waheed ahmed
03-21-2014, 02:49 AM
Mujh se pehli sii Muhabbat
mere mehboob naa maang
MaiN ne smjha thaa ke
tuu he tu derkhshaaN he hyaat
tera gham he tu
ghm-e-dahar kaa jhagDaa kia he
teri soorat se he aalm maiN
bahaarouN ko sabaat
terii aankhouN ke siwa
dunyaa maiN rakha kiaa he
tuu ju mil jaaye tu
taqdeer nigouN ho jaaye
youN naa tha
maiN ne faqt chaha tha
youN ho jaaye
Mujh se pehli sii Muhabbat
mere mehboob na maang
Unginat sadiiyouN ke
taareek bahimana tilsim
reshm-o-atlas-o-kamkhuwaab
maiN bunwaaye huwe
ja baja bikte huwe
koch-o-baazaar maiN Jism
Khaak maiN lithDhay huwe
khoon maiN nehlaaye huwe
Jism nikale huwe
amraaz ke tanourouN se
peep behti huwii
galte huwe naasourouN se
Lot jaati he udher ko bhii nazar
kiaa kiijiiiye
ab bhi dilkash he tera husn
Magar kiaa kiijiiye
aur bhi dukh haiN zamane maiN
Muhabbat ke siwa
raahataiN aur bhi haiN
wasal ki rahat ke siwa
Mujh se pehli sii
Muhabbat mere mehboob naa maang
Faiz ahmed Faiz
mere mehboob naa maang
MaiN ne smjha thaa ke
tuu he tu derkhshaaN he hyaat
tera gham he tu
ghm-e-dahar kaa jhagDaa kia he
teri soorat se he aalm maiN
bahaarouN ko sabaat
terii aankhouN ke siwa
dunyaa maiN rakha kiaa he
tuu ju mil jaaye tu
taqdeer nigouN ho jaaye
youN naa tha
maiN ne faqt chaha tha
youN ho jaaye
Mujh se pehli sii Muhabbat
mere mehboob na maang
Unginat sadiiyouN ke
taareek bahimana tilsim
reshm-o-atlas-o-kamkhuwaab
maiN bunwaaye huwe
ja baja bikte huwe
koch-o-baazaar maiN Jism
Khaak maiN lithDhay huwe
khoon maiN nehlaaye huwe
Jism nikale huwe
amraaz ke tanourouN se
peep behti huwii
galte huwe naasourouN se
Lot jaati he udher ko bhii nazar
kiaa kiijiiiye
ab bhi dilkash he tera husn
Magar kiaa kiijiiye
aur bhi dukh haiN zamane maiN
Muhabbat ke siwa
raahataiN aur bhi haiN
wasal ki rahat ke siwa
Mujh se pehli sii
Muhabbat mere mehboob naa maang
Faiz ahmed Faiz