My fav Poetry Collection....... - Page 2 - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Poetry » Urdu Poetry Categories » Members Poetry Collections » My fav Poetry Collection.......
Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !!

Advertisement
 
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#11)
Old
pakeeza's Avatar
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 08:45 PM

Kuch To Hai Tu Badal Gaya Hai
Vo Teri Ankho K Khuwab Saray
Vo Batein Sari
Hisab Sarey
Sawal Sarey
Jawab Sarey
Vo Khushiyan Sari
Azab Sarey
Nasha Tha Jo Wo Uttar Gaya Hai
Kuch To Hai Tu Badal Gaya Hai
Jo Teray Milney Ki Arzoo Thi
Jo Tujhko Paney Ki Justujo Thi
Hoi Jo Chahat Abhi Shiroo Thi
Jo Teri Ankhoo Me Roshni Thi
Jo Teri Baton Ki Rangni Thi
Jo Teri Sanso Ki Tazgi Thi
Jo Teray Lehje Me Chasni Thi
Vo Sara Mitha Pan Pigal Gaya Hai

Kuch To Hai Tu Badal Gaya Hai
Kuch To Hai Tu Badal Gaya Hai

 



Be Positive... Everything Gonna be Alright

Sponsored Links
(#12)
Old
pakeeza's Avatar
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 08:47 PM

Jab Neend Se Aankhein Bojhal Ho
Aur Apne Aankh Se Oujhal Ho
Phir Neend Bhalaa Kab Aati Hai
Jab Dil Me Basne Waale Bhi
Aur Sath Me Hasne Wale Bhi
Durr Kahin Woh Baste Hoon
Kisi Aur Ke Sath Jab Woh Haste Hoon
Phirr Neend Bhalaa Kab Aati hai
Jab Gham Ki Raat Andheri Ho
Aur Ussme Yaad Bhi Teri Ho
Naa Dil Me Koi Ujalaa Ho
Phir Neend Bhalaa Kab Aati Hai


 



Be Positive... Everything Gonna be Alright

(#13)
Old
pakeeza's Avatar
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 08:47 PM

Raat ka akhri peher tha
Mujh se chaand ne kaha
Humnasheen alwidah
Mujhko nind arahi hai
Kal milenge isi jaga
Sunkar mein muskuradiya
Usko bataya
Jane wale lot'te nahi
Tum nahi aaoge mujhe yaqeen hai
Meri baat sunkar chaand rukk gaya
Aur kehne laga
Tumse wada karoon...Aur pura na karoon
Aisa mumkin nahi
Suno....Humnasheen!
Mein insaan nahi

 



Be Positive... Everything Gonna be Alright

(#14)
Old
pakeeza's Avatar
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 08:49 PM

Ek Baar Hua Tha Youn

Woh Mujhko Mili, Mein Usko Mila
Phir Izhaar Hua, Phir Iqraar Hua
Woh Chahne Lagi, Mein Bhi Chahne Laga
Usse Pyaar Tha Bohut,
Mujhe Mohabbat Thi Bohut

Phir Kuch Yun Hua Wo Chod Gayi Mujhe

Mein Bhi Bhool Gaya Usse !!!!

Phir Mile Kuch Youn
Woh Tanhaa Thi Bohut
Mein Akelaa Tha Bohut

Phir Naa Iqraar Hua
Aur Naa Izhaar Hua

Sirf Ashk The Aur Buss Hum The .....

Woh Rone Lagi
Mein Bhi Rone Lagaa

Magar Pyaar Tha Naa Izhaar Tha.......

*** Bass Farq Itna Tha ***


Woh Mitti Ke Upar Thi
Mein Mitti Ke Neeche Tha

 



Be Positive... Everything Gonna be Alright

(#15)
Old
pakeeza's Avatar
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 08:50 PM

Hum Tumhare Nah!n Rahay
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin
vVoh Shaam Bhi Jaisay Sisak Rahi Thi
K Zard Patton Ko Aandhiyon Nay
Ajab Kissa Suna Diya Tha
K Jis Ko Sun Kar
Tamaam Pattay Sisak Rahay Thay
Jaanay Kis Saanehay K Gham Ma!n
Shajar Jarro Se Ukhar Rahay Thay
Bohat Talasha Tha Hum Nay Tum Ko
Har Aik Rasta, Har Aik vVaadi
Har Aik Parbat, Har Aik Ghaati
Magar Kah!n Se Teri Khabar Na Aa'i
To Yeh Keh Kar Hum Nay DiL Ko TaaLa
Hawa Thamay Gi To Dekh La!n Gay
Hum Uske Raston Ko Dhoond La!n Gay
Magar
Hamari Yeh Khush'Khayali
Jo Hum Ko Barbaad Kar Ga'i Thi
Hawa Thami Thi Zaroor Lek!n
Bari He Muddat Guzar Chuki Thi
Hamare Balon K Jugalon Ma!n
Safaidi Utar Chuki Thi
Falak Pay Taaray Nah!n Rahay Thay
Gulaab Piyaray Nah!n Rahay Thay
vVoh Jin Se Basti Thi DiL Ki Basti
vVoh Yaar Saray Nah!n Rahay Thay
Magar
Yeh Almiya Sab Se Baala'tar Tha
K
Hum Tumhare Nah!n Rahay Thay
K
Tum Hamare Nah!n Rahay Thay
Hawa Thami Thi Zaroor Lek!n
Bari He Muddat Guzar Chuki Thi..!!

