Rania
09-27-2013, 08:41 AM
Yeh nah thi humari qismat ke visal-e-yar hota
Agar aor jeety rehty yehi intezar hota
Tery waady pe jiye hum to yeh jan jhoot jana
Keh khushi se mar na jaty agar eitebar hota
koi mery dil se pochy tery neem kash ko
Yeh khalish kahanse hoti jo jigar ke paar hota
Yeh kahan ki dosti hai keh bany hein dost naaseh
Koi chara saaz hota koi gham gusaar hota
Gham agarcha jan gusal hai pe kahan bachen keh dil hai
Ghame-e-ishq gar nah hota ghame-e-rozgar hota
Kahon kis se main ke kya hai shab-e-gham buri bala hai
Mujhy kya bura tha marna agar aik bar hota
Hoye mar ke hum jo ruswa hoye keyon na gharq-e-darya
Nah kabhi janaza uthta nah kahin mazaar hota
Usy kon dekh sakta keh yagana hai woh yakta
Jo doi ki boo bhi hoti to kahin do char hota
Yeh masail-e-tasawwuf yeh tera bayan Ghalib
Tujy hum wali samajhty jo na bada khowaar hota