View Full Version : Bait Bazi
Pages :
1
2
3
4
[
5]
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
Zafina
08-03-2010, 12:29 AM
Hum Tu Doobein Hein "Sanam" Tum Ko Bhe Lay Doobeingay...
Khaak Ho Jaeingay Hum Tum Ko Khabar Honay Taluk............
ki mere qatal kai baad us nai jafa se toba
hey us zoodoo pashaiman ka pashaiman hona
Zafina
08-03-2010, 12:58 AM
ki mere qatal kai baad us nai jafa se toba
Jis ne mere khwaboon mein shirakat bhi nahee ki
Ye Watan' teri meri naslon ki jageer nahi
sainkroon nasloon ki mehnat nai sanawara hai isey
yeh kahna masnad e shaak namu pe tha joh kabhi
woh phool surat e khushbu bikhar gaya kahna
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-03-2010, 12:26 PM
Aankhoan mein bas ke dil mein samaa kar chale gaye
khvaabidaa zindagii thii jagaa kar chale gaye
yazdan ne muskora kay badi deir men likha
ek lafz e arzu meri dil ki kitab men
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-03-2010, 02:29 PM
Na Meri Aankh Ko Sukoon Ha Na Dil Ko Qaraar Ha ..
Phir Men KESE Keh Dun .. Muje US Se Muhabbat NAHI ... !!
Neelam ho raha tha kisi nazneen ka piyar
qeemat nahi chukaii gaii ek gharib se
yak nazar baish nahi fursat e hasti ghafil
gar maaee bazm hai ek raqs sharar honey tak
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-04-2010, 08:10 PM
KiSi ki yAAD Main PalkeiN zArA BhiGo Lette
UDasS rAAt ki TankhayoUN Mian roO Lette
kia khabar thi kay chale gi kabhi aesi bhi hawa
Khushk patton ki tarah dost bikhar jaeyn ge
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-04-2010, 08:51 PM
Lams bhai last word sy strt kiya kro bhai plz
ek vaadaa hai kisii kaa jo vafaa hotaa nahin
marmarii taaron bharii raaton mein kyaa hotaa nahin
Naghma o sher ki soghat kisey paish karon
ye chalakte hoye jazbaat kisey paish karon?
na rahnumao ki mujlis men le chalo mujh ko
men be adab hun hasi agai toh kia hoga
Ahl e Danish nai jisey amr e muslim mana
Ahl e Dil kai liye wo baat ajeeb aaj bhi hai
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-05-2010, 11:15 AM
ik karab sa hai rooh k ander basa hua
aankhoon mein jal rahay hain mere khawab kiya likhoon
Nuqsan nahi junoo mai, bala se ho ghar kharab
soo gaz zameen kai badley bayaban garan nahi
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-05-2010, 04:59 PM
in barishoo sy dosty achi nahi FARAZ
kacha tera makaan ha kuch to khayal kar
M A H i
08-05-2010, 09:44 PM
Rukhsat hua tu aankh mila kar nhi gya
Woh kyon gya , yeh b bta kar nhi gya
Yon lag rha hai jese abhi lout aaey ga
Jalte huey charagh bhi bujha kar nhi gya
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-05-2010, 10:11 PM
A Ja K aBi Zabat Nh Toota ..
A ja K Paharon Pr Baraf Jami Ha ..
Sitaron Se Le Kr Zameen Ki Hadon Tak ..
Sab kuch Ha bUss ek Teri Kami Ha ... !! :)
M A H i
08-05-2010, 10:15 PM
Aaghaaz ka wasooq hey na anjaam ki khabar
aesey katey huwey hein kisi daastaan sey hum :rolleyes:
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-05-2010, 10:19 PM
Mujh Se Kia pOochte HO Zindgee K Baray Men ...
Ajnabi Kia Jane ... Ajnbi K Baray Men ...!! :)
M A H i
08-05-2010, 10:25 PM
Na jaanay kon sii manzil ki justuju thee mujhay
Tamaam umer chala phir bhi rah guzar main raha
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-05-2010, 10:28 PM
Aik Deewana Yeh Kehte Huy Hansta jAye ...
Kaash Manzil Se Age B Koi Rasta Jaey ... :s
M A H i
08-05-2010, 10:37 PM
Ab isay log samajhate hain giraftaar meraa
sakht nadim hai mujhe daam mein laane walaa
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-05-2010, 10:45 PM
AA gYA Gar Wasal Ki Shab Men Kahin Zikr-e-Firaak ...
Wo Tera Ro Ro K Mujh Ko Rulana Yaad ha ... !!
