PDA

View Full Version : ik ghareeb


life
06-13-2011, 03:54 AM
zindagi jaise hawa k gorhe pe sawar ho, lamha ba lamha badalti jaati, khwaab aise k palkain bojhal kar dalain, shouq aise k aqal dang reh jay, zouq aisa k zamana theher k daikhy
per sab jawani k qisse howe, waqt nay use aisa badal dala tha k jaise khizaa.n tarakhtoo.n ki qaba ko badal dalti hai,

wo pichle kai saal se kolhu k bail ki manind ghom ghom k thak chuka tha, per farar ka rasta koi na tha, kahan pankh laga k hawa main urne ki khwahish thi, aur kahan zameen pe
tik k sokoon ka sans lene ko tarasta hai, kahan copy kitaboo.n chor'r dar o devaar pe rung bakhairta tha, kahan kai saal se 2 jori safaid shalwar qameez pe guzara kar raha tha

wo koun tha? us ka naam kiya tha?

wo ghareeb tha

jab paida howa tu amma bawa ki khushiyoon ka thikana na tha, amma khud na kuch khaati per apne ladle ko desi ghee main chori bana bana k khilati, abba khud toti joti ko mochi se marammat
karwa karwa k pehenta per us k paon main har sal eid pe naya nakor jota hota, jab wo apni totli zaban main kehta k " amma main tu dactor bano ga,tumhain tushsh tika lagao ga"
tu amma us ki balain leti na thakti,

per sada kis ka bachpan raha, sada kis k chatar saya jaise maa baap rahey, so us k sath bhi aisa na howa wo bara ho gaya, zimedar ho gaya, ya yoon kaheye k us pe zimedariyo.n ka ghather ladh diya gaya, aur wo sab bhool gaya, sab khwaab, aur khwaboon main basi methi methi masoom khushboo,
roshan mustaqbil k chaka chond karne wale khwaboo.n ki roshni, hansi k rung, dill se jeene ki chah..sab kuch hi tu

wo jeeta hai , is leye k marna ikhtiyar main nahi, per izzat e nafs baich k, khwahishain baich k, ana ka goroor baich k

koi use apne sath bithate nak bhaoo.n charhta hai k us k badan sey mehnt k paseene ki bo aati hai, us k dill main basne wale murda khwahishoo.n se ta'afun uthta hai,
per khwahishain bhi kiya, kitni masoom k do waqt pait bharne ko roti mil jay, izzat salamat reh jay, bas thori si zindagi mil jay, ye jevan ka begaar khatam ho

per is ghareeb k bare main sochta koun hai, hukumat ko tu jane hi dejeye, hum kiya kartey hain, apne bachoo.n ka shouq pora karne k leye hazaroo.n ka pizza khila detey hain
per ghareeb ko 10 ropey ki roti dene ki baari ati hai tu humain mehenat ki azmat ka darss yaad a jata hai, hum itne behiss, itne undhey kyu hain? kiya humain dikhaii nahi deta,ya apne siwa kuch dikhaai
nahi deta........................

SHAYAN
06-13-2011, 09:40 AM
Beautifull
T 4 S

AYAZ
06-13-2011, 03:54 PM
ab mulk ke aur awaam ke halaat aesay kardiye gaiye hie ke apney sub ko apni apni pari hie . hamdardi naam ki reh gaiye hei . dilo mei wo baat nahi rahi jo pehlay thi . log apus mei miltay hei tou bas aesay formality ke liye .

life
06-17-2011, 03:26 AM
thanks Ayaz ji

life
06-17-2011, 03:26 AM
thanks shayan

Abewsha
08-23-2011, 12:07 AM
nice sharing...!!
like it...!!

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.