waheed ahmed
03-29-2014, 12:11 AM
Ye Ju lafz likhta houN baar baar
Kabhi youN ke jaise Nagiine JuDay
Kabhii youN ke jaise sang giray
Kabhi youN ke chamn kii bahaar
Kabhii youN ke jaise desht-e-reg-zaar
Kabhii youN ke phool phool
kabhii youN ke khaar khaar
ye ju lafz likhtaa houN baar baar
Abhii mera zahn he muntashir
abhi ye lafz
samjh se haiN balaa tar
abhi sakhtii-e-waqt-e-dopehr he
abhi mil jaaye koii saya-e-shajar
Mujhe kia pata mujhe kia khabar
abhi hosh gum se haiN
ke ye MuhabbatouN ka he samer
ya be jaa nafratouN kaa he aser
kia ye enayat-e-khair he?
yaa koi huzn-o-malal-o-sherr
kaheeN aas ke diye jalaiN
kaheeN hasrat-o-yaas ki nazer
kabhi youN ke azab zindagi
kabhi youN ke khodi ke chara gar
aur ye ju
BaarishouN ka he qissa mukhtasir
taa hadd-e-nigaah phaila huwa aber
kabhi you ke aankhaiN taras gaeeN
kabhi youN ke bars gaeeN zaar zaar
Ye ju lafz likhtaa houN baar baar
A poetry By Waheed ahmed
Kabhi youN ke jaise Nagiine JuDay
Kabhii youN ke jaise sang giray
Kabhi youN ke chamn kii bahaar
Kabhii youN ke jaise desht-e-reg-zaar
Kabhii youN ke phool phool
kabhii youN ke khaar khaar
ye ju lafz likhtaa houN baar baar
Abhii mera zahn he muntashir
abhi ye lafz
samjh se haiN balaa tar
abhi sakhtii-e-waqt-e-dopehr he
abhi mil jaaye koii saya-e-shajar
Mujhe kia pata mujhe kia khabar
abhi hosh gum se haiN
ke ye MuhabbatouN ka he samer
ya be jaa nafratouN kaa he aser
kia ye enayat-e-khair he?
yaa koi huzn-o-malal-o-sherr
kaheeN aas ke diye jalaiN
kaheeN hasrat-o-yaas ki nazer
kabhi youN ke azab zindagi
kabhi youN ke khodi ke chara gar
aur ye ju
BaarishouN ka he qissa mukhtasir
taa hadd-e-nigaah phaila huwa aber
kabhi you ke aankhaiN taras gaeeN
kabhi youN ke bars gaeeN zaar zaar
Ye ju lafz likhtaa houN baar baar
A poetry By Waheed ahmed