PDA

View Full Version : Hein Khawab Mein Hanooz Jo Jagy Hein khawab Mein...


Rania
09-27-2013, 08:19 AM
Kal ke liy kar aaj nah khist sharab mein
Yeh sooye zan hai saqi kosar ke baab mein

Hein aaj keyon zalil keh kal tak nah thi pasand
Gustakhi-e-firishta humari janab mein

Jaan keyon nikalny lagti hai tan se dam-e-samaa
Gar woh sada samai hai chanak-o-rubab mein

Ro mein hai rakhsh-e-omar kahan dekheye thamy
Ne hath baag par hai nah paa hai rakab mein

Utna hi mujh ko apni haqeeqat se boad hai
Jitna keh wehm ghair se hon pech-o-taab mein

Asl-e-shohood shahid-o-mashhoor aik hai
Heran hon phir moshahida hai kis hisaab mein

Hai mushtamil namood-e-sor par wajood-e-bohr
Yan kya dhara hai qatra-o-moj-o-habab mein

Sharam ik adaye naz hai apny hi se sahi
Hein kitny be hijab keh hein yon hijab mein

Aaraish-e-jamal se farigh nahin hanooz
Pesh-e-nazar hai aaina daim-e-niqab mein

Hai ghaib ghaib jis ko samjhty hein hum shahood
Hein khawab mein hanooz jo jagy hein khawab mein

Ghalib Nadeem-e-dost se aati hai booye dost
Mashgol-e-haq hon bandgi boo turaab mein

Urdu Poetry By Mirza Ghalib

(‘“*JiĢäR*”’)
09-27-2013, 09:11 AM
>ery n!c3

Morash
10-01-2013, 09:49 PM
Bohat Aala ..

M A H i
10-02-2013, 07:21 PM
...:bu:

Golden Tears
10-02-2013, 07:56 PM
Bery Nice

Rania
10-03-2013, 06:38 AM
Thanks

AYAZ
10-03-2013, 07:29 PM
Superb

SHAYAN
02-16-2014, 11:30 PM
V Nice..

Rania
02-18-2014, 11:45 AM
Thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.