FAJAAN
09-03-2008, 08:34 PM
Ab ke ham bichhde to shaayad kabhi Khvaabon mein milen
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen
Dhuundh ujade hue logon mein vafaa ke moti
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milen
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyoun itane hijaabon mein milen
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lo
nashaa badta hai sharabein jo sharaabon mein milen
aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen
ab na vo main huun, na tu hai, na vo maazii hai `Fajaan’,
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milen