PDA

View Full Version : Jab Kabhi Mere Darwaaze Woh Fakir Aata Tha,.


Jhuki Palkein
03-23-2009, 07:57 PM
Jab Kabhi Mere Darwaaze Woh Fakir Aata Tha,.

Woh Bikhri Zulfein, Wo Maila Kuchla Libaas, Woh Thaka Chehra Dekh Kar,.
Dil Mera Tadap Jaata Tha,.
Na-Jaane Kyu Uski Awaaz Mein Aik Dard Tha, Aik Apnapan Tha,.
Poochne Par Bhi Dil Ka Haal Na Batata Tha,.

Jab Kabhi Mere Darwaaze Woh Fakir Aata Tha,.[/LEFT]

Parayi Ho Chuki Thi Main, Aik Dard Sa Seene Mein Tha,.Mehboob Ke Bina Nahi Koyi Maza, Ab Jeene Mein Tha,.
Poocha Jo Us Fakir Se, Kya Karein, Batayein,.
Kyuu Main Use Bhoolte Nahi, Is Gunaah Se Bachayein,.
Dekha Jo Meri Taraf Uski Aankho'n Mein Ansu Aa Gaye,.
Shayad Meri Tarhan Usko Bhi Mehboob Ka Ghum Satata Tha,.

Jab Kabhi Mere Darwaaze Woh Fakir Aata Tha,.

Aik Roz Mere Ghar Ye Paighaam Aya Tha,.Logo Ne Mujhko Mere Mehboob Ke Janaaze Mein Bulaya Tha,.
Ye Arzoo Thi Uski, Main Maujood Rahoon Wahan Par,.
Kehne Walo Ne Kaha, Mera Naam Tha Aakhri Waqt Bhi Uske Labo'n Par,.
Kis Mooh Se Main Uska Aakhri Deedar Karoongi,.
Wo Jee Raha Hai, Ye Soch Kar Main Khush Thi,.
Ab Kis Dilaase Par Main Zindag Rahoongi,.
Har Chehre Pe Udaasi, Har Aankh Mein Ansuo'n Ka Samandar Tha,.
Ye Aalam Mere Liye Mano, Qayamat Ka Manzar Tha,.
Har Shakhs Wahan Khamosh Tha, Koyi Kuch Na Batata Tha,.

Jab Kabhi Mere Darwaaze Woh Fakir Aata Tha,.

Uski Behno'n Ne Mujhe Dekh Kar, Rote Hue Kaha,.
Aapa Thodi Dair Bhaitiye, Bhai Hai Naha Raha,.
Unki Baatein Sunkar Mano Main Cheekhne Lagi,.
Diya Khuda Ka Waasta Aur Poocha, Ye Kaise Hua, Kuch To Bataogi,.
Kehne Lagi Behan, Kuch Na Poochiye Humse,.
Phirte The Deewana Waar Na-Jaane Kin Kin Galiyo'n Mein,.
Pooch Lo Is Bhaag Se, Dhoonda Tha Na-Jaane Kin Kin Kaliyo'n Mein,.
Kabhi Pagal, To Kabhi Majnu, Yeh Zamana Unhe Bulata Tha,.

Jab Kabhi Mere Darwaaze Woh Fakir Aata Tha.

Jab Ho Chuka Ghusl Aakhri, Deedar Ke Liye Unhe Laaya Gaya,.
Farsh Ki Chatayee Pe Jis Dum Unhe Litaya Gaya,.‘Maa’ Ne Kaha Beshaq Mere Bache Ko Le Jayein,.[/COLOR]
Par Aik Baar Mere Laal Ka Chehra Dikhayein,.
Bade Armaan The, Main Isko Apne Haatho’n Se Sajaoongi,.
Mere Chand Ke Liye Chaand Si Dulhan Laoongi,.
Mere Laal, Tujhse Mera Aangan Jagmagata Tha,.

Jab Kabhi Mere Darwaaze Woh Fakir Aata Tha,.

