waheed ahmed
03-20-2014, 08:37 PM
shouq-e-raqs se jab tak ungliyaaN nahii khulteeN
PaaouN se hawaa,ouN kii BaDDhyaaN nahii khulteeN
PaiDh ko duaa de ker kat gaii baharouN se
phool itne BarH aaye haiN khiDDkyaaN nahi khulteeN
Phool ben kii sairouN maiN aur kon shamil thaa
shoukhi-e-sabaa se tu baalyaaN nahii khulteeN
Husn ko samjhne ko Umer chaahye JaaNaaN
Do ghaDDi kii chahat maiN larDkyaaN nahi khulteeN
Koii moja-e-sheereeN choom ker jagaaye gii
soorjouN ke naizouN se siipyaaN nahii khulteeN
MaaN se kiaa kahaiN ge dukh Hijar kaa, ke khoud per bhii
itnii chotii umer kii bach.chyaaN nahii khulteeN
Shaakh shaakh ser ger daaN ,kis kii justajoo maiN he
kon se safar maiN haiN titlyaaN nahii khulteeN
Aadhi raat kii chup maiN kis ki chaap ubherti he
Chett pe kon aataa he seerDhyaaN nahii khulteeN
PaanyouN ke cherH.ne tak, haal keh sakaiN aur phir
kiaa qyaamtaiN guzreeN, bastiiyaaN nahi khulteeN
Perveen Shakir