M A H i
08-05-2010, 10:55 PM
Ab ke saawan main bhi zardi na gaai chehron ki
Aisay mosam main to jangal bhi hara lagta hay
Shaam
08-05-2010, 11:00 PM
yeh kuch aur nahi ter muhababt ki dain hai
wagarna logo mei aam na thi muskurahat meri...
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-05-2010, 11:13 PM
In Se Nikalti Hikayten Shayd ...
Haraf Likh KAR Mitaa Dia Na KARO ...!!
waja be rangi gulzar kaho ya na kaho!!
koon hai kitna gunehgar kaho ya na kaho!!
omandti yadon kay ashob se men wakif hun
khuda kare kisi surat woh bhul jaey mujhe
ye raah akeli katni hai yaha sath na koi yaar chaley
is paar na janey kia paaen us paar tu sab kuch haar chaley
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-06-2010, 09:55 PM
Yeh Zindgee Yahan Khushi GhamOn Ka Saath Ha ..
Rula Sako to Sath Do ... Hansa Sako To Sath Do ...!!
M A H i
08-06-2010, 10:00 PM
Os ka tu her andaaz nirala sa lagay hai
Qatil hai mera aur masiha sa lagay hai
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-06-2010, 10:18 PM
Intihaai Aqeedat Muje Qubool Nh Hamdam ..
Koi Zuban-e-Gair De K Muhabbat Laagay ...!!
Shaam
08-06-2010, 10:18 PM
is tor kartey ho tum masihai si batein
me roz andaz e masihaai pei marjata hoo
Fatima Javaid
08-06-2010, 11:16 PM
Na ho YA RAB takmeel mery is irrady ki
K tarq e muhabbt ka irrada kar raha hon mai
isi raste men akhir woh kadi munzil bhi aey ghi
jaha dum tor degi yad e yaran hum na kehte the
Fatima Javaid
08-07-2010, 03:20 PM
Ye dil to kisi or hi dais ka parinda hai wasi!
Seeny mai to rahta hai magr buss mai nahi
is tarha ghour se mat dekh mera hath ae Faraz
in lakeeroon mai hasratoon k siwa kuch bhi nahi
ibtida ki os ne pehle apne gham kay nam se
dheere dheere phir mere dil ki taho tak agia
M A H i
08-08-2010, 12:43 PM
Ab yeh bhi nahi Theek keh har dard mita dein
Kuch dard kaleje se lagaane ke liye haiN
Shaam
08-08-2010, 02:22 PM
nahi hota her jazba dil hi jalane ke lia
muhabbat mei phool bhi khila kartey hain
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-08-2010, 04:05 PM
Nami Ankhon Ki Jati He Nahi ..
Kis Shehr-e-Tamanna Se Ha Guzar Apna ...!!
ek na ek din to chutainge ye ghamoo kai badal
ek na ek din to ujaley ki kiran photey gi
M A H i
08-08-2010, 10:00 PM
Ishq ruswa huwa he kerta hai
iska charcha huwa he kerta hai
jaan b maangtey hain dil mang ker
yeh taqaza huwa he kerta hai
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-08-2010, 10:08 PM
Intha-e-Ishaq Hum Se Poochte HO Kia Tum ..
Manzil Se Pehle He Jo Marg-e-Muhabbt Huy ...!!
Ye Jisam doo sahi' magar diloon mai fasla nahi
tumharey piyar ki qasam tumhara ghum hai mera ghum
Fatima Javaid
08-09-2010, 01:56 AM
Mai mangta hon dua ,lazzat e dua k liye!
Warna khabar meri, mujh se bahtr hai TUJHY
ye kese loog hain jo bhool jatey hain teri KHUDAI
hum se to tera ek shaks bhulaya nahi jataa
aj insan ka chahra toh hai suaj ki tarah
ruh men ghor andhere kay siwa kuch bhi nahi
ibteda e ishq hai rota hai kia
aagey aagey dekhye hota hai kia
aj sub men ghul mil jaun mujh ko kia khabar kal tak
kis ko bhul jaun men kis ko yad aun men
Noor ul huda
08-09-2010, 06:22 AM
Numaya hu Kr Dikhla De Kabhi inn Ko Jamal Apna
Buhut Muddat Say Charchay Hain Tery Bareekbeeno May
Khamoosh Ay diL! Bhari Mehfil May Chillaana nahi Acha
Adab Pehla Qareena hay, Mohabbat kay Qareeno May
Shaam
08-09-2010, 10:24 AM
shair acha jib dosra wala
per salik aur majzoob me fark hota hai...
her koi shayed itna aala zarf nahi hota
apne haal pei apne lia likha kuch...
yaha hosh e sang zani bhi nahi
ab ansuon ki nami bhi nahi
adab karkei hasil bhi kia hoga
khamosh sada kisi ne suni bhi nahi
Is rengti Hayat ka kab uthaen baar
bimar ab uljhne lage hain tabeeb se
is shahar e gham ko dakh kar dil dubne lagah
apne pe hi sahe koi hasta dikhai de
Zafina
08-09-2010, 04:17 PM
Vasl ka din aur itna muKhtasir,,,
din giney jatey they jis din ke liye...:chaloye:
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-09-2010, 04:33 PM
Lamhay Wasal K Kat'tay Hain Gharion Men ...