Jab Kafan Ko Uske Chehre Rukhsaar Se Hatane Lage Sabhi,.
Yeh Armaan Mere Dil Mein Bhi Thaa, Dekhu Bas Aik Baar Woh Masoom Jabi,.
Jab Hat Chuka Kafan Aur Deedar Ho Gaya,.
Yeh Kya Khata Maine Ki, Yeh Kya Mujhse Aaj Parvar_Digaar Ho Gaya,.
Ghum Ki Chadder Odhne Mere Ghar Aate The, Main Jan Na Saki,.
Kyuu Kiya Tumne Aisa, Khud Ko Dete Rahe Saza,.
Aik Baar To Pukara Hota, Main To Tumhari Thi Sada.
Aaj Meri Samjh Mein Aya, Kyu Tumhari Aankhon Mein Aansu Chalak Aata Tha,.

Jab Kabhi Mere Darwaaze Woh Fakir Aata Tha,.

Jab Ho Chuki Vidayi Aur Meri Duniya Loot Gayi,.
Jo Aas Dil Mein Thi, Wo Aas Bhi Toot Gayi,.
Rukhsati Ke Liye Uthi Aur Kiya Behno Ko Salaam,.
Aik Behan Ne Rote Hue Kaha, Ye Aakhri Khat Hai Bhai Ka Aapke Naam,.
Khat Mein Likha Tha Ke Ab Tum Mujhe Jaan Jaogi,.
Mere Chehre Ko Dekh Kar, Woh Fakir Main Hi Tha, Ye Pehchaan Jaogi,.
Na-Jaane Kitne Dino’n Taq Main Tumhe Dhoondta Raha,.
Aaya Taras Khuda Ko, Ghar Tumhara Milaa,.
Khush Tha Main Apni Zindagi Se, Nahi Tha Ab Koyi Gilaa,.
Woh Na Mile Ghum Nahi, Deedar-e-Yaar To Milaa,.

Par Aik Roz Jo Mujhpe Beeti, Nahi Sun Paya Jayega,.
Tumne Meri Yaado’n Ko Mujhse Kaha Gunaah,.
Mujhko Bhoolne Ke Liye Maangi Meri Maddat., Ya-Khuda Main Apne Dil Ko Kaise Sambhaalta,.
Koyi Khawahish Na Ab Taq Tumhari Taali, Ye Kaise Taalta,.
Is Liye Aaj Main Tumhari Khawahish Poori Kar Raha Hoon,.
Duniyaa Murdo Ko Bhool Jati Hai, Yeh Soch Kar Main Bhi Marr Raha Hoon,.
Par Ho Sake To Tum Meri Yeh Arzoo Poori Karna,.
Jab Kabhi Bhule Se Yaad Aa-Jaoon, To Gunaah Na Samjhna,.

Us Din Se Har Raat Jab Maine Asmaan Mein Dekha,.
Woh Banke Taara Jag-Magata Tha,.

Jab Kabhi Mere Darwaaze Woh Fakir Aata Tha,.

SHAYAN
03-23-2009, 08:11 PM
Gr8...

Jhuki Palkein
03-23-2009, 08:39 PM
Shayan Jee, Padha Bhi Hai Ya Aawain? :10:

A L i
03-23-2009, 08:48 PM
kuch samjh aayi kuch nahi

~*Gillanii
03-23-2009, 09:20 PM
Bohat Achi pOetry Hay, .. Khas Tor Pay Us Kay Janazay Ka Manzar Jo Poet Nay Likha Hay ..

~*Gillanii
03-23-2009, 09:21 PM
Shayan Jee, Padha Bhi Hai Ya Aawain? :10:

Buri Baat, .. Is Tarha Nahi Kehtay .. :)

ShArArTi MuNdA
03-24-2009, 06:24 AM
reallly nice one palkein jeeee

keeep it up

Nida-H
03-24-2009, 01:13 PM
very nice..

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.