Rania
10-07-2013, 03:33 AM
Sitaron se age jahan aur bhi hain
Abhi ishq k imtihan aur bhi hain
Tahi zindagi se nahin ye fizayen
Yahan saikaron karawan aur bhi hain
Qanaat na kar alam-e-rang-o-boo par
Chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheman to kya gham
Maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain
Tu shahin hai parwaz hai kam tera
Tere samne aasman aur bhi hain
Isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja,
Keh tere zamaan-o-makan aur bhi hain
Gaye din k tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere razadan aur bhi hain
Abhi ishq k imtihan aur bhi hain
Tahi zindagi se nahin ye fizayen
Yahan saikaron karawan aur bhi hain
Qanaat na kar alam-e-rang-o-boo par
Chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheman to kya gham
Maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain
Tu shahin hai parwaz hai kam tera
Tere samne aasman aur bhi hain
Isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja,
Keh tere zamaan-o-makan aur bhi hain
Gaye din k tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere razadan aur bhi hain