Ramzan - Kiya Khoya aur Kiya Paaya - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link| link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link |
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Islam » Ramdan Ul Mubarak » Ramzan - Kiya Khoya aur Kiya Paaya
Ramdan Ul Mubarak A Section dedicated to Ramdan ul Mubarak. Share and Read Articles and Columns and Quran & Hadith related to Ramdan and how to spend this holy month

Advertisement
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#1)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Loading Ramzan - Kiya Khoya aur Kiya Paaya - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-27-2011, 12:40 PM

Dear Fellows

Assalam Alaikum


Ramzan taqreeban jaa chuka hai.. afsos ke hum is baar bhi haq ada nahi karsaktey aur mubarakbaad unko jinho ne apne zindagi ko tabdeel kia....

Ramzan imaan check karne ka guage hai...
Ramzan hamarei lia qabil e ahtraam hai kio ke is me Quran nazil hua. Mubarak hain so seeney jis me Quran kudh maujood hai. aur mubarak hain wo loge jo Quran ko parhtey hain. aur samjhtey hain.

Ramzan ne humei theik thaak exercise karwadi. change ajana chaiye...
ek mahiney health club jain kuch tou change aye ga
ek mhaine kuch bhi practice karein kuch change nazar lazman aye ga

matlab ek mahina ka taqwa zinadgi me change laaye ga.....


now compare

wo zindagi jo ramzan sei pahlei thi
aur ab jo zindagi hai ramzan ke baad


farq hai ?

hai tou mubarak ho . Ramzan sei kuch hasil kia
nahi hai tou imaan ki fikr karo ICU me dakhil hojao.


is mahinei
music haraam karli kudh per ... kudh sei ?
nahi na jantey huway ke Allah ko pasnd nahi

tou Allah ko baqi mahino me bhi pasnd nahi hoti


is mahinei nach gaaney filmein avoid ki
kio
kio ke allah ko pasnd nahi
Allah ko baqi mahinei pei aisey hi na pasnd hoti hain


is mahiney jhoot sei parhez kia
Allah ki waja sei
Allah baqi mahino me bhi hamara rab hai


zindagi badlo dosto yah tou Allah sei drama hai jhoot hai ek mahinei aur
chand nazar aya tou saaarei bandhan sei azaad hogaya insaan


Allah ne khushi di aur manaai kaisey
naach kar
gaaa naa gaa kar
us ko hi naraz karkei
us ki lanat samait kar
aisey ahsan faramosh tou nahi na hum


ek thapppar aap apne dost ko marein
kia hoga
thori si larai bus khatam

ek kisi police officer ko mardein
kia hoga
qaid aur pitaai sahi walei

ek president ko mardein
kia hoga
phansi

matlab jurm ek per shaksiyat ki noyat ke hisaab sei sazain change


ek jhoot aap kudh sei bolein aaps me bolein
theik hai gunnah hai ghalt hai

ek jhoot hum Allah sei boltey hain roze
kia saza hona chaiye


kaha boltey hain ?

soorah e fatiha namaz me parhtey hain
akhir me kahtey hain us ke rastey pe chala jin pe inaam hai aur unke rastey pe nahi jo eesai hai aur yahoodi hain.


inaam walo ke rastey pata haina ?
koshish ki chalne ki
hum ne kabhi nahi ki


aur eesaaio ke rasto sei bacha
jabke libaas unka
hair style unka
fashion trends unke

andaz e tijarat yahoodi ka
paisa kamaney ki hawis unki


yah jhoot Allah sei kaisa
wo nahi janta ????
dilo ka haal behshak sirf Allah janta hai



badlein kudh ko is sei pahlei ke mohlat khatam hojaye...


koi kehsakta hai for sure ek wo aglei ramzan me hoga
zinda?
KOI ek yah kahsakei ke wo even aglei 6 mahinei zinda rahey ga for sure
1 mnahina
15 din
10
hmmmm


itni uncertainity aur itni sarkashi......



insan bhi kitna bewakoof haina ke apne sei taqatwar sei larta hai hamehsa....





so ramzan ko ghaneemat janein in 2 3 dino ko hi
Allah intizar karha hai
ke merei bandey dils ei tauba karein
wapis na lautnei ka wada karein un rasto per


me maaf karooga
me bataoon phir kaisey Allah haami o nasir hai


Allah mujhey mujhey mujhey hidayat dei unsab ke tufail jinho ne Allah ko razi karne ke lia rozey rakhey aur naik amal kiye

aur Allah hum sab ko hidayat dei. Ameen

 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
(#2)
Old
AYAZ AYAZ is offline
 


Posts: 12,370
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: Karachi
Gender: Male
Default Re: Ramzan - Kiya Khoya aur Kiya Paaya - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-27-2011, 02:17 PM

Allah pak hum sub ke gunaho ko maaf farmain aur hum ko naik aur sidhi raah per chalaiey ameen suma ameen

 

(#3)
Old
Abewsha Abewsha is offline
Banned
 


Posts: 18,452
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2011
Gender: Female
Default Re: Ramzan - Kiya Khoya aur Kiya Paaya - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-27-2011, 07:38 PM

nice sharing....

 

(#4)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: Ramzan - Kiya Khoya aur Kiya Paaya - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-27-2011, 07:49 PM

ji acha
....

shukria

 

Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
aur, khoya, kiya, paaya, ramzan


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Agar poocha k mujhse kaam kiya hai, kiya kahoonga main, )*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*( Ghamgheen/Sad shayari 18 08-22-2017 05:15 PM
aur kiya chahiye.... Aslam Pics And Images 4 12-06-2011 04:09 PM
aur es dil mein kiya rakha hai ShahTaJ Share Your Favourite Videos 7 05-31-2011 08:24 PM
gazab kiya, tere vade pe aitabar kiya Zafina Miscellaneous/Mix Poetry 5 05-14-2010 07:51 PM
!!~~ab aur kiya chaahiye~~!! ShArArTi MuNdA Miscellaneous/Mix Poetry 4 04-08-2009 03:52 AM


All times are GMT +5. The time now is 01:51 AM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG