Log in

View Full Version : Ye Dunya Kay Masoom Log ..


~*Gillanii
04-06-2009, 05:29 PM
Ye Dunya Kay Masoom Log Bhi Kaisi Kaisi Batay Ghartay Hain ..
Kehtay Hain Muhabbat Walo'n Kay Jhanday Sahil Pay Partay Hain ..
Kabhi Utaaro To Sahi Muhabbat Kay Sumndar Main Apni Kashti ..
Phir Poocho'n Ga Tumharay Lunger Kis Qoochay Main Daltay Hain ..

Ajeeb Kissa-e-Gumrahi Hay, Jisay Apnay Kal Ki Khabar Nahi
Ajeeb Saaz-e-Shehnai Hay, Jisay Aglay Pal Ki Khabar Nahi ..
Wo Kaisay Keh Daita Hay Kay Wo Kisi Ka Ho Kay Rahay Ga ..
Wo Kisaan Kya Fasal Ugaye Ga, Jisay Apnay Hul Ki Khabar Nahi ..

Kuch Na Paye Ga Tu Is Muhabbat Say, Bass Rulaya Jaye Ga ..
Manzil Say Pehlay Hi, Beech Rastay Tera Khoon Bhaya Jaye Ga ..
Is Dunya Ki Muhabbat Ko Kabhi Muhabbat Ka Naam Mat Dijiyo ..
Haseen Khawbo'n Kay Baad Waqt-e-Hijr Dikhaya Jaye Ga ..

Ye Kaisi Muhabbat Hay? Jo Roz-e-Hashar Tujh Say Baygani Hogi ..
Us Din Ye Muhabbat Hawa Hogi Aur Sirf Tumhari Kahani Hogi ..
Bass Tumhari Maa'n Kay Naam Say Tumhain Bulaya Jaye Ga ..
Haan, Yeh Aik Muqaddas Rishta Hay Jo Nibhaya Jaye Ga ..

Kion Hum Nay Char Din Ki Mulaqat Ko Muhabbat Ka Naam Diya ??
Kion Hum Nay Is Jhootay Bandhan Ko Pak Rishtay Ka Naam Diya ??
Kya Ghazab Dhaa Diya Dunya Walo, Muhabbat Katal Kar Di Hum Nay!!
Kion Hum Nay Qatl ' o ' Gharat Ki Andhi Ko Aman Ka Naam Diya??

Ye Jhoot Nahi, Mere Bhi Haath Muhabbat Kay Khoon Main Rangay Hain ..
Ab Bhi Peechay Mur Kay Daikho'n To Mere Rastay Baydhangay Hain ..
Jo Ankhain Char Karo'n To Nazar Nahi Mila Pata Main Apnay Mazi Say ..
Jisay Main Muhabbat Kehta Tha, Ab Wo Sab Mosam Bayrangay Hain ..

Us Zaat Say Baywafai Kar Kay, Dobara Usi Kay Dar Par Khara Hoon ..
Mujhay Is Bhanwar Say Nikalay, Dobara Usi Kay Dar Par Khara Hoon ..
Ruk Gai Hay Kashti Beech Sumandar Main, Haan Magar Doobi Nahi ~*Gillanii..
Lotaye Ga Wo Wapis Mere Dais, Dobara Usi Kay Dar Par Khara Hoon ..

safa
04-06-2009, 05:34 PM
achi baatein hain ......:flower4u:

~*Gillanii
04-06-2009, 06:06 PM
Shukriya Pyari Safa .. Mere Haq Main Duwa Karna :flower4u:

Jhuki Palkein
04-06-2009, 10:01 PM
Ufff! Phir Se Kamaal Kar Diya Bhai ,.

This One Is Def. Thought Provoking,. Beautiful Written And Very True!

Lagta Hai Meri Duao'n Ka Asar Ho Raha Hai :10:

Btw, Bhai Kaha, Hope U Don't Mind ,.

Jhuki Palkein
04-06-2009, 10:03 PM
Aik Koshish Aapke Liye,.

Aapke Saamne To Kuch Nahi, Par Phir Bhi, Dil Kiyaa To I Am Posting It,.

You May Critisize , Actually U Should Critisize,. Warna Behtar Kaise Hoongi :)

Ye Duniya Ke Log Bhi Kaisi Kaisi Masoom Baatein Karte Hain,.
Wo Kaise Keh Dete Hain Ke Hum Kisi Ke Ho Ke Hi Raheinge,.
Kaise Keh Dete Hain Ke Hum Marr Kar Bhi Kisi Ko Hi Chaheinge,.
Aur Phir Ussi Ki Bewafai Ke Ranjh-o-Gham Mein Rab Se Maut Mangte Hain,.

Hamari Khatao’n Ko Mauf Kar Mere Maula, Khalb-e-Saqoo’n Baqsh De Mere Maula,.