Kun Kat'tay Hen Lamhay Judai K Saalon Men ... :(
nahi yeh zindage ek do qadam ki
para hai rah men sehra ka sehra
Armanoo k sooney ghar mai har aahat begani nikli
Dil nai jab nazdeek se dekha har soorat ajnani nikli
is khahish e nakam ka khoon bhi mere sar hai
zinda hun kay is ki bhi saza de koi akar
ruki to ese k jese teri riazat ko
ab is samar se ziada samar mile na mile
gaii to soog mai doobey qadam ye keh k gaey
safar shart hai' shareek e safar miley na miley
Noor ul huda
08-10-2010, 10:19 AM
Jahaan main ahl e Iman surat e khursheed jeete hain
Idhar dub'e, Udher Nikle, Udher dub'e, Idher Nikle
Ehl e Dil or bhi' ehl e wafa or bhi hain
ek hum hi nahi' dunya se khafa or bhi hain
hum pe hi khatam nahi maslk e shorida sari
chak dil or bhi hain' chak qaba or bhi hain
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-10-2010, 02:22 PM
NaaG Ban JayEin Gi PanNi Ki sHaraBi LeHrEin
AaG pHeLayE Ga SiLaAB, cHanAan Tere BaAD
Daman e waqt pe ab khoon k chentai na parain
aik markaz ki taraf deer o haram lai k chaloo
hum mita dalenge sarmay wa mehnat ka tazad
ye aqeeda' ye irrada' ye qasam lai k chaloo
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-10-2010, 02:56 PM
Onhoun nay ghazal chairi mujhay saaz deyna
zara Omer-e Raftah ko awaz deyna
A
ab agar mail nahi hai to judaii bhi nahi
baat toori bhi nahi tum nai nibhaii bhi nahi
ye sahara hi buhat hai mere jeene k liye
tum agar mairi nahi ho to paraii bhi nahi
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-10-2010, 03:26 PM
Iss Shartt Pe Kheloo Gee Piya Pyar Ki Baazi
Jeetoun Tou Tujhy Paon Haaroon Tou Main Teri
i
is tarah baat sar e bazm chupa li aksar
dil ki har tees tabassum mai chupa li aksar
Zafina
08-10-2010, 03:33 PM
Kiun Kehtay Hain Log K Sohbat Ka Asar Par'rta hai Sub Per . .
Mein To Bewaf'faon Ki Mehfil Mein Reh Kar Bhi Wafa'aen Nibhata Raha .
aatey hi taire chatkheen hain kalyaan
dil ban ban k dharki hain galiyan
Zafina
08-10-2010, 03:44 PM
Pani Pani ker gai mujh ku Qalander ki yah baat
Raqs zanjeer pahn k bhi kiya jata hay.. Tay may nacha sari raat :(naqal:
tobah hai zafina
tum nai dhoondi sukh ki doulat mai nai pala ghum ka roog
kaise banta kaise nibhta ye rishta ye sanjook
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-10-2010, 03:54 PM
zafi lolz
kis se Kahain aur kon Sunnay jo haal tumhary baad howa
is dil ki jheel si ankhoon main ik khawab bohat barbad howa
jamil nice
Ab ayen ya na ayen idher' pochte chalo
kia chahti hai un ki nazar pochte chalo
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-10-2010, 04:03 PM
Os Ki jUdaaii Khaa Gaii ghUnn Ki Tarah hamieN
hUm Sakht-Jaan Pehlay tO yoN KhOkhley Na They
"Yeh"
khobsorat
yehi kaho gai tum sada k dil abhi bhara nahi
jo khatam ho kisi jaga' ye esa silsila nahi
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-10-2010, 04:13 PM
Nice
Is Qadar Na Rona Ke Taklef Ho Hamein
Mout Ko Bhi Mazak Samjh Kar Anjan Ban Jana
Alif
aik muddat se tamanna thi tumhen chooney ki
aaj bus mai nahi jazbaat' qareeb ajaoo
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-10-2010, 04:22 PM
Wo na mere zehan se maho’w hua ma ne kia kia na jatan kiy
