!«╬Ĵamil Malik╬«!
04-06-2009, 08:57 PM
Kahan A ke ruknay thay rastay! kahan mour tha! osay bhol jaa
Wo jo mill gaya osay yaad rakh, jo nahe mila osay bhol jaa
Wo tere naseeb ke barishain kisi aur chat pe baras gain
Dil-e-be khabar meri baat sun,osay bhol ja, osay bhol jaa
Main tu gum tha tere he dehan mein, teri aas, tere guman mein
Saba keh gai mere kaan mein, mere sath aa, osay bhol jaa
Kisi ankh mein nahe Asak-e-gham, tere baad kuch bhe nahe hai kam
Tujhay zindagi ne bhula dia, tu bhe muskara, osay bhol jaa
Kiun Atta howa hai gubar mein, gham-e-zindagi ke fishar mein
Wo jo darj tha tere bakht mein, so wo ho gaya, osay bhol ja
na wo Ankh he teri Ankh thi, Na wo khowab he tera khowab tha
Dil-e-muntazir tu yee kis liye, tera jagna, osay bhol jaa
Yee jo raat din ka hai khel sa, osay dekh ais pe yaqeen na kar
Nahe Aks koi bhe mustakil, Sare Aina, osay bhol jaa
Jo bisat-e-jaan he ulat gaya, wo jo rastay mein palat gaya
Osay roknay se hasol kia, osay mat bula, osay bhol jaa...