Ye Duniya Meri Samajh Se Bahir Hai Ya-Rab, Jaha’n Nahi Jaana Chahiye, Wahi’n Keeche Kyu’n Chale Jaate Hain Log,.
Kaisi Duniya Mein Ye Jeete Hain, Kisi Anjaan Ko Kaise Dil De Dete Hain Log,.
Kaise Kisi Duniyavi Pyar Ke Liye, Maa-Baap Ko Azaab-e-Qabr Se Guzaarte Hain ’Isma’,.
Phir Is Karni Ki Vaja Se Yu’n Pashtate Hain, Ke Kisi Pe Bharosa Karne Se Is Qadar Darte Hain,.

Hamari Khatao’n Ko Mauf Kar Mere Maula, Khalb-e-Saqoo’n Baqsh De Mere Maula,.

Bohat Duniya Ko Chah Liya, Ab Sirf Teri Hi Talab Hai Khaaliq,.
Bayshaq Tu Hai Reham Karne Wala, Na Humein In Logo’n Ke Rang Mein Rangne Dena,.
Nafs-I-Mutma’Inna Ki Talabgaar Hoon Main, Maula Tere Hi Aage Jholi Pehlaati Hoon Main,.
Rab Ke Siwa Koyi Mohabbat Ke Qabil Nahi, Bas Itna Hi Kehna Chahti Hoon Main,.
Samajh Jaoge To Tumhara Hi Faida, Warna Yaum-e-Hisaab Ke Din Kahan Hai Koyi Kisi Ki Sochta,.

Hamari Khatao’n Ko Mauf Kar Mere Maula, Khalb-e-Saqoo’n Baqsh De Mere Maula, Ameen!!


Erm, I Stole Some Of Ur Linez,. =S

~*Gillanii
04-06-2009, 10:16 PM
Jp Is Main Bura Mananay Wali Koi Baat Nahi, Bhai Keh Sakti Ho Aap :handshake: ..
Aur Sach Sach Batana Meri Poetry Say Idea Chori Kya Ya Khud Likhi :giggle:
Pehlay Say Kafi Behtar Hay, Magar Aur Mehnat Karo, Janta Hoon Tumhain Likhnay Ka Kafi Shoq Hay .. Aur Agar Aisay Hi Shoq Raha To bohat Agay Jao Gi Inshallah, Rastay Main Thakna Mat Chalti Jana Bohat Naam Kamao Gi :flowers:

~*Gillanii
04-06-2009, 10:23 PM
Sakoon-e-Qalb** ..

~*Gillanii
04-06-2009, 10:24 PM
Is Line Ka Matlab Nahi Samjha Main .. Kaise Kisi Duniyavi Pyar Ke Liye, Maa-Baap Ko Azaab-e-Qabr Se Guzaarte Hain ’Isma’,.

~*Gillanii
04-06-2009, 10:26 PM
Nafs-I-Mutma’Inna , Aisa Bhi Koi Word Nahi Suna .. Balkay Shayad Hay Hi Nahi ..
Aap Start Main Thori Easy Urdu Use Karo Na, Hard Urdu Kharab Karay Gi ..

~*Gillanii
04-06-2009, 10:27 PM
Yaum-e-Hisaab Ke Din ... Youm Ka Matlab Hota Hay Din ..
Youm-e-Hisaab Likh Diya To Din Likhnay Ki Zaroorat Nahi

~*Gillanii
04-06-2009, 10:28 PM
Ummm Baki Sab Theek Hay, Shezadi Lagi :super: .. !!

Jhuki Palkein
04-06-2009, 11:26 PM
Jp Is Main Bura Mananay Wali Koi Baat Nahi, Bhai Keh Sakti Ho Aap :handshake: ..
Aur Sach Sach Batana Meri Poetry Say Idea Chori Kya Ya Khud Likhi :giggle:
Pehlay Say Kafi Behtar Hay, Magar Aur Mehnat Karo, Janta Hoon Tumhain Likhnay Ka Kafi Shoq Hay .. Aur Agar Aisay Hi Shoq Raha To bohat Agay Jao Gi Inshallah, Rastay Main Thakna Mat Chalti Jana Bohat Naam Kamao Gi :flowers:

Sach Bataoo'n To Chori Ki Hai :0039:

Aur Shukriya Bhai,. :)

Jhuki Palkein
04-06-2009, 11:29 PM
Is Line Ka Matlab Nahi Samjha Main .. Kaise Kisi Duniyavi Pyar Ke Liye, Maa-Baap Ko Azaab-e-Qabr Se Guzaarte Hain ’Isma’,.

Mere Ye Matlab Tha,. Umm,.

I Have Had A Friend Who Left Her Parents Because Of Her 'love',. After Knowing About This Her Mom Died By Heart Attack,.

