PRINCE SHAAN
05-25-2013, 08:45 AM
http://2.bp.blogspot.com/-v5oeK2oopr4/UCAYN2v_UzI/AAAAAAAAAnM/1JBrS9hS1Cg/s1600/536596_268360189932811_2043897996_n.jpg
KABHI MUNH CHUPA KE ROYE
Kabhi thak ke so gye hum, Kabhi raat bhar na soye,
Kabhi hans ke gham chupaya,Kabhi munh chupa ke roye.
Meri Daastaan-e-Hasrat woh suna suna ke roye,
Mere Aazmaanay waalay mujhay aazma ke roye.
Shab-e-Gham ki aap beeti jo sunayi Anjuman me,
Kai sun ke Muskuraye, Kai Muskura ke roye.
Main hon Be-Watan Musafir,Mera naam Be-Kasi hai,
Mera koi bhi nahi hai jo Galay laga ke roye.
Mere paas se Guzar kar mera Haal tak na poocha,
Main yeh kese maan jaon ke woh door ja ke roye,