Log in

View Full Version : Wafa me ab ye hunar ikhtiyar krna hai


Hussain
03-25-2009, 09:41 PM
Wafaa mai ab yeh hunnar ikhtiyaar karna hai.
Woh such kahey naa kahey aitbaar karna hai.

Yeh tujh ko jagte rehne ka shauq kab se hua.
Mujhey toh khair teraaa intezaaar karnaa hai.

Hawa k zad mai jalane hain ansoon k chiragh.
Kabhi yeh jashan sar-e-raah guzaar karna hai.

Wo muskura k naye waswason mai daal gaya.
Khayaal thaa keh ussey sharamsaar karna hai.

Misal-e-shakh-e-barhna khizan ki rut mai kabi.
Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hai.

Tairay firaaq main din kis tarhan kattey apnay.
Ke shughal-e-shab to sitare shumar karna hai.

Chalo ye ashq hi moti samajh kar baich ayeen.
Kissi tarhan toh humein rooz--gaar karnaa hai.

Kabhi to dil mai chupe zakhm bhi numayan ho.
Qabba samajh kay badan taar taar karnaa hai.

Khuda khabbar ye koi zid ke shauq hai Mohsin.
Khud apni jaan ke dushman say pyar karna hai.

SHAYAN
01-25-2011, 01:35 AM
Gd....
T 4 S

HaaNiya
01-25-2011, 04:34 PM
v.nicee

Dewaangi
05-12-2011, 05:38 PM
nice sharing tnx

Dewaangi
05-12-2011, 05:38 PM
nice sharing tnx..

RoOZ SoOChTa HouN
05-13-2011, 09:37 AM
kya baat hai ... zabardast

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.