umair8005
03-21-2009, 08:33 PM
kabhi aah lab per machal gai
kabhi ashk aankh se dhal gae
woh tumhare gham k chiragh the
kabhi bujh gae kabhi jal gae
mai khuab o khayal ki mehfilen
na kabhi souq se saja saka
teri aik nazar k sath hi
mere sab irade badal gae
jo fanaa hue gham e ishq
unhe zindagi ka na gham hua
jo na apni aag mai jal sake
woh parai aag mai jal gae
tha unhe bhi meri tarah junoon
to un mai mujh mai farq kiya
mai girft e gham se na bach saka
woh hudood e gham se nikal gae...
kabhi ashk aankh se dhal gae
woh tumhare gham k chiragh the
kabhi bujh gae kabhi jal gae
mai khuab o khayal ki mehfilen
na kabhi souq se saja saka
teri aik nazar k sath hi
mere sab irade badal gae
jo fanaa hue gham e ishq
unhe zindagi ka na gham hua
jo na apni aag mai jal sake
woh parai aag mai jal gae
tha unhe bhi meri tarah junoon
to un mai mujh mai farq kiya
mai girft e gham se na bach saka
woh hudood e gham se nikal gae...