Log in

View Full Version : Kaha tha na!!!


~wish munda~
03-22-2009, 01:33 PM
Kaha tha na!!!
Mujhay is tarah sOtyay huay mut chOr ker jana
Mujhay bay shak jagaa dena
Bataa dena
MOhatbat k safar main saath meray chal nahin sakti
Judai k safar main saath mera day nahin sakti
Tumhain rasta badalna hai
Meri hud say nikalna hai
Tumahin kis baat ka dar tha
Tumhain janay nahin deta
Kahin per Qaid ker leta
Aray paGli!!
MOhabat ke tabiyat main
Zabardasti nahin hOti
Jisay rasta badalna hO
Usay rasta badalnay say
Jisay hud say nikalna hO
Usay hud say nikalnay say
Na kOi rOk paya hai na kOi rOk payay ga
Mujhay bay shak jagaa deti
Tumahin kis baat ka dar tha
Main tum kO dekh he laita
Tumahin kOi DUAa deta
Kam az kam yOun tO na hOta
Meray saathi haQeeqat hai
Tumaharay baad khOnay k liay kuch bhi nahin baQi
Lakin ab khOnay say darta hun
MAIN AB SONAY SAY DARTA HUN.......

~Pr!nCe$s UrOoJ~
03-22-2009, 03:27 PM
wah wah zabaradast

~*Gillanii
03-22-2009, 05:47 PM
Very nice ..

~wish munda~
03-23-2009, 12:17 AM
thank u

A L i
03-23-2009, 12:43 AM
very Nice

~wish munda~
03-24-2009, 01:39 AM
thankas

Nida-H
03-24-2009, 01:27 PM
very nice sharing..

~wish munda~
03-25-2009, 12:24 AM
thank u

safa
03-25-2009, 12:27 AM
bahut khoob....:cutee:

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.