PDA

View Full Version : kia Beti hona jurm hai?, Beti ka hona per itnie mayoosie kyon!


§~|~µð€η~|~547
08-23-2009, 10:12 AM
Assalam o alikum friends.
Aaj mai aap logo say aik aisay topic pay comments share kerna chahoon ga jo k takreeban hamaray mashray k her ghar ka masla ha.
Beti ki padaish. Hum apnay ird gird nazar dorain tu hamain bht say aisay loug nazar aaein gay jo k betay ko beti pay foqiyat detay hain. Halankay OULAD mai tu beta & beti dono hi shamil hain, Aik ALLAH ki Nemat ha (BETA) or dosri ALLAH ki REHMAT (Beti). Aaisa kyun ha? Kisi k ghar pehli beti paida hojai tu ghar waloo & azez o aqarab k chehray utar jatay hain sab ko betay ki khawhish hoti ha. Or agar 2 ya 3 betiyaa ho jain tu Maa ki halat hi bht kharab ho jati ha & her koi usko blame kerta ha jab kay medical science kya kehti ha yeh mujay yahan batanay ki zarorat nahi ha.
Allah tallah nay QURAN mai b yehi farmaya ha k mai tumko who deta ho jo jis k haq mai behtar ha , jis k haq mai betay behtar ha mai unko betay atta kerta hoon, or jin k lia betiyaaa mai unko betiyaa ata kerta hoon.
Phir hum kaisay apnay achay buray k malik banay ki koshish kertay hain.

Hamara Almiya pehlay betay per MUBARAK HOO, dosray betay per BOHAT MUBARAK HO ALLAH NAY JORI BANA di, 3sray betay per, WAH ALLAH ki aap pay khas meharpani ha & CHOTHAY betay per MUBARAK BAAAD Ki LINE lag jati ha.
Is k sath sath jo loug bey oulad hotay hain mai nay unko b judge kia ha wo yeh dua mangtay hain k Allah miyaan tu humain Oulad dey acha tu hamain beti hi atta ker day jaisay Allah Tallah say bht hakeer cheez mang rahay hoon.

ALLAH TALLAH hamaray haal pay reham keray or humko USKA shukar guzar banda banay ki toufeeq Atta farmai AMEEN.


--------------------


Waqt Ke Panney Palat Kar Phir Woh
Haseen Lamhein Jeene Ko Dil Chahta Hai,
Kabhi Muskuraya Karte The Sab Dost Milkar
Aaj Phir Unke Sath WOh Pal Bitane Ko
Dil Karta Hai ..!!

~*Gillanii
08-24-2009, 03:23 AM
Allah Ta'ala Hidayat Day Bhatkay Howo'n kO ..

s_sableo
08-24-2009, 09:33 AM
oye hoye innaaaa baraaaaaww likh diya khair yeh sab bakwas hai
beti hona koi jurm ni hai aukaad ALLAh pak ka gift hoti hai neimat hoti
hai jaisi b ho ALLAH pak ka shukar ada karna chahiye
mai to chahta ee hu k meri shadi k baad pehli meri beti ho
to khud batao ab jurm hai ya tohfa :)

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
10-30-2009, 04:29 AM
Betiyan tu ALLAH ke rehmat hoti hain....

ωí£ð¢αт
10-31-2009, 06:26 AM
yeh sab humare muasharay ki jahaliat ka asar hai...betian to KHUDA ki rahmat hoti hain

Rao_Sameer
11-06-2009, 09:55 AM
Are Betio Pareshan mat ho ... :) yeh kam akli ki nishani hoti hai .. yya phr uneducated logo ki thinking... Beti Allah ki Rehmat hai .... Meri shadi to nahin huee laikin jab bhi huee Dua yehi hogi k Allah pehle mujhay ek cute c Beti de ;) bilkul meri tarha :p Umeeed kerta hun aap log Dua kero ge... ;)

Lucky
11-12-2009, 12:16 AM
Beti ki paidaish jurm nahi but beti ki parwarish me kotahi buhat bara jurm he .

!~*AdOrAbLe*~!
11-12-2009, 06:32 AM
daughter's are such a cute gif frm ALLAH

Lucky
11-12-2009, 02:02 PM
hmmmmmmmmmmmmm

decemberwind
12-12-2009, 02:46 PM
Agree Wid khushboo

CaReLeSs
08-05-2011, 01:50 AM
Thanx For Sharing..
Nyc..

Polish Khan
08-05-2011, 09:31 AM
betiyan Allah SWT ki rehmat hai.
Rasool SAW ka ferman, "jis ne 3 betiyan perwarish ki, wo qayamat ke din meri kareeb hi".

therefore, i personally will always prefer daughters over sons.
On global level the importance of sons has decreased drastically. People are now aware that daughters bring happiness, love and affection to the family, specially to the fathers.

Well, i am a proud father of 3 daughters. I love my daughters and i dont find a teeny tiny bit of desire to have a son.

Haadi
08-05-2011, 09:40 AM
who eva think k beti boj hai i ll say JAHALAT ka king hai wo

urooj2008
08-15-2011, 06:16 PM
kia karain yar logo ki ankho per pati bandhi hai wo ty agey beta bara oker hi inhe asliyat samjha dega im just waiting for the result .............................jaldi se ..........ko bhi ahsaas hojaye aur hamari qadar hoajye

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.