Awara Badal
09-14-2013, 04:33 PM
Ab Wohi Harf-E-Junoon Sab Ki Zubaan Thehri Hai
Jo Bhi Chal Nikli Hai Woh Baat Kahaan Thehri Hai
Aaj Tak Sheikh kay Ikraam mein Jo Shay Thi Haraam
Ab Wohi Dushman-E-Deen, Raahat-E-Jaan Thehri Hai
Hai Khabar Garm kay Phirta Hai Guraizaan Naasih
Guftagu Aaj Sar-E-Koo-E-Butaan Thehri Hai
Hawi Wohi Aariz-E-Laila, wohi Shireen Ka Dahan
Nigah-E-Shauq Gharri Bhar Ko Jahaan Thehri Hai
Wasal Ki Shab Thee To Kis Darja Subak Guzri Thee
Hijr Ki Shab Hawi To Kya Sakht Giraan Thehri Hai
Bikhri Ik Baar To Haath Aayi Hai Kab Mauj-E-Shameem
Dil say Nikli Hawi To Kab Lab pe Fughaan Thehri Hai
Ham nay Jo Tarz-E-Fughaan Ki Thee Qafas mein eejaad
FAIZ Gulshan Mein Wohi Tarz-E-Bayaan Thehri Hai