Cute Anam
02-07-2014, 10:59 PM
Ham kisi chshm-e-fusoon saz mein rkhay huay hain
Khwab hain, khwab kay andaz mein rkhay huay hain
Taab anjam-e-muhabbat ki bhla kya latay
Natawan dil wahin, aaghaz mein rkhay huay hain
Jaltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh
Jo teri anjuman-e-naaz mein rakhay huay hain
Ay hawa! aur khizaon kay ilawa kya hai
Waswasay kion teri aawaz mein rkhay huay hain?
Ik sitaray ko to main subh tlak lay aya,
Beshtar raat kay aaghaz mein rkhay huay hain
Kat kay woh par to hwaon mein kahin urh b gaye
Dil yahin hasrat-e-prwaz mein rkhay huay hain
Ham to hain aab-e-zar-e-ishq say likhay huay harf
Baish qeemat hain, buhat raaz mein rkhay huay hain