PDA

View Full Version : Yar-e-Ghar


life
06-13-2011, 04:00 AM
Yar-e-Ghar


Unwan ko samney rakh k kafi dair sochta raha k dosti k rishtey ko kia mani penaoo'n ya kis terha explain kroo'n ye tu un teen kuwahishho'n mai'n se ek hey jis k barey mai'n kaha gaya hey k Achey dost ki tamanna kro mujhey kabhi Fraz ka ye shair yad aaya,


Tum takaluf ko bhi ikhlas samajhtey ho Fraz
Dost hota nahi her hath milaney wala

tu kabhi Dr, Basir Bader ka ye shair yad aaya,

Koi hath bhi na milaye ga jo galey milo ge tapak se
ye naye mizaj ka sheher hey zara fasley se mila kro

Kia kia na yad aaya is ek unwa'n k tehet aur isi soch mai'n mai'n dosti k kis may'yar pe ponh'cha aaye aap ko bhi batata hoo'n k asal dosti tu ye hi hey,

Hazrat Jibrail Amin tashreef laye hai'n aur Allah k rasool (SAWW) ko Quraish k iradoo'n se aap(SAWW) ko ba khaber ker rahey hai'n aur keh rahey k aap (SAWW) aaj raat bister pe na soi'n. Aain dopeher k waqt AAp (SAWW) Hazrat Abu Baker (RA) k gher tashreef laye hai'n aur ferma rahey hai'n k "Mujhey Allah ki tarf se Hijrat ki ijazet mil gai hey"aur fermaya

"tum mairey sath chalo ge" khushi se Hazrat Abu Baker (RA) Ro prey hain. Mai'n qurban jaoo'n aisi hastiyoo'n k aap (SAWW) k liye khatrat mai'n kodney k liye bhi aisi betabi,aaiye aagey chaltey hai'n aap ko dosti ki mairaj se ro shanas kratey hai'n,

Ye Ghar-e-sor hey qadeem zamney mai'n Yaman ko janey wala rasta is k qareeb se ho ker guzarta tha ya pahar jis pe ghar-e-sor waqey hey Makkah se koi teen char meel k fasley pe hoga ye Makkah ki satha se koi 1200 feet buland hey aur ye jabl-e-noor se zyadha buland hey Aap(SAWW) ghar-e-sor ki janib berh rahey hai'n Hazrat Abu baker (RA) ki be chaini ka ye aalam hey k kabhi Aap (SAWW) k aagey chal rahey hai'n tu kabhi peechey,kabhi dahiney rukh aatey hai'n tu kabhi bai'n Aap (SAWW) is kifiyet ko daikh k poch rahey hai'n kia baat hey? Hazrat Abu Baker (RA) ferma rahey hai'n k ya Rasool Allah (SAWW) jub dil mai'n ye khyal aata hey k kahi'n koi aap ki talash mai'n na aaraha tu peechey aajata hoo'n jub ye khyal aata hey k koi aagey ghat mai'n na ho tu aagey chalney lagta hoo'n Aap(SAWW) ferma rahey hai'n k is sey tumhara maqsad ye hey k tum shikar ho jao aur mai'n bach jaoo'n tu hazrat Abu Baker (RA) ferma rahey hai'n k us zat ki qasam jis k qabzey mai'n mairi jan hey yehi baat hey,Pahari rastey pe chaltey huwey Rasool Allah (SAWW) k paoo'n mubark zakhmi ho gaye hai'n tu hazrat Abu Baker (RA) ney Aap (SAWW) ko apney kandhoo'n pe utha liya hey,Khud ghar-e-sor mai'n pehley ja rahey hai'n k ager aner koi khatra ho tu Hazoor (SAWW) mehfooz rahai'n,Sanp k katney ki taklief berdasht ki mon'h se Awaz nahi nikali k Allah k Rasool (SAWW) k Aaram mai'n khalel waqey na ho.
Ye hey Dosti ka wo naata jis ki misal nahi milti aur Hazrat Abu Baker (RA) hai'n wo dost jinhai'n Jannet ka her derwaza pukarey ga.

SHAYAN
06-13-2011, 09:39 AM
Beautifull
T 4 S

life
06-17-2011, 03:37 AM
thanks shayan...

Abewsha
08-23-2011, 04:47 AM
Gud
T 4 S

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.