazi ka hawala de de.
khalash
Khalash ab bhi be-chain karti hay muj ko
Sun kay meray marnay ki khabr woh roya kioun tha
Tha agar us ko itna hi piar muj say
Pa kr us nay phir mujay khoya kioun tha
Sairab na kr saka jis ko apni adaon say
woh beej piar ka us nay boiya kioun tha
Tha itna hi dar usay badnami ka to
Meri bahhon peh sir rakh kay soyia kioun tha
paishkash..
suno piaray,
meri ankhein kharido gay
mujay ik khavab ka
taavan bharna hai..
koi to ho
Chahay sard ho ya garm ho
mere hur mijaz se nibah karay
mere dard ko mehsoos karay
meri khatir muztarib phira karay
main hasoon to mere saath hansay
main roon to saath rooya karay
meri sharaton main shareek ho
meri khata maaf kiya karay
kabhi mujh se karay shararat woh
kabhi mujh pe khafa hoa karay
mere aaitibaar ko na tooray kabhi
mujh ko maan apna ata karay
mujh ko hans k mana le woh
jab kabhi koi khata karay
meri saath rahay woh omer bhar
mujhay khud se kabhi na juda karay
hai aab to yeh hi aarzo hayat
meri soochoon sa koi hoa karay
kisi ki yad dil mai hai..
Kisi ki yad dil mai hai,
koi ehsas baqi hai,
Badalte mosamo k darmyan ek raz baqi hai,
Abi to mai safar mai hoon,
milen gi manzilen mujh ko,
Magar in raston k beech,
kisi ka sath baqi hai,
Kahin par sham dhalti hai
kahin par rat hoti hai,
Abi to chandni hai
or chand ki rat baqi hai,
Chale ayo kisi din tum,
humara hal bhi dekho,
Humara jism murda hai
magar ek saans baqi hai,
Umeed hai hme phr bhi,
mile ga wo hme ek din,
Khuda par hai bharosa,
tum azam walay
tum azm walay ho
bala ka zabt rekhtay ho
tumhein koch b nahi ho ga
mager dekho...
jisay tum choor jatay ho
usay to teek se shaid
bicharna b nahi ata
tum to azm walay ho
usay mat choor k jana...
A L i
11-22-2008, 03:02 PM
Excellent thread Life
some amazing Poetry
dunia se door
Is Duniya Se Door Jane Ke Baad,
Main Tumhe Har Taare Mai Nazar Aaunga....
Tum Bas!
Har Pal Koi Duwa Mang Lena..
Tumharey liye Main..
Har Baar Toot K gir jaun ga.
aansoo
Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga
Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga...!!!
Kisi Kay Youn Bicharney Per
Kisi Kay Youn Bicharney Per
Kisi Kay Yaad Aney Per...
Bohat Se Log Rotay Hain...
Kay Rona Ek Rawayat Hai...
Magar Main In Door Paas Rahono Per...
Teri Yaad Say Gabra Ker Aksar...
Rawayat Toor Jata Hun...
Tumhari Yaad Ati Hai...
Mein Aksar Muskurata Hun...
محبت جب پاس ہوتی ہے
بارشوں جیسی برستی ہے
محبت جب پاس نہیں ہوتی
بارشوں جیسی کر جاتی ہے
dard
Tera dard tha teri yaad thi
Main jahan raha main jidhar gaya
Mera din to yuhin guzar gaya
Ju.nhi shaam hui, main bikhar gaya!!!
Is aber ka mere yaar se
Bada milta julta mizaj tha
Kabhi toot kar bikhar gaya
Khabi berukhi se guzar gaya!!!
Jab main chhor dunga wo gali
Use yaad aaye-gi tab meri
Dhunde-ga wo tab mujhe
Use khabr mile-gi ke main mar gaya!!!
Abhi tang hai wo mere naam se
Mere baad aaye-ga wo dosto
Wo tumhi ko rok ke puchhe-ga
Main kahan pe hoon, main kidhar gaya???
ajeeb bat
bari ajeeb baat keh betha
wo mera dost shayed
kuch galat kar betha
mere kareeb beth kai
mere shany par hath rakh kar
jab ahista say siskian lainay laga
sargoshi say kartay howay
wo kuch ajeeb sa kehnay laga
mairay hawwaas shayed madhosh thay
mai aik lafz bhi na sun saka
magar yai kia howa
mere qadam bojhal howay
mere anso rawaan
mere hatho mai larzish agaie
mere hont kapkanay lagay
bhala wo kaise ja sakti hai
mujhe bhala kaise chor sakti hai
wo mera dost
mere liyeh jo yai payam laya
khud bhi bai inteha roya
aur mere dard ko
us nai
taizaab say dho dala
Kaatib-e-taqdeer ne
Kaatib-e-taqdeer ne
bakht ki siyaahi se
zindagi ki loh per
haar ka ya jeet ka
jo bhi faisla likha
wo hi ik haqeeqat hai
ghar ki balkoni main
beth ker ghanton tak
sochtay rehnay se
haathon ki lakeeron ko
khojtay rehnay se
wo to mit nahi sakta
maan le taqdeer ko
zid kerni chorr de
haathon ki lakeeron se
bandhay rishtay torr de
kyun k ye lakeerain to
bad gumaan kerti hain
bay eeman kerti hain
haathon ki lakeeron main
kuch bhi to nahi rakha
ye lakeerain to faqt
aarray tirchay naqshay hain
aarray tircchay naqshon main
dar ba dar bhataknay se
dilnasheen khwaabon ki
tabeerain nahi milteen
saaye haath lagte hai
aur kuch nahi milta
kyun k ye lakeerain hain
lakeerain jhoot kehti hain
lakeerain mit bhi sakti hain..!
Mohabbat
Kahi chahat bhare se dil
Bohot se chand chere
Kahi jado bhari aankheen
Mohabbat se bhari baheen
Bulati theen
Us ''khushnawa' ' ki halki si
Sada sunne ko
Jane kis kis ne apni samaityeen
Rehin rakhwayi theen
Lekin' suraj ne ek suba'
Apni aankheen khool k
Khirki se jhanka
To hiraan rah gaya
Palkeen tak jhapakna bhul gaya
Woh zidi' tikhi si
Khush ada aur khush gulo larki
Bohot hi aaam se ek shakhs k
Qadmon main sar rakh k
Mohabbat maang rahi thi
nice poetry but fonts ko dark aur aus ka size bara kardiya karein taqey parhney mei asani ho
thanks Ayaz ji.. koshish karon gi ...
--------------------------------------------------------------------------------
کبھی ہم خوبصورت تھے !
کبھی ہم خوبصورت تھے !
کتابوں میں بسی خوشبو کی مانند
سانس ساکن تھی ۔۔۔!
بُہت سے ان کہے لفظوں سے تصویریں بناتے تھے
پرندوں کے پروں پر نظم لکھ کے
دور کی جھیلوں میں بسنے والے لوگوں کو سُناتے تھے
جو ہم سے دور تھے
لیکن ہمارے پاس رہتے تھے
نئے دن کی مُسافت ، جب کرن کے ساتھ آنگن مین اُترتی تھی
تو ہم کہتے تھے تھے
امی تتلیوں کے پر کتنے خوبصورت ہیں
ہمیںماتھے پہ بوسہ دو کہ
ہم کو تتلیوں کے
جگنوؤں کے دیس جانا ہے ۔۔
ہمیں رنگوں کے جگنو، روشنی کی تتلیاں آواز دیتی ہیں
نئے دن کی مُسافت رنگ میں ڈوبی ہوا کے ساتھ
کھڑکی سے بُلاتی ہے
ہمیں ماتھے پہ بوسہ دو
ہمیں ماتھے پہ بوسہ دو
ہمیں ماتھے پہ بوسہ دو
Ayaz ji sab kuch kia per lafz baray nahi huye sorry..
DUKH...
ansoo hain dukh ankhon main rehta hain
dukh derya hain qatra qatra behtay hain
dukh taray hain akash pay bhait,tay hain
dukh nagmay hain honto per rehtay hain
dukh mosum hain atay jatay rehtay hain
dukh sathi hain pal pal sath nibhatay hain...
DUKH...
ansoo hain dukh ankhon main rehta hain
dukh derya hain qatra qatra behtay hain
dukh taray hain akash pay bhait,tay hain
dukh nagmay hain honto per rehtay hain
dukh mosum hain atay jatay rehtay hain
dukh sathi hain pal pal sath nibhatay hain...
lakirein mit b sakti hain..
Kaatib-e-taqdeer ne
bakht ki siyaahi se
zindagi ki loh per
haar ka ya jeet ka
jo bhi faisla likha
wo hi ik haqeeqat hai
ghar ki balkoni main
beth ker ghanton tak
sochtay rehnay se
haathon ki lakeeron ko
khojtay rehnay se
wo to mit nahi sakta
maan le taqdeer ko
zid kerni chorr de
haathon ki lakeeron se
bandhay rishtay torr de
kyun k ye lakeerain to
bad gumaan kerti hain
bay eeman kerti hain
haathon ki lakeeron main
kuch bhi to nahi rakha
ye lakeerain to faqt
aarray tirchay naqshay hain
aarray tircchay naqshon main
dar ba dar bhataknay se
dilnasheen khwaabon ki
tabeerain nahi milteen
saaye haath lagte hai
aur kuch nahi milta
kyun k ye lakeerain hain
lakeerain jhoot kehti hain
lakeerain mit bhi sakti hain
apna
eaitbar ki toti hui dehleez par
ju bohat hi apna ho apna nahi rehta
pinky
12-05-2008, 03:56 PM
very nice all
کبھی ہم خوبصورت تھے !
کبھی ہم خوبصورت تھے !
کتابوں میں بسی خوشبو کی مانند
سانس ساکن تھی ۔۔۔!
بُہت سے ان کہے لفظوں سے تصویریں بناتے تھے
پرندوں کے پروں پر نظم لکھ کے
دور کی جھیلوں میں بسنے والے لوگوں کو سُناتے تھے
جو ہم سے دور تھے
لیکن ہمارے پاس رہتے تھے
نئے دن کی مُسافت ، جب کرن کے ساتھ آنگن مین اُترتی تھی
تو ہم کہتے تھے تھے
امی تتلیوں کے پر کتنے خوبصورت ہیں
ہمیںماتھے پہ بوسہ دو کہ
ہم کو تتلیوں کے
جگنوؤں کے دیس جانا ہے ۔۔
ہمیں رنگوں کے جگنو، روشنی کی تتلیاں آواز دیتی ہیں
نئے دن کی مُسافت رنگ میں ڈوبی ہوا کے ساتھ
کھڑکی سے بُلاتی ہے
ہمیں ماتھے پہ بوسہ دو
ہمیں ماتھے پہ بوسہ دو
ہمیں ماتھے پہ بوسہ دو
Mere AaNsoo Tiray Dil Ko KahiiN Takleef Na DaiN
Vaqt-E-RuKhSat Bhi Na Dekha Tujhay MuR Kar Main Nai
sada
mere dard mein yeh Khalish kahaaN mere soz mein ye tapish kahaaN
kisi aur hi ki pukaar hai meri zindagii ki sadaa nahin
mera laho
Mein hosh mein tha tu phir uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utar gaya kaise..........
Zaroor uss ki tawajjaw ki rehbari ho gi..................
Nashey mein tha tu mein apne hi ghar gaya kaise
کوئی افسانہ چھیڑ تنہائی
رات کٹتی نہیں جُدائی کی
اُس کے دُشمن ہیں بُہت آدمی اچھا ہو گا
وہ بھی میری ہی طرح شہر میں تنہا ہو گا
lakeer
اس کے سوا کوئی میرے جذبات میں نہیں
آنکھوں میں وہ نمی ہے جو برسات میں نہیں
پانے کی اسے کوشش تو بہت کی
شاید وہ لکیر اب میرے ہاتھ میں نہیں
yad
Bheegi palkon ki kasam raat ki tanhaee mein
Ae bholney wale tujhey hum ne bohat yaad kia
MaiN Aisii AaM LarKii hOON
Jisay SamjHa NaHiN kOii
December
december k mahine ka wo shyd akhri din tha
bars guzre kai
maine lafz muhabat likha tha
kisi kaghaz k tukre per
achanak yad aya hy
bars guzre kai
mjh ko kisi se bat karni thi
usse kehna tha
jaan.e.jaan!!!
mjhe tum se muhabat hy
magar mai keh nai paya
wo kaghaz aj tak lipta para hy
dhul mai lekn
kisi ko de nai paya
dobara chah kar b mai
muhabat kar nai paya...
Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai
Mere dil ki, mere jazbaat ki queemat kya hai
Uljhe-uljhe se quayaalaat ki queemat kya hai
Maine kyun pyaar kiya, tumne na kyun pyaar kiya
In pareshaan sawaalat ki queemat kya hai
Tum jo ye bhi na bataao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai...
Zindagi sirf mohabbat nahin kuchh aur bhi hai
Zulph-o-ruqsaar ki jannat nahin kuchh aur bhi hai
Bhook aur pyaas ki maari hui is duniya me
Ishq hi ek haqeequat nahin kuchh aur bhi hai
Tum agar aankh churaao to ye haq hai tumko
Maine tumse hi nahin sab se mohabbat ki hai.
Tumko duniya ke GHam-o-dard se fursat na sahi
Sabse ulfat sahi, mujhse hi mohabbat na sahi
Main tumhaari hun ye mere lie kya kam hai
Tum mere hoke raho ye meri quismat na sahi
Aur bhi dilko jalaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai
Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai...
faisla.
Apni hi roh ki talash mein jala ja reha houn
Badlte mausam mein khud ko kose ja reha houn
Yahi dhoop yahi chaon kal bi aya karti thi
Phir chaon chod mein dhoop mein kyun jiya karta tha
Aaj phir din nikla phir raat ayi
Khabi khola Aasman tu khabi badlon ki ghata chai
Aaj phir chand aya ha falak pe
Shayad isi liye sitaron ne apni doli hi sajyi
Khamosh patton ki ye sarsrahat
Kuch yaad dilya karti ha
Has kar humin humari hi kehani suna kar
Chali jaya karti ha
Aisa lagta ha wo has rahi hain hum par
Par khush houn ki unki khushiyon ka ehsaan to hai hum par,
Lena-dena mol-bhao tu chalta rahe ga
Par khushi ka ye manzar yahin nai thame ga
Beete kal ko peeche chod aye hain hum
wahan ki khushiyon ko bi sath le aye hain hum
Kal kya howa kal kya ho ga
Muje nai pata
Aaj main jeena chahtai houn aaj main ji kar rahon ga
Bas yahi ha mera FAISLA
ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 12:02 AM
arey very nice life jee ..... aapki yeh thread kabhi meri nazron k samney se guzri hi nahi :( but aaj dekha and very nice collection..... goood work janab
keep it up very nice
Nida-H
01-15-2009, 10:16 AM
very nice..keep it up !!!
life2
01-15-2009, 08:56 PM
--------------------------------------------------------------------------------
Boondh Boondh
Aansoo Say
Jo Bhar Jata Hai Lab a Lab
May Wo
Dard Ka Darya Hoon
__________________
M A H i
01-15-2009, 09:45 PM
superb collection.................................
keep it up
ap ne jin lafzon k sath meri hosla afzai ki hai is k liye meray pass kuch khas lafaz nahi hain SM ji
sirf yahi kahon gi k pasand kernay ka bohat bohat shukria...
itna chahon..
apni zaat se nikal kar tumhain tanha chahhon
maloom tum ko bhi na ho tumhain itna chahhoon
meri har saans tumhari ammanat ho
mujhe aur battao main tumhain kitna chahho
meri wafa bhi silla mangge tumse
tum mujhko bhi chahho main jitna chahoon
kissi k dil main na ho essi chahat
koi kissi ko na chahe main tumhain itna chahhon
tum mujhe bas chahne ki tamana kar lo
tumhain jitni hai talab main tumhain utna chahhoon ..
barson k baad..
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see , Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein, kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin, auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa
Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa
Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa...
kya likhon....
Kya likhon kya na likhon kuch pata nai
Hum unhin yaad nai ye bhi to gila nai
Waqt ki lawo mein jale ja rehe hain
Pani se dushmani kare ja rehe hain
Khuda bi but bana dekh reha ha
Jholi jo phelai tu has reha ha
Muskan ki ek jhalak ke liye taras gaye hain
Hum to nafraton ke sahare hi ji rahe hain
Jeene ki khwaish khatam si hone lagi ha
Chalti howi zindagi nam si padne lagi ha
Bachpan tu mera kho sa geya ha samjho
Bas udhar ki zindagi kaat hi rahe hain samjho....
ShArArTi MuNdA
01-15-2009, 11:41 PM
nice onez life jeee kia baat hai aapki collection ki
-|A|-
01-15-2009, 11:45 PM
ahaan Good collecTion
ShahTaJ
01-16-2009, 03:20 AM
nice collection
humaa
01-16-2009, 12:01 PM
v nice sharingg
life2
01-16-2009, 06:11 PM
Pyar k samundar main
Her uternay walay ko
Kashtiyaan nahi milteen
thank u so much TAJ janu...
AJ....
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...
Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya...
adt e avargi...
abb ke mausam ki adaa bhee boht ajnabi si hai
abb ke dil ki har khwahish dabi dabi si hai
behti hui aankhon main hai pinhaan mera maazi
palkon tal'e har yaad teri youn saji si hai
nadaan hoon abb takk teri ummeed hai baaqi
halanke yeh mumkin nahi yeh aagahi si hai
kuon gardish e ayyaam ne behaal kiya hai
bejaan jism ki tarha kuon bebasi si hai
abb hosh hai na khabr hai na koi saleeqa
kuch din se ajab haalat e deewaangi si hai
ikk shab tha hum se rooth ghaya woh rukh e roshan
abb din ke ujaalon main bhee ik tareeki si hai
uss bewafa se koi shikayatt nahi humain
haan zindagi se shikwa o naraazgi si hai
asaan na tha ik shakhs ko youn dil se bhulaana
yeh mojza hua hai tou hairaangi si hai
kal tak saja karti theen yahan mehfilain har din
aangan main magar aaj boht khaamshi si hai
deewar o dar ki qaid se azaad huay hum
ikk umr se abb aadat e awaargi se hai..
kabhi...
manzilon par jab ponchtay hain, bichartay hain sabi
raaston main humsafar choray nahi jatay kabi.
Us se kehna kay zakham kha kar be nibhay jatay hain,
Kuch ta'aluq aisay hain toray nahi jatay kabi ...
life2
01-18-2009, 08:56 PM
nice,,
,Jalte howe suraj ko samandar se nikalo
Sahil ko jalane se ujhala nahi hota
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.