Pa kar bhi us ka khayal tha kho kar bhi us ka khayal hai
Yea
ye masjid hai' wo but khana' chahey ye mano' chahey wo mano
maqsad tu hai dil ko samjhana' chahey ye mano' chahey wo mano
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-10-2010, 04:30 PM
Os akhri nazar me ajab dard tha muneer
jane ka os k mujhe ranj umar bhar raha
Ae husn aashna taire jalwoo ki khair ho
begana ho gaya hoon gham e doo jaha se mai
itna bigre hen woh mujh se kay agar nam on ka
khat men likhta hun toh sub hurf bigar jate hen
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-11-2010, 01:19 PM
Na ye k woh chalay tou kahkashaan see rahguzar lagay
Magar woh satah ho tou phir bhala bhala safar lagay
youn arahi hai bichre huwe doston ki yad
jese charag jalte hon raton ko gaon men
missing you die
Nadyoon ki raagni hum se hai
har taraf taazgi hum se hai
hahah
missing u 2 Lams n congrats
is qadar musulsul thin shiddaten judai ki
aj pahli bar os se men ne bewafai ki
ik umar se hoon Lazzat e girya se bhi mehroom
ae rahat e jaan mujh ko rulaney kai liye aa
ab is kay bad ghane jungalo ki manzil hai
yeh waqt hai kay palat jaeyn humsafar mere
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-14-2010, 03:12 PM
ek he shkhs tha jahan men keya
Ye mujhe chain kion nahe parta
Jamil bhai Sher ulta hi kar diya :)
Aana na mairi Qabar per Hamra Raqeeban
kai Musalmaa Murdoon ko jalaya nahi karte
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-14-2010, 10:00 PM
Koi Baat NAHI Jameel BHai Khud b Ullte Hen .. :p
Ek Umar Hui Tere Deedar SE Begaana Huy ..
Zara ko To A Jao K Maut Pass Ha ...!!
Aaj phir karte ho kis za'am pe zakhmoo ka shumar
sar phiro! wadi e pur khar mai ye to hoga
Allah bachaye marz e ishq se dil ko
sunye hain k ye aarza acha nahi hota
Mohtarma ankhain buhat kamzoor hain mairi
Font size barha liya karo
Aah ko chahey ek umar asar honey tak
koon jeeta hai teri zulf kai sar honey tak
ab kis lia palkon pe sitare hen ferozan
men ne toh ujalon ka safar chod dia hai
LAMS bhai " K " se start hona tha ye :P
isi khayal se har Zakhm apne Dil pe saha
kai tujh ko gardish e ayyam ki hawa na lage
es Eid pe mil na sakyey tu kia hua
jazbon main ho khalos tu eidein hazaar hain
aunty Font size bara kar liya karo
Na Dil ka Dard hi kam hai na Ankh hi nam hai
na jane koon se armaa they wo Lahoo jo hoye
ek tera nam tha obhra joh fasil e shub par
warna sakte men rahi sari khodai pahron
Nigar e Gul wo hami they tere tamannai
kai jin kai khoon se tere rang tabnaak hoey
yeh ahtamam e charagan baja sahi lekin
sahar toh ho nahi sakti dia jalane se
Ehl e gham jate hain na ummeed taire shahar se
jab nahi tujh se to kia ummeed taire sahahar se
wk ishq ka gham afat aur os pe yeh dil afat
yah gham na dia hota yah dil na dia hota
omg
Ab tak Dil e Khush feham ko tujh se haln ummeedain
ye akhri sham'ain bhi bujhane kai liye Aaa
aese jati hai zindage ki ommid
jese pahloo se yar othta hai
ik ye bhi tu andaz e elaj e gham e jaan hai
ae chara garo, dard barha kyn nahi daite
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-15-2010, 10:29 AM
Ehsaas k andaz badal jate haim warna
Aanchal bhi usi taar se banta hai kafan bhi..........!
