~*Gillanii
03-30-2009, 10:23 PM
Tumnay Daikha Hay Kabhi Sher-e-Khamosha'n Ko??
Log Mit Jatay Hain Par Dil Kay Phapoolo'n Ki Jalan ..
Cheekh Ban Kar Kabhi Honto'n Pay Nahi Aa Pati ..
Neelgo'n Charkh Ki Wus'at Main Kho Nahi Pati ..
Lafz Dam Tor Diya Kartay Hain Lab Pay Aa Kar ..
Yaha Nigah Bhi Talwaar Ban Nahi Pati ..
Aur Hum Shehr-e-Khamosha'n Kay Makeen, Humsay Na Pooch ..
Kaisay Shab Dhalti Hay? Kis Tarha Sehar Hoti Hay?
Hum Tootay Huway Sheesho'n Ki Tarha Ho Jaisay ..
Apnay Zakhmo'n Ka Madawa Bhi Nahi Kar Patay ..
Dil Dareeda Hain, Magar Dard Ka Izhaar Kaha'n?
Zilm Sehtay Hain Magar Aah Nahi Kar Patay ..
Narsai Ka Bhala Dukh Na Hamain Kyo'n Kar Ko?
Jikko Chahain, Usay Apna Bhi Nahi Keh Patay ..
Rab Say Khaif Hain Magar Phir Bhi Duwa Kartay Hain ..
Janay Kis Haal Main Hum Log Raha Kartay Hain ..
Tar-e-Dil Toot Bhi Jaye To Khabar Kisko Ho ..
Hum To Har Bazm Main Hans Bol Liya Kartay Hain ..
Bus Kay Chup Likhtay Hain, Zalim Ko Duwa Daitay Hain ..
Raa'h Main Koi Sahara Na Koi Nakhlistan ..
Manzilain Door Bohat Door Khari Hoon Jaisay ..
Aik Taptay Howay Sehra Ki Musafat Hay Aur Hum ..
Aabla Paa Hain Par Qayem, Kaha Mumkin Hay?