I Hope U Are Understanding What I Am Trying To Say! :)

Jhuki Palkein
04-06-2009, 11:33 PM
Nafs-I-Mutma’Inna , Aisa Bhi Koi Word Nahi Suna .. Balkay Shayad Hay Hi Nahi ..
Aap Start Main Thori Easy Urdu Use Karo Na, Hard Urdu Kharab Karay Gi ..

Bhai, Agar Hard Urdu Nahi Istemal Mein Laoongi To Poetry Main Wazan Kaise Ayega? :(

Hmm, Aur Lafz To Hai, U Can Find It Here,. http://en.wikipedia.org/wiki/Nafs

But Hmm I Think It Is An Arabic Word,. Lol

Jhuki Palkein
04-06-2009, 11:33 PM
Ummm Baki Sab Theek Hay, Shezadi Lagi :super: .. !!

Chalo Kuch To Theek Tha Cutie

~wish munda~
04-07-2009, 12:46 AM
gooood sharing

~*Gillanii
04-07-2009, 01:38 AM
OOOOO Jp, Meri Poetry Choori Honay Lagi :laugh:
Sab Say Pehli Baat Jp Poetry Zabardasti Nahi Ki Jati, Poetry Bass Hojati Hay, Aap Nay Zabardasti Ki Hay, And Its True Dun Mind Haan :0017:

Aur Doosri Baat Jo Azab-e-Qabar Wali Line Hay, Azab-e-Qabar To Wo Hota Hay Jo Qabar Main Milta Hay, Jo Aap Nay Baat Batai Us Sense Main Nahi Use Hoga .. Khair Jaldi Hi Aap Urdu Ka Istemal Karna Jaan Jao Gi, Poetry Read Karti Raha Karo :thumb:

~*Gillanii
04-07-2009, 01:44 AM
Aur Ye Kis Nay Kaha Aap Say Poetry Main Wazan Hard Urdu Say Atta Hay?? Aisa Kuch Nahi Jp, Simple Urdu Use Karo Wo Bhi Jaandaar Hoti Hay..
Hard Urdu Main Tab Karna Jab Aap Words Ko Theek Say Istemal Karna Jaan Jao .. hmmm?

~*Gillanii
04-07-2009, 01:48 AM
Haan Nafs-e-Mutmainna Hay, Nafs Ki Types Nahi Janta Sari Isi Liye Soch Main Par Gya Tha :o ..
Magar Ye Bhi Wohi, Theek Say Apni Jaga Par Fit Nahi Baitha .. Anyway Jp Main Aap Kay Shoq Ko Bohat Bohat Zyada Daat Daita Hoon, Bass Ye Shoq Hi Sab Kuch Sikha Day Ga, Dun Worry :p
Poetry Main Nay Edit Ki Hay, Kuch Kami Mehsoos Kar Raha Tha, Dobara Read Karna ..

~*Gillanii
04-07-2009, 01:49 AM
Pasand Karnay Kay Liye Shukriya Wish, Khush Raho .. :)

ShArArTi MuNdA
04-07-2009, 04:53 AM
Very nice sharing Dushmanooo one again

keep it up & Very nice sharing JP as well


Kaise Kisi Duniyavi Pyar Ke Liye, Maa-Baap Ko Azaab-e-Qabr Se Guzaarte Hain ’Isma’,.

ka matlab hai k ..... hum kesey es duniyavi payar ki khatir aapney maaa baap ko ignore kertey hain ...... in simple i think JP tried to say k ... aap kesey kesi larki ki khatir apney parents ko ignore kertey ho ;)

tht was my thinking not sure exactally abt her end :p


very nice sharing both of you..

keep it up

"K.G"
04-15-2009, 04:05 PM
BEkar hai DOST Time Ka Ziya' Kia Hai Aur Kuch Nhi :D

~Pr!nCe$s UrOoJ~
04-15-2009, 04:22 PM
bohot zabardast

s_sableo
04-19-2009, 09:55 PM
Oye hoye hoye hoye hoye hoye hoye gillani jeee u r excellent yaar
v fantastic aik dam akhiri wali likhi hai merey dost bohaat
bohat bohat bohat khoob hai yaar v nice keep it up aik dam sahi hia
hur tarah sey koi kharabi ni bohat achi hai v nice

Irfa
04-21-2009, 12:29 AM
pata nahi janb likin ak bath hi aj ke zamany me ko masoom nahi hi

"K.G"
07-22-2009, 04:59 PM
thnx for sharing

!~*SOoLi
07-31-2009, 12:54 AM
Thanks Kayjee, Urooj, S Sableo & Irfa ..

Hamzaking
11-06-2009, 07:55 PM
nice...................

life
08-16-2012, 10:13 PM
nice sharing

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.