View Full Version : waheed own
waheed ahmed
03-18-2014, 12:54 AM
dear freindz aise hi baithe baithe khyal aya aur likh diya
tum bhi do gaam chal ke Juda ho jana
kisi badle huwe mosam ki ada ho jana
ham bhi cHHup jaa,eN ge mazi ke gunahouN ki taraH
tum bhi ek khyal-e-ahd-e-gum-e-gushta ho jana
(‘“*JiĢäR*”’)
03-18-2014, 09:25 AM
,,:bu:
Princess Urwa
03-18-2014, 09:28 PM
very nice
Golden Tears
03-18-2014, 10:14 PM
nice....
waheed ahmed
03-18-2014, 11:21 PM
Princes urwa jii, jigar jii , Golden Tears jii..............thank you
iss se pehle aik fourm maiN share kerta tha apni poetry tu always top pe hii rehta thaa ,, yahaN bhi shayed aisa hi ho.
I am have a ban on that fourm now.
thats why I joined this fourm .
Waheed from Riyadh Ksa
waheed ahmed
03-18-2014, 11:29 PM
iss dafaH mosam-e-gul maiN bhii Raahat nahii milti
Ajeeb aalam he kisi aik ko Muhabbat nahii miltii
Log tu hawaa,ouN maiN bhi diye jala lete haiN
Sokhe patouN ko tu urhne kii Muhlat nahii miltii
her shakhas kii zubaaN pe us ka naam hii aataa he
Kon kehta he ZindaaN maiN ShuHrat nahii miltii
RangouN kii chahH maiN wo apna rang hi kho baitha thaa
Waheed Chamn ko bahaar ki wo pehlii sii rutt nahii miltii
waheed ahmed
03-19-2014, 06:29 PM
The nature
The Univers
whole made by almighty God
and the poetry is God gifted
through the nature through the universe
and only some heart can be feel it.
so think it people
Can you feel it or not.
waheed ahmed
03-19-2014, 06:38 PM
Short Nazm
MaiN poora doob chuka thaa
wo abhii sahil pe khaDii thii
wo mere sath chal hi na sakii
Us ke paaouN maiN
Zanjeer paDii thii
Good one bro, alag alag poetry ke liye alag alag threads banaye with subject takey asani ho read karney mei
SHAYAN
03-23-2014, 07:36 PM
Nice..
waheed ahmed
03-24-2014, 07:44 PM
ayaz ji shayan jii
thank you very much
pakeeza
09-04-2014, 02:37 PM
Very Nice..
waheed ahmed
09-05-2014, 01:07 AM
Thanks a lot Pakeeza ji
waheed ahmed
09-05-2014, 01:13 AM
dear freindz aise hi baithe baithe khyal aya aur likh diya
tum bhi do gaam chal ke Juda ho jana
kisi badle huwe mosam ki ada ho jana
ham bhi cHHup jaa,eN ge mazi ke gunahouN ki taraH
tum bhi ek khyal-e-ahd-e-gum-e-gushta ho jana
Ham pe ab Muhabbat ka aser hotaa hi khaaN he
tum bhii kisi aur se paband-e-wafaa ho jaanaa
sang-e-malamat nahi ab tu youN he waheed
her aik herf e sukhan ka herf-e-dua ho jaanaa
dt. 6.4.2013
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.