 



Be Positive... Everything Gonna be Alright

(#16)
Old
pakeeza's Avatar
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 08:51 PM

Mera qalam meri soch tujh se waabasta

Meri to zeest ka her rang tujh se waabasta

Lab pe jo phool they khushiyon k sab tere hi they

Aaj is aankh k aansu b tujh se waabasta

Hum kisi b rah pe chalen paas tere pohnchen ge

K meri her rah k raste hain tujh se waabasta

Tu mere Dil se meri roh main samaya hai

Ab to her saans ka rishta hai tujh se waabasta

 



Be Positive... Everything Gonna be Alright

(#17)
Old
pakeeza's Avatar
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 08:52 PM

Yun ruth na TOO muj sey
Dil tuut gaya tou tuj sey
Jora na jaey ga

Tue choor k jis ko chal de
Chahat tou naheen woh daman
Zanjeer naheen hay lekin
Yeh piyar hay aisa bandhan
Tue chaey bhi tou tuj seeey
Tuj sey tora na jaey ga

Yeh piyar naheen woh kajal
Jo aankhon main chup chup jaey
Yeh sath naheen woh mahndi
Jo hathon se chot chot jaey
Yeh sath kabhi bhi tuj seey
Tuj sey chora na jaey ga

Jo aaj ko tue ne khoya
To baad main ho ga sadma
Yeh baat bhi sun le meri
Jo beet gaya woh lamha
Aanchal ki tara phir tuj sey
Tuj se mora na jaey ga


 



Be Positive... Everything Gonna be Alright

(#18)
Old
pakeeza's Avatar
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 08:53 PM


yak tarfa mohabbat to mohabbat nahi hoti

wo razi na ho,aise ibadat nahi hoti

ae kaash tu muje bas apne liye chun le

dunya ki mohabbat per qana"at nahi hoti

khod apni nigahon se kai bar giri main

aise main b muj se use nafrat nahi hoti

haan ilam muje hai k main khod gharz boht hoon

us ko mere sajdon ki zaroorat nahi hoti

zamin hai wo hi jis ki amanat hain ye sansen

so kitni b bhojal hoon shikayet nahi hoti

tu chahe to kam ker de chahe barha de

muj se to tere dukh main khiyanat nahi hoti

 



Be Positive... Everything Gonna be Alright

(#19)
Old
pakeeza's Avatar
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 08:55 PM

Taiz ho jaata hai khushboo ka safar shaam ke baad
phool shehron mein bhi khilte hain magar shaam ke baad

usse daryaaft na karna kabhi din ke haalaat
Subha ka bhuula jo lauT aaya ho ghar shaam ke baad

Din tere hijra mein kaT jaata hai jaise-taise
Mujhse rahti hai khafaa meri nazar shaam ke baad

Qad se barr jaaye jo saaya to buraa lagtaa hai
Apanaa suraj woh uThaa leta hai har shaam ke baad

Tum na kar paaoge andaaza tabaahii ka merii
Tumne dekha hi nahin koye khaNDar shaam ke baad

Mere baare mein koye kuCh bhi kahe sab manzuur
Mujhko rahti hi nahin apni khabar shaam ke baad

Ye hi milne ka samay bhi hai biCharrne ka bhi
Mujhko lagta hai bahut apne se Dar shaam ke baad

Tiragi ho to vujuud uskaa chamakta hai bahut
DhooND to lunga use 'HaMMaD' magar shaam ke baad

 



Be Positive... Everything Gonna be Alright

(#20)
Old
SHAYAN SHAYAN is offline
 


Posts: 84,290
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender: Male
Default Re: My fav Poetry Collection....... - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-01-2012, 09:40 PM

Kya Baat Hai
Buht Zaberdast Collection Hai

 

Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
collection, fav, poetry

« Previous Thread | Next Thread »

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
MY fav poetry SilentEyes Image Poetry 6 08-20-2012 04:18 AM
My Fav Poet Aitbar Sajid Poetry Collection Zafina Members Poetry Collections 42 08-12-2011 12:11 AM
My fav poetry ~wish munda~ Miscellaneous/Mix Poetry 189 10-08-2010 07:43 PM
~*~ parveen aunty ki poetry my fav ~*~ Hussain Image Poetry 14 07-22-2010 03:20 PM
Woh Kaisa Shaks Hai.....My Fav Poetry....!! MeOw* Miscellaneous/Mix Poetry 16 08-15-2009 04:31 PM


All times are GMT +5. The time now is 07:11 AM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG