Miss Habib
02-13-2014, 05:53 PM
Hum shehar-e-mohabbat k faqeeron ki tarah the
Dariya’on mein hote the jazeeron k tarah hum
Sehrao’n mein pani k zakheeron k tarah the
Afsos k samjh na humein ehl-e-nazar ne
Hum waqat ki zambeel mein heeray ki tarah the
Sochi na buri soch kabhi un k liye bhi
Paiwast mere dil mein jo log teer’on ki tarah the
Wo shair mere aaj mere jurm bane hain
Kal tak jo mohabbat k safeeron k tarah the
Hairat hai k wo log bhi ab chor chale hain
Jo meri hatheli mein lakeero’n ki tarah the