i
Jamil Pa g gud yaar
isi khayal se har zakham dil pe saha
k tujh ko gardish e ayam ki hawa na lage
ek naey nam se phir apne sitare oljhe
yeh naya khel naey khwab ka bani nikla
Ae mere hamnasheen chal kaheen or chal
is chaman mai ab apna guzara nahi
baat hoti guloon tak to seh laite hum
ab to kantoon pe bhi haq hamara nahi
is bhari bazam se has bol kay rokhsut ho lo
kal jo otho ge toh ba deeda e tar jao ge
Es ko sanjook kahen ya qismat ka likha hum jo achanak miley hain
man chahey sathi paa kai hum sab kai chehre dekho kese khile hain
Nazar ki Dhoop mai saey ghuley hain shab ki tarha
mai kab udas nahi tha magar na ab ki tarah
hisab e adawat bhi hota rahe gha
mohabat ne jeene ki mohlat agar di
ik edteraab sa hai rooh k andar basa hua
ankhon main mere khuab jal rahe hain kia likhon
life thora font size bara kar liya karo
Na hareef e jaan na shareek e gham shab e intizar koi to ho
kisey bazm e shoq mai laeyn hum dil e beqarar koi to ho
ommid zamane se mujhe ab bhi hai qesar
dil bojh gia hai lekin khayalat hen roshan
Na intizar ki lazzat na Aarzoo ki thakan
bujhi hain dard ki sham'ain kai soo gaya hai badan
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-16-2010, 10:05 AM
Nahi nigah mein manzil to justujoO hi sahi
Nahi visaal mayyasar to arzoO hi sahi !!!
"Ye"
Ye Mohabbat bhi kia roog hai FARAZ
jis ko bhooley wo sada yaad aya
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-16-2010, 03:31 PM
Apna To Chahton Men Yahi EK Asool Ha ..
Tera Bura Bhala Humain Sab Qubool Ha ...!!
Apna ye haal kai jee haar chuke lut bhi chuke
aur Mohabbat wahi andaz purane mange
Es be etbar waqt pe jhunjhula k roo parey
pa kar usey to kabhi khoo kar roo parey
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-16-2010, 08:56 PM
yeh aur baat hai k wafa tujh sy na ho sakiii
magr tum ne kiye jo vaadey ghazab k thay
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-16-2010, 10:07 PM
Yaad Us Ki B Aik Jhonka Sa ha Shayad ..
Jhoola Sa Jis Ne Human Aik Jhula Rakha Ha ...!!
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-16-2010, 10:15 PM
Aik baar kaha tha Uss ne Mujh seY k mein Hashta Achha Lagta Hun
Iss Baat ko pehro Yaad mein kar k Abb pal Pal rouTa Rehta hun
Noon
Zafina
08-16-2010, 10:16 PM
Main ne us k badly Lahjy ki, wazahat poochi,,,
Kuch dair khamosh rha...!
Phir muskra k bola.....
''PAGAL''
""Jb Lehjy badl jain to Wazahtyn kaisi""
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-16-2010, 10:18 PM
wah zafi great
lekin next word tou N tha
nafas nafas men faghan hai nazar nazar men haras
kuch aur din yahi halat rahi toh kia hoga
RAJA_PAKIBOY
08-17-2010, 04:56 AM
بہت خوب بہت عمدہ
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-17-2010, 02:59 PM
ajal ke hath main aa raha hai parwana
najane aaj kee fehrist main raqam kia hai
inkar se iqrar ka rishtah hai bhala kia
yeh kufur ki surat mere iman men kia hai
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-18-2010, 08:26 PM
Isey Parh ke Tum Na Samij Sake Keh Meri Kitab ke roop mein
Koi Karz Tha kae saal ka, kae ratjagoun ka udhar tha..
M A H i
08-18-2010, 08:51 PM
AAR’RE AA Jaatii hay yeh HASSAS Tabiyat varna
JEE to karta hay yahan Rooz TABAAHEE hoo...!!!
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-18-2010, 08:58 PM
oss ki masoomiat ka kon sa aandaz hai Faraz
Per kaat k kehnay lagey ab tum Azaad ho
M A H i
08-18-2010, 09:02 PM
Oshi pe khatm hui sab hadein ta'alluk ki,
raha na wo to kisi se bhi rabta na raha.
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-18-2010, 09:05 PM
Aap aajaaeiN to kuch waqt guzar jaeyga
Warna hasti ka ye sheerazah bikhar jaeyga
ALIF
M A H i
08-18-2010, 09:08 PM
Aalam-e-sozo saaz mein wasal se barh k hai fraaq
Wasal mein marg-e-aarzoo, hijar mein lazat-e-talab..!!
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-18-2010, 09:09 PM
Baat Kirdaar Ki hOtii hAi Wa-Garna Aarif
Qad Mein InsaaN Sey Saaya Bhi baRa hOta hAi
"Yee"
M A H i
08-18-2010, 09:11 PM
Yeh Sach Hay AqaL Ne Mujhe Pukhtagi Tou Dee
Magar Wo Maza Kahan Jo Nadaniyon Mein Thah..
