PDA

View Full Version : Taira dil to tha sanam aashna


fog
08-22-2011, 10:45 PM
samandar k kinaarey paani ki unchi neechi lehron ko daikhtey hue wo najaane in lehron k muwazne se zindagi ki konsi haqeeqat ko jaanchna chah rha tha...
kabhi koi unchi lehar aati aur apne neeche tamama choti lehron ko kha jaati...to kabhi pani may bhanwar se banne lagtey...
kia hmari zindagi bhi inhi lehron ki manind hay?kabhi kisi unchi lehar ki tara hmari zindagi ka urooj,jab hum apne saamne kisi ko kuch nhi samjtey apne urooj k gharoor may har kisi ko haqeer jaan kar dibochtey hain ..yahan tak k issi urooj ko zawal ki taraf aane may aik jhatka bhi nhi lagta....
kabhi zindagi na urooj hay na zawal balkey pani may banne waale kisi bhanwar ki manind hay aur is bhanwar may insan khud ko hi talash karta reh jaata hay...

kia sirf yhi zindagi hay?
kahi urooj se zawal tak ka safar kabhi zawal se urooj tak pohanchne ka intezar to kabhi kisi bhanwar se nikal kar hamwar rastey ko paney ki koshish?

baar ha khud se kiye jaane waala sawal wo aaj phir khud se dohra rha tha aur jawab phir kisi bhanwar ki manind hi tha...
zindagi khuda ki naimat hay khuda ka hum pe ehsaan hay ..us k zehan may roshni si koondi..
KHUDA??? NAIMAT???

khuda kahan hay? kia hay? zindagi aik naimat hay to main khush q nhi hoon mujey zindagi ki samajh q nhi aati?
ye kesi naimat hay? kaisa inaam hay?
wo hamesha ki tara buri tara khud se ulajh parra...
Khuda dil may hota hay na??
us ne apne dil ko tatola mujey maire dil may khuda q nhi dikhta?
maire dil may khuda kahan hay? uska dimagh ab us k dil ka safar kar rha tha. us k dil may har jaga mandir thay ,sanam thay, kahi khawahishat k kuch zinda aur kuch murda but , kahi ana aur matlab parasti k chotey barrey but...
kahi khandar ka sa gumaan hota tha...
Dil ki zameen is tara banjar thi k jaise barson se wahan abrish na hui ho....
nhi...
kia maira dil murda hay?is liye khuda nhi maire dil may?
Ya maire dil se khuda chala gya is liye maira dil murda ho gya?
maire dil may maine Khuda k liye jaga hi kab chori hay,apne dil ko butt kada bna diya,..
ab kia hoga aey khuda???
kia aap muj se naraz hain? aap maire dil may wapis nhi aayain gaye?
nhi nhi ya ALLAH mujey maaf farma dey..
uska dimagh pagalon ki tara us k dil ki sunsan galio may ifdhar udhar bhatak rha tha..
Khuda ko dhundhne ki koshish kar rha tha..
abhi thak haar k ghutney taikne hi wala tha k wairan khandar may kisi darz se se safaid pur noor roshni ki halki si kiran aati dikhaayi di...
dimagh lapak k us jaanib bhara...
to darz k us paar ALLAH ka naam jagmagata hua dikhayi diya...
us ne ghutney taik diye aur sajdey may gir parra to kia ALLAH abhi bhi muj gunahgaar par mehruban hay ....main haq ko paa liya....meri talash meri soch beja na thi...

Khuda ne muj par aik aur ehsaan kar diya mujey phir se zindagi bakhsh di...

zindagi ki tamama rahain jaise shafaf aur pur noor nazar aane laggi....
jaise kisi ghebi taqat ne uska haath thaam kar usse zindagi k bhanwar se nikal kar aik roshan_o_shafafa raastey par la khara kiya...sajdey ki halat may us ki aankhon se girne waale beraya aur shafafa aansuon ki rim jhim ne us k dil ki khandar zameen ko phir se zarkheez kar diya jis par ab haq aur noor ki fasal ko lehlahana tha......

CaReLeSs
08-23-2011, 12:07 AM
Nice,..

SAjan
08-23-2011, 12:42 AM
buht acha

Zafina
08-23-2011, 01:21 AM
MashaALLAH Great thoughts :) Liknyka styleeeeeeeeeee tu hadddddd hay kia bat hay fogggggggy meri jaan zabardast

fog
08-23-2011, 10:40 AM
thanx zafu :)

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.