PDA

View Full Version : Doobti Umeed...!


life
06-08-2011, 03:40 PM
Fiker'o pareshani her insaan ke sath sath hai...kabhi saya ban ke to kabhi parchaii... jaise insaan aur iska choli daman ka sath hoo....hum lakh daman bachana chahein...kabhi khushiyoon ko dair'pa mehsoos karna bhi chahein to yeh kisi na kisi sorat humarey samne aan khari hoti hai...humari khushiyoon ke mehal ko chikna'choor karti hui...kabhi kabhi mehsoos hota hai...pareshaniyan her simat se hi aa rahi hoon... mujhey apne sath rakhna chahti hoon....apne paas bulati hoon....jab insaan pareshan ho to lakh andaishey, vahme daman'geer hoote hain...kabhi mujhey youn mehsoos hota hai...xxxxech samandar kashti doob gai hai....gehra neela samandar.... aur bachaoo ke liye sirf ak toota phoota lakri ka takhta hai..... doobte ko tinke ka sahara kafi hai.... usii takhte ka sahara le kar youn samajhti hoon ke kinara door sahi to kiya, sahara hai sath mayre... aur main yeh gehra samandar par kar jaoongi...doobte ubharte......phir younhi ubharte doobte woh takhta be'panaah jiddo'jihad ke bad kinare ke kareeb hai.... aur samandar ki sar'kash lehroon ne usay phir se door phaink diya hai.... kinara itne paas aa kar bhi youn aik pal main aik lamhe main das'taras se door hoo gaya hai.... aub itni himmat nahi hai ke samandar ki sar'kash lehroon se laraii lar sakoon..... kinara pa sakoon.......umeed doob gai hai.

aik ba'maini tehreer hai... be'rabt sochein.

SHAYAN
06-10-2011, 09:32 PM
Gud
T 4 S

life
06-10-2011, 11:09 PM
thanks...

Abewsha
08-05-2011, 06:30 AM
like dis....

life
06-18-2014, 11:38 PM
thanks.............

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.