PDA

View Full Version : AsasSay


ROSE
06-09-2011, 01:18 PM
sab se pehle unho ne hansi aadhi aadhi baant li toh woh boli.
"tum apne hisse ki hansi ka kaya karo ghe?"
"yateem khane k chhote chhote bachon ko de doon gha"
us ne jawab diya.
woh bari faraKh dil nikli aur jab udaasi baantne ka waqt aya toh
kehne lagi..." mein is mein se kuch kuch nahi leti, sari udaasi tum
rakh lo."
is tarah us ne sara safar, sara intazaar, khazaan k sare mousam,
sardiyon ki tanha shamein, use de diin aur kehne lagi.
"aj toh tumhe andaza ho gaya ho gha k mein kanjoos nahi hoon."
woh buhat khush huwa aur bola." woh dopahr bhi sari mujhko de do,
jab ham pehli baar mille the." woh maan gaye to us ne woh dopahr
bhi udaasi, khazaan k mousamon, tanhaye aur safr k dhair par rakh
di.
itne mein us ne farakh dilana lehje mein poocha "in sab ka kaya
karo ghe?" woh bare mutamaeen lehje mein bola.
"apni udaasi ka jo hissa tumne mujhe diya hai, use zindagi bhar
apne sath rakhoon gha, shaamein boorhe librarian k naam kar doon
gha. intazaar mandair par rakhe us diye mein daal doon gha, jisse
sare-shaam jala kar koi ladki kisi ki chaap ki muntazer ho ghi. sara safar khat mein daal kar post kar doon gha, jin ka mehboob duur ho gha, aur us se milne k liye bechain ho."
rait per ungli se ik lambi lakeer khainch kar woh boli "sara maazi bhi tum rakh lo." yak dam khushi ki lahr us k chehre par uthi aur aankhon mein aa kar thehr gaye. us ne cigrate sulgaya aur bola.
"tum ne apna sara maazi bhi mujhe de kar buhat acha kiya."
"is ka kaya karo ghe?" us ne poocha.
"isse oodh k phiroon gha. aane wali garm tanha dopahron aur sard
shamon mein..." woh muskuraye.
"sare lafz bhi tum le lo."
woh mamnoon sa ho gaya aur bola."mein sare lafz bhi postmeno
mein baant doon gha. magar hamare darmiyaan kuch geeton ki saanjh bhi he...!"
"haan woh bhi tum le lo"
"theek hai" woh mutmaeen sa ho gaya.
"in ka kaya karo ghe?"
malahon, saarbaanon aur charwahon mein baant doon gha. kisi se toot kar mohabat karne wali ladki ko de doon gha."
yuun hi woh kitni dair apne asasSay baante rahe



Mazhar UL Islam - (Aao Ham Biccher Jain)

SHAYAN
06-10-2011, 10:20 AM
Gud
T 4 S

ROSE
06-10-2011, 06:33 PM
Thanksssssss

Abewsha
08-05-2011, 06:31 AM
v nice....

ROSE
08-05-2011, 02:41 PM
Thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.