View Full Version : Bashir Badar
JaNoo
03-26-2009, 04:53 PM
WOH AIK SHAKHS K JIS KO GHAZAL BHI KEHTAY HAIN
charagh lay k terey shehar sey guzarna hai
yeh tajarba bhi humain aik baar kerna hai
main woh pahar hun jo cut raha hun pani sey
yeh dil nahi hai merey aansuoun ka jharna hai
merey aziz main utri nadi main kia utroon
mujhay charhay huye derya ko paar kerna hai
bohat jadeed hun lekin yeh mera wirsa hai
usi qadeem gali sey mujhay guzarna hai
tumhain khabar nahi suraj bhi aks hai mera
tamam din ka mujhay intizam kerna hai
woh aik shakhs k jis ko ghazal bhi kehtey hain
usi k naam sey jeena, usi sey merna hai
JaNoo
03-26-2009, 04:54 PM
JAO SO JAO K MAUSAM BARA JAZBAATI HAI
dil shikasta apnay jaisa yahan koi dafan hai
der tak raat ko roney ki sada aati hai
jaisay chashmay peh nahati hui shehzad-e-khuab
chandni raat ab ashkon main naha jati hai
kia yahan dasht-e-tamanna main koi phool khila
ab idher roz kai baad-e-saba aati hai
kis dastak nay bohat chupkay sey sergoshi ki
chand sey chandni nazdeek hui jati hai
meri aankhon main uter aaye hain kaley badal
jao so jao k mausam bara jazbaati hai
khushk patton ko koi rond raha hai shayed
baal bikhraye huye baad-e-saba aati hai
JaNoo
03-26-2009, 04:55 PM
CHAND KI CHUDHWEEN TAREEKH HAI, UPER DEKHO
bader do aankhain bohat dhoond rahi hain tum ko
chand ki chaudhween raat hai, uper dekho
raat soi hui raa'naiyon ney mujh se kaha
hum tumhari hi ghazal hain kabhi hum ko bhi kaho
chandni raat main keh jati hai aahat jaisay
hum bohat paas hain aawaz na do, hum ko suno
jis sey umeed-e-wafa hogi wohi dukh dai ga
beywafa jaan kay chaho jisay ab kay chaho
us ki qudrat main nahi ruk kay koi baat sunay
waqt aawaz hai aawaz ko aawaz na do
muntazir kab sey hain auraaq-e-kitab-e-hasti
dil ka kuch rang kero nok-e-qalam ko chumo
aik aawaz bohat kafi hai sotay k liye
log samjhain gay baney laitay ho ab jaag pero
aaj kamrey main nahi bethnay wala mausam
berf girnay ki khabar garm hai ab jaag pero
JaNoo
03-26-2009, 04:58 PM
ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai
abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai
wohi shakhs jis pey apney dil'o'jaan nisaar ker doun
wo ager khafa nahi hai tu zuroor badgumaan hai
kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishta terey merey darmiyaan hai
merey saath chalney waley tujhey kia mila safar mein
wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai
mein isi gumaan mein barsoon bara mutmai'en raha houn
tera jism be'taghayyur hai mera pyaar jawedaan hai
unhi rastoon ne jin per kabhi tum they saath merey
mujhey rok rok poocha tera humsafar kahan hai.
JaNoo
03-26-2009, 04:59 PM
siyahiyoon kay banay harf harf dhootay hain
yeah loug raat mein kaghaz kahan bhigotay hain
kis ke rah mein dehleez par diyeah na rakho
kawaar sokhi hoi lakriyon kay hotay hain
charagh pani mein moujoon say pochtay hon gai
woh koun loug hain jo kashtiyaan dabootay hain
qadeem qasboon mein kaysa sakoon hoota hai
thakay thakaye humaray buzurg sootay hain
chamakati hai kaheen sadiyoon mein ansoon say zameen
ghazal kay shair kahaan roz roz hotay hain ~!!
