Log in

View Full Version : roz aa jaataa he, waheed own


waheed ahmed
03-22-2014, 09:05 PM
ab ke tajdeed e wafa ka nahii imkaaN jaanaaN
yad kia tujh ko dilaaeN tera paimaaN jaanaaN

Fraz ahmed Fraz



Roz aa jaataa he kehtaa he JaanaaN JaanaaN
ab kon hota he itna mehrbaaN jaanaaN

Koii baat maiN kabhi dil maiN nahii rakhtaa
apnaa dil tu he be sir-o-samaaN JaanaaN

ab nahiiN pindar-e-Muhabbat kaa bherm baaqii
ab tu graizaaN he her insaan se insaaN jaanaaN


tuu ye na samjh ke ham tujh pe fidaa haiN youN hii
Ham tu takalluf maiN bhi kehte haiN jaanaaN jaanaaN

ab muhabbat keraiN yaa apnii izet bachaayeN
ab tu meri zeest bhi huwi he preshaaN janaaN

Hangamaa iss shehr maiN sunaaii deta thaa kabhii
ab yehi shehr huwa he shehr-e-butaaN jaanaaN

Na baadel he na dill maiN koii derd uth.taa he
aaj baarish kaa nahiiN koii imkaaN jaanaaN


waaqif thaa ju terii ehsaas kii Khushboo se kabhii
ab wohii he terii galyouN maiN haraasaaN jaanaaN

ek umer guzrii he issi shehr se wabasta rahe haiN
youN tu dunyaa maiN sabhi haiN mehmaaN jaanaaN

tuu meri qabar pe ek phool hii sajaa dena jaanaaN
Hem bher daiN ge tere damen maiN gulistaaN jaanaaN

ab merii qismet maiN ujale kii koii kirn bhii nahii
aur teri qismet kaa sitaaraah he derakhshaaN jaanaaN


aur tere lab se Jherte haiN gul-e-tazaH ke sukhn
aur mere lab se derd kaa unwaaN jaanaaN

ham ke jafaa kaar bhii haiN ahd-e-fraamoush bhii haiN
Tune ke Nibhayaa he her doar maiN paimaaN jaanaaN

SHAYAN
03-23-2014, 07:33 PM
Nice..

(‘“*JiĢäR*”’)
03-24-2014, 11:20 AM
Very Nice

waheed ahmed
03-24-2014, 07:47 PM
shayan ji jigar jithank you very much

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.