Hum nahi to phir bhi to abaad hai mehfil unki
hum samjhte they ronaq hai apney dum se
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-18-2010, 09:14 PM
Had say gozar jaaye jab mera zabt-e-gham
Aur main pukaaroon tom ko baar baar, chalay aanaa
Alif
Aana na mairi Qabar per hamra Raqeeban
kai Musalman Murdoon ko jalaya nahi karte
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-18-2010, 09:20 PM
EK shakss karr raha tha abb tak wafa ka zikarr
KAASh us Zubaan daraaz ka mun NOOCh lay koi....
yE....nExT
Ye udas udas se bam o dar, ye ujar ujar si rah guzar
chalo hum nahi na sahi magar sar e koey yaar koi to ho
os waqt ki udasi hai dekhne kay qabil
jub koi ro raha ho afsorda chandni men
Nazar ki Dhoop mai saey ghule hain shab ki tarha
mai kab uddas nahi tha magar na ab ki tarha
andheri rat ka manzar bhi khub tha lekin
tum agaey to charagho men roshni kar li
ik umar se mai malool o tanha
zulmaat ki rah guzar mai hoon
koi bhi nahi jo ye bataey
mai koon hoon kis diyar mai hon
na ajnabi hai koi aur na ashna koi
akele pun ki bhi hoti hai intiha koi
is tarha manziloon se hoon mehroom
mai shareek e safar na tha jaise
ek shakal obhar ati hai yadon kay ofaq par
veran meri sham ka manzar nahi hota
aik dunya muntazir hai or teri bazm mai
is tarha bethe hain hum jese kahin jana nahi
is shahar e gham ko dekh kay dil dubne lagah
apne pe hi sahe koi hasta dikhai de
es zindagi mai itni faraghat kisey naseeb
itna na yaad Aaa kai tujhey bhool jaeyn hum
magar kisi ne hamen hamsafar nahi jana
yeh aur bat kay hum sath sath sub kay gaey
Yun phirte hain galyoon mai ghabraey ghabraey se
jese is basti kai saey bhi hoon Adam khoor
rote hen dil kay zakham toh hasta nahi koi
itna to faeda mujhe tanhaion se hai
is inteha e qurb nai dhundhla diya tujhey
kuch dour ho kai dekh sakoon tera ba'ankpan
na jane kon sa ansu kisi se kia keh de
hum is khayal se nazren jhokaey bethe hen
na dil ka dard hi kam hai na ankh hi nam hai
na jane koon se arman they wo laho jo hoye
ek tere muntazir hen aj bhi dar deewar
gunjta hai ghar men sannata sadaon ki tarah
hum se hi na ho saki chahtoon ki numaish
warna dunya mai kia nahi hota
tum mere pas hote ho goya
jab koi dosra nahi hota
aj insan ka chahra toh hai suraj ki tarah
ruh men ghor andhere kay siwa kuch bhi nahin
na jane kia hai us ki uddas ankhoon mai
nazrain chura k bhi jaey to bewafa na lage
ek omar uljhta raha dunya ki hawa se
kia men bhi tere kisi peman ki tarah tha
Aashna Dard se hona tha kisi tour hamen
tu na milta to kisi or se bichre hote
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-19-2010, 10:29 AM
Ek Soch Thi Brastii Aankh Us kO rOk Ley Shaayed
MaGar AshkOn Ki KarriyOn Sey KahaaN Zanjeer Bantii hAi
Hazaar Baar Ki kOshish Magar mUmkin Nahien
Bhala KhUd Hii Bananey Sey KahaaN TaQdeer Banti hAi
"i"
Pa g v gud
is tarah baat sar e bazm chupa li aksar
dil ki har tees tabassum mai chupa li aksar
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-19-2010, 03:01 PM
Raahon Pe Nazar Rakhna .. HOnton Pe Dua Rakhna ..
AA Jaye KOI Shayd .. Darwaza Khula Rakhna ....!!
Ae sahab e gham kab tak ye gurez ankhon se
intizar e toufan mai khushk ho gaey darya
aek lamhe ko aya tha sar e bazam woh khush ru
joh ghar se dekhne gaey ghar tak nahi pohche
ek naam kia likha tera Sahil ki Rait per
phir umer bhar meri Hawa se Dushmani rahi
isi lia to kabhi tujh se tazkirah na kia
kay apne gham se hamen tera gham zada tha
Zafina
08-20-2010, 02:44 AM
Aaj bhi uska intezaar karte karte din guzar jaiga faraz,,,,
Ana parast log hai marzi se yaad kartey hainn.
na g bhar kay dekha na kuch bat ki
bari arzu thi molakat ki
is rang se uthaii kal us nai asad ki laash
dushman bhi jis ko dekh kar hoye ghamnak
kis qadar karb se chatki hai kali
shakh se gul koi tuta hoga
ab to ye arzoo hai kai wo zakham khaeeye
ta zindagi ye dil na koi arzoo karey
yeh bat zurf ki hai magar kis se kijiey
qatrah bhi aj kal hai samandar bana huwa
-|A|-
08-20-2010, 05:39 PM
Abb kay Bichray tou shayad Khuwabon mein Milay ,,
Jis tarhaan sokhay huway phool Kitaboub mein Milay !!
Yun hi Mousam ki Adaa dekh kar yaad aya
kis qadar jald badal jate hain insan janaa
aek din waqt bataey ga junun ki azmat
youn to hum log hen ruswa sar e bazar bohut
Tu bhi na mil saka hum ko umer bhi rae'gan gaii
tujh se kher ISHQ tha khud se barey giley rahey
yeh kis maqam pe pohcha hai karwan e wafa
hai aek zahar sa phela huwa fazaon men
LAMS buhat Aa'la
Naghma haey gham ko bhi ae dil ghanimat janiye
be sada ho jaeyga ye saaz e hasti aik din
-|A|-
08-20-2010, 10:56 PM
Na janay koun DUa'aon mein yaar rakhta hai ..
mein jo DOBTA hon samandar Uchal dayta hai ..
is tarha ghour se na dekh mera hath ae Faraz
in lakeeroon mai hasratoon k siwa kuch bhi nahi
in khayalat ki tasveer kahan se laun
jin khayalat men khoya huwa men rehta hun
na janey kis k sabab ikhtilaf e raey howa
mai hi ghalat tha k zamana ajeeb tha
aj tanha hun to kia dekhte rehna kal tak
aur awazen bhi hongi meri awaz kay sath
Hum se hi na ho saki chahtoon ki numaish
warna dunya mai kia nahi hota
tum mere pas hote ho goya
jab koi dosra nahi hota
akhtar ab intizar ki parchaian samet
is dhoop men woh mom ka pekar na aey ga
Aaj tak sar nahi uthta nidamat se Nigar
aik dini phool ko rukhsar kaha tha hum nai
inkar na iqara bari deir se chup hen
kia bat hai sarkar bari deir se chup hen
na kar nhi nhi ye waqt nhi hay nhi nhi ka
tairi is nhi nhi nay muje chora nhi kahi ka
ab kay ajib karb men tujh se juda huwe
rusmi mukalme bhi na hum se ada huwe
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-22-2010, 12:30 PM
EnHEin Apni SooRat pE yOun NaAz kaB THa
Mere IsHQ-e-RuswA kO " AKHTAR " DuA DEin
nazar se saf jhalakte hen dil kay veerane
woh hal hai kay ab aene se bhi darta hun
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-22-2010, 08:32 PM
Nahi nigah mein manzil to JustujoO hi sahi
Nahi visaal mayyasar to arzoO hi sahi !!!
in qurbaton ne aur bhi tanha sa kar dia
ab darmian hamare koi fasla nahi
LEGION
08-22-2010, 11:24 PM
Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do
Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do
Dj
osi kai naam se jalti hain dard ki sham'ain
jise hayat se tabeer karne lagte hain
-|A|-
08-23-2010, 01:47 AM
Na woh Farishta ho na farishton jesa ho
mujeh talash hai jiski .. woh bus meray jesa ho
os waqt ka men hisab kia dun
jo tere bagher kat gaya hai
Noor ul huda
08-23-2010, 08:47 AM
Inhain Bhi Nok e Sang say Zara Hila Kay Daikh Loon
Kay Paaniyoo Ka Yeh Sakoot Torna Tu Chahye
Yeh Kiya Huwa Barha Kay Silsilay Mujhy Bhula diya us nay
Kahien Milien tu Jaafar, Us say Poochna tu Chahye
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-23-2010, 12:11 PM
Es tArHa jAan Dii Waffa Mein K Qatil Tamam Umr
Dil Ki AdalatOun Mein Saza dhOondta Rha..............
Aasan na kardi ho kaheen mout nai mushkil
rotey hoye bimar bari dair se chup hain
nahin kay arsa e gardab hi ghanimat tha
magar yaqin to dilao yahi kinare hen
Naag khud hi to khazanoo nai yaha palen hain
Aag pholoon nai bikheri hai gulistanoo mai
Noor ul huda
08-24-2010, 08:12 AM
May jab bhi likhny lagti hoon " i " letter hi aata hay :noidea: lolz
itni Aankhoon ka Tha Ankhoon May Teherna mushkil
Ham nay iss Wasty Her Ik Say Chura Lien Aankhien
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-24-2010, 04:22 PM
Nahi Ha Na Umeed Iqbal Apni Tisht-e-Weeran se ..