JaNoo
03-26-2009, 05:00 PM
Na g bher k daykha
Na g bher k daykha na kuch baat ki
Bari aarzoo thee mulakaat ki
Ujaloon ki pareeyan nahanay lageen
Nadee gungunaee khayalaat ki
Main chup tha tu chalti hawa ruk gaee
Zuban sab samajtay hain jazbaat ki
Muqader mari chasm per aab ka
Brastee huee raat barsaat ki
Kaee saal say kuch khaber hi nahi
Kahan din guzara kahan raat ki
JaNoo
03-26-2009, 05:01 PM
Abhi is taraf na nigah ker
Abhi is taraf na nigah ker main gazal ki palkain sawar loon
Mayra lafz lafz hai aeynah tujhey aeynay main utar-loon
Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga howa
Zara thayher ja isi moorh per tayray saat sham guzar loon
Ager aasman ki numa-eeshoon main mujhay bhi izan-e-kayam ho
To main mootiyoon ki dukan say tayri baleeyan tayray haar loon
Kahain or bant day shohratain kahain or baksh day izatain
Mayray paas hai mayra aaeynah main kabhi na gard-do-ghubar loon
Kai ajnabi tayri rah main mayray pass say yun guzar gaey
jinhain daykh ker ya tarap huee tayra naam lay kay pookar loon
JaNoo
03-26-2009, 05:02 PM
Gham chhupaate rahe muskuraate rahe
mahafilo.n mahafilo.n gun_gunaate rahe
aa.Nsuo.n se likhii dil kii tahariir ko
phuul kii pattiyo.n se sajaate rahe
Gazale.n kumhalaa ga_ii.n nazme.n murjhaa ga_ii.n
giit sa.Nvalaa gaye saaz chup ho gaye
phir bhii ahal-e-chaman kitane Khush_zauq the
naGmaa-e-fasl-e-gul gun_gunaate rahe
terii saa.Nso.n kii Khushbuu labo.n kii mahak
jaane kaise havaaye.n u.Daa laa_ii.n thii
vaqt kaa har qadam bhii bahakataa rahaa
zaqt le paa.Nv bhii Dag_magaate rahe
JaNoo
03-26-2009, 05:02 PM
ek sham yun hua ki kisi shair ne apni ghazal ka koi sheir kaha,to ghazal use dhoondti hui rat main uske sapno tak ja pahunchi aor uske kan main boli ki main anek shairon ke pas hoti hui tujh tak pahunchi hoon aor ab teri hokar rahna chahti hoon, kya tu mujhe kabool karega, to sapne main hi us shair ne han kah di aor savere jab uski aankh khuli,tousne barhe jor se elan kardiya ki main ghazal ka shair hoon.yah shair aor koi nahi,balki dr.bashir badrr sahab hain jo apne khas andaz ke liye jane jate hain jo
vakaei ghazal ke shair hain,na hindi ke na urdu ke.
lijiye unki ek khubsurat si ghazal aap sab ki nazr.....
hamara dil sawere ka sunhara jam ho jaye
charagon ki taraha aankhen jalen,jab sham ho jaye
kabhi to aasma se chand utre,jam ho jaye
tumahre nam ki ik khubsurat sham ho jaye
main khud bhi ahtiyatan us gali se kum guzarta hoon
koi masum kyon mere liye badnam ho jaye
azab halaat the yun dil ka soda hogaya akhir
muhbbat ki haveli jis taraha nilam ho jaye
samunder ke safar main is taraha avaz do humko
hawain tez hon aor kashtiyon main sham ho jaye
mujhe maloom hai uska thikana fir kahan hoga
parinda aasman chhoone main jab nakam ho jaye
ujale apni yadon ke humare sath rahane do
na jane kis gali main zindgi ki sham ho jaye
JaNoo
03-26-2009, 05:03 PM
Leejiye pesh hai Dr. Bashir Badr ki aik aur ghazal:
bhiigii hu_ii aa.Nkho.n kaa ye ma.nzar na milegaa
ghar chho.D ke mat jaao kahii.n ghar na milegaa
phir yaad bahur aayegii zulfo.n kii ghanii shaam
jab dhuup me.n saayaa ko_ii sar par na milegaa
aa.Nsuu ko kabhii os kaa qataraa na samajhanaa
aisaa tumhe.n chaahat kaa samu.ndar na milegaa
is Khvaab ke maahaul me.n be-Khvaab hai.n aa.Nkhe.n
baazaar me.n aisaa ko_ii zevar na milegaa
ye soch lo ab aaKhirii saayaa hai muhabbat
is dar se uthoge to ko_ii dar na milegaa
JaNoo
03-26-2009, 05:04 PM
kabhi yun bhi aa meri aankh main ki meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek rat navaz de,magar uske bad sahar na ho
wo badaa rahim-o-karim hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhulne ki dua karoon, to meri dua main asar na ho
mere bazuon main thaki-thaki, abhi mahv-e-khwab hai chandani
na uthe sitaron ki palki, abhi aahton ka guzar na ho
ye ghazal ki jaise hiran ki aankh main, pichhali rat ki chandni
na bujhe kharabe ki raoshani,kabhi becharagh ye ghar na ho
kabhi din ki dhoop main jhoom ke,kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi sath-sath chalen sada,kabhi khatm apna safar na ho
JaNoo
03-26-2009, 05:04 PM
kahii.n chaa.Nd raaho.n me.n kho gayaa kahii.n chaa.Ndanii bhii bhaTak ga_ii
mai.n charaaG vo bhii bujhaa huaa merii raat kaise chamak ga_ii
merii daastaa.N kaa uruuj thaa terii narm palako.n kii chhaa.Nv me.n
mere saath thaa tujhe jaaganaa terii aa.Nkh kaise jhapak ga_ii
kabhii ham mile to bhii kyaa mile vahii duuriyaa.N vahii faasale
na kabhii hamaare qadam ba.Dhe na kabhii tumhaarii jhijhak ga_ii
tujhe bhuul jaane kii koshishe.n kabhii qaamayaab na ho sakii.n
terii yaad shaaKh-e-gulaab hai jo havaa chalii to lachak ga_ii
JaNoo
03-26-2009, 05:05 PM
lijiye pesh hain dr.bashir badr sahab ke chund mukhtlif sheir unke kadrdanon ki nazr...
