ZaHa
03-20-2009, 11:35 PM
Raaton ko Uth Uth ker jinke lia rotay hain
Wo apnay makano main aram say sotay hain
Kuch loag Zamanay main aisay bhi to hotay hain
Mehfil main to Hanstay hain Tanhai main Rotay hain
Dewaano ki dunya ka Aalam hee nirala hai
Hanstay hain To hanshtay hain Rotay hain to Rotay hain
Kis baat ka rona hai kis baat pay rotay hain
Kashti kay muhafiz hee kashti ko dabotay hain
Kuch aisay Dewaanay hain Suraj ko pakartay hain
Kuch loag umer saari Andhera hee dohtay hain
Jab thais lagi dil per to raaz khula hum per
wo baat nahi kartay nashtar say chubotay hain
Mere dard kay Tukray hain yeh shair nahi *Dua*
Hum saans kay Dhaghon main Zakhmon ko perotay hain