Zara Namm ho To Yeh Matti Boht Zarkhaiz Ha Saaqi ...!!
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-24-2010, 07:42 PM
iss aas pey kbi apni chashmm-e-tarr na ponchiiii
wo kbi tou pouchy gaa meri jaan kya howa hai
itna to ho pathraey huwe ashq pighal jaeyn
apna hi koi dard sun le mujhe akar
Noor ul huda
08-25-2010, 10:19 AM
R Hmmmm
Roz e Hisaab Jab Mayra Paish Ho Daftar e Amal
App Bhi Sharam Sar Ho , Mujh Ko Bhi Sharam Sar kar
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-25-2010, 02:36 PM
Roz Dil k andar kiyun bhar jata hai dhuwan
khawab aankhon mein jal gaye hu gai
ik muddat se meri Maan nahi soi Nasir
mai nai ek baar kaha tha mujhey dar lagta hai
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-25-2010, 08:24 PM
Ik Zamana Hai Muj se Khai'f Sa
Baat Ko'i To Infirad'i hai
itni shidat se tut kar chaha
apni jan se guzar gaey hum log
gar mil gaey zindagi mai ittefaq se hum
pochenge apna haal teri bebasi se hum
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-25-2010, 08:47 PM
Main ne Apny jis hath sey likha tha usey sari umar
kap kapati usee ungli sey mitey hein Ansu
us ko keh do buhat na murad shay hai junoon
us ko keh do mujhey buhat hai junoon uaka
aesa mushkil nahi tera milna
dil magar justuju kare kuch to
osey kia sula sakengi ye khamoosh o sard raten
jisey zabt e gham jhanjhore jisey soz e gham jagaey
yeh kah kay dil ne mere hosle barhaey hen
ghamon ki dhoop kay age khushi kay saey hen
na janey kab koi ghar ki taraf palat ayey
jo ho sake to dareecha koi khula rakhna
aam hai apne shahar men pani ki tarah khoon
warna wafa ka khoon bara qimti bhi hai
is ishq nai hamen hi nahi moatadal kia
uski bhi khush mizaji k charche hain in dino
oron kay pas ja kay meri dastan na puch
jo kuch hai mere chare pe likha huwa hai dakh
SABZI WALA
08-28-2010, 04:52 AM
Hadse donu yeh alam mein eham guzre hein
mera marna, teri zaulf ka pareshan hona
!«╬Ĵamil Malik╬«!
08-28-2010, 08:31 PM
aik bas tuu hi nahi mujhase Khafaa ho baiThaa
main ne jo sang taraashaa vo Khuda ho baitha
Aaj ki raat nahi shikwe shikayat k liye
aaj har lamha, har ek pal hai mohabbat k liye
Punjabi
08-30-2010, 04:00 AM
Eid aye hai khushiyaan laye hai
Tohfa kia doon barti mehngayee haiii... :crying20tissue:
is saal ka naam bhi hum nai
teri yadoon ka saal rakha
!~*AdOrAbLe*~!
08-30-2010, 03:19 PM
Ay Dost Mere Zarf-e-Muhabbat Ki Da De
Hai Dil Ki Choot Lab Pe Tabasum Bani Hui
is tarha ghour se mat dekh mera hath ae Faraz
in lakeeroon mai hasraton k siwa kuch bhi nahi
insaniat kay jis ne qaseede kiey madam
naraz ho kay hum se woh insan chala gaya
~ZAIN~
08-30-2010, 10:45 PM
Aap Aajayaein Tou Kuch Waqt Guzar Jaye Ga
Warna Hasti Ka Yeh Sheerazha Bikhar Jaey Ga ?
Ajnabi si ho magar ghair nahi lagti ho
weham se bhi jo ho nazuk wo yaqeen lagti ho
os ne meri nigah kay sare sokhan samjh liey
phir bhi meri nigah men aek sawal hai naya
M A H i
09-01-2010, 08:39 PM
Andaz-e-Guftagu anjan jaab hoya
Raaho'n Main bhi kantay bichata chala gaya...
Adhori Aaas chor kai adhori piyas chor kai
jo rooz yun hi jao gi tu kis tarha nibhaogi ?
!«╬Ĵamil Malik╬«!
09-02-2010, 07:23 PM
ik bas tuu hi nahi mujhase Khafaa ho baiThaa
main ne jo sang taraashaa vo Khuda ho baitha
ab na laey ga koi os kapata mere lia
aur waha koi na ab meri khabar le jaey ga
M A H i
09-03-2010, 01:51 PM
Ab aakhri satron mein kahein naam hai us ka
Ehbaab ki fehrist mein pehla tha jo ek shakhas
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.