ujale apni yadon ke humare sath rahane do
na jane kis gali main zindagi ki sham ho jaye
koi hath bhi na milaye ga jo gale miloge tapak se
ye naye mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo
koi phool dhoop ki pattiyon men hare riban se bandha hua
ye ghazal ka lahza naya-naya,na kaha hua ,na suna hua
mkaan se kya mujhe lena,mkaan tumko mubarq ho
magar ye ghas wala reshmi qaleen mera hai
kisne jalayin bastiyan, bazar kyon lute
main chand pe gaya tha,mujhe kuchh pata nhin
sar jhukaoge,to patthar devta ho jayega
itna mat chaho use wo bewafa ho jayega
nazar se guftgu, khamosh lub tumhari tarah
ghazal ne sikhe hain andaz sab tumhari tarah
pahali bar nazaron ne chand bolte dekha
hum jawab kya dete,kho gaye sawalon main
aankhon ki kishtiyon men safar kar rahe hain vo
jin doston ne dil ke safine duboye the
JaNoo
03-26-2009, 05:06 PM
Khvaab is aa.Nkho.n se ab ko_ii churaa kar le jaaye
qabr ke suukhe huye phuul uThaa kar le jaaye
mu.ntazir phuul me.n Khushbuu kii tarah huu.N kab se
ko_ii jho.nke.n kii tarah aaye u.Daa kar le jaaye
ye bhii paanii hai magar aa.Nkho.n kaa aisaa paanii
jo hathelii pe rachii meha.ndii u.Daa kar le jaaye
mai.n mohabbat se mahakataa huaa Khat huu.N mujh ko
zindagii apanii kitaabo.n me.n dabaa kar le jaaye
Khaak i.nsaaf hai naabiinaa buto.n ke aage
raat thaalii me.n chiraaGo.n ko sajaa kar le jaaye
JaNoo
03-26-2009, 05:09 PM
sar jhukaoge,to patthar devta ho jayega
itna mat chaho use,vo bevfa ho jayega
hum bhi dariya hain,humen apna hunar maloom hai
jis taraf bhi chal padenge, raasta ho jayega
kitni sachchai se mujhse zindgi ne kah diya
tu nahin mera,to koi doosra ho jayega
main khuda ka nam lekar pee raha hoon dosto
zahr bhi ismen agar hoga,dawa ho jayega
sab usi ke hain,hawa,khushboo,zamino-aasman
main jahan bhi jaoonga,usko pataa ho jayega
JaNoo
03-26-2009, 05:10 PM
socha nahee achcha bura, dekha suna kuch bhee nahee
maangaa khuda se raat din terey siva kuch bhee nahee
socha tujeh, dekha tujeh, chaha tujeh, pooja tujeh
meri khata mei wafa teri khata kuch bhee nahee
jis per hamari aankh ney moti bichaaye raat bhar
bhaija wahee kaghaz use, hamney likha kuch bhee nahee
ek shaam ke dehleez par baithey rahey woh dair tak
aankhon se kiin baateyn bahot monh se kaha kuch bhee nahee
woh char din ki baat hai dil khaak mai so jaiga
jab aag per kaaghaz rakha baqi bacha kuch bhee
JaNoo
03-26-2009, 05:11 PM
wo chandani ka badan khushbuon ka saya hai
bahut aziz humen hai magar paraayaa hai
utar bhi jaao kabhi aasamaan ke jeene se
tumehn khuda ne hamaare liye banaaya hai
kahan se aayi ye khushboo,ye ghar ki khushboo hai
is ajnabi ke andhere men kon aaya hai
mahak rahi hai zamin chandani ke phoolon se
khuda kisi ki muhabbat pe muskraya hai
use kisi ki muhabbat ka aitbar nahin
use zamin ne shayad bahut sataaya hai
tamam umrr mera dum usee dhunen men ghuta
wo ik charagh tha, maine use bujhaya hai
JaNoo
03-26-2009, 05:12 PM
log toot jaate hain ek ghar banaane men
tum taras nahin khate bastiyaan jalaane men
aour jaam tootenge is sharaabkhaane men
mosmo ke aane men, mosmo ke jane men
har dharhkate patthar ko log dil samajhte hain
umrren beet jaati hain dil ko dil banaane men
fakhtaa ki majboori thi ye bhi kah nahin sakti
kaun saanp rakhta hai ooske aashiyane men
doosri koi larhaki zindgee men aayegi
kitatnee der lagtee hai oosko bhool jane men
JaNoo
03-26-2009, 05:12 PM
aur yeh rahi sirf teen sheron ki chhoti si ghazal:
ai husn-e-be-paravaah tujhe shabnam kahuu.N sholaa kahuu.N
phuulo.n me.n bhii shoKhii to hai kisako magar tujh saa kahuu.N
gesuu u.De mahakii fizaa jaduu kare.n aa.Nkhe terii
soyaa huaa ma.nzar kahuu.N yaa.N jaagataa sapanaa kahuu.N
cha.ndaa kii tuu hai chaa.Ndanii laharo.n kii tuu hai raaginii
jaan-e-tamannaa mai.n tujhe kyaa kyaa kahuu.N kyaa na kahuu.N
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.