A Few Questions - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Fun &Masti » Quiz » A Few Questions
Quiz !!! Post Quiz Games Here !!!

Advertisement
 
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#1)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Loading A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-12-2011, 02:12 PM

Assalam Alaikum

Chand Sawalaaat Zehen mei aye hain

socha jawabaad ke lia ap ka nuqta e nazar bhi jaan lia jaye

maqsad ek behter soch ki takmeel hai kudh ke lia


1. kiya koi yah decide karsakta hai ke kisi ke kisi bhi amal ke peechey niyat kia hai mehez dikhawa ya koi behter maqsad ?
Possible or Not


2. kia ek teacher ke ek sath class ko parhana ya sar e member kisi wayiz ka islaahi bayan deina in general aur muaashrey ki kharabio ka zikr karna ya sab sei barh kar Allah ka poori insanyat ke lia ek general paigham deina SAHI hai YA GHALT?

3. kia ko act sirf is lia sahi hosakta hai ke majority wo perform karahi ho ? kia sirf yahi ek criteria hai kisi bhi amal ke sahi ya ghalt honei ka ?

4. agr me ek insan ka ko zakhmi karoo aur reason yah doo ke loge tou qatal bhi kartey hain tou yah reason kaisa hai ?

5. kia ISLAM sirf us waqt implement hota hai jab hum masjid me dakhil hotey hain ya namaz ke lia kharey hotey hain ya phir 24 ghantey her amal me Allah aur us ke rasool ke hukum ka khayal rakhna islam hai ?

Hope mujhey kuch guidance mil jaye gi

 




ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے


And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
(#2)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-14-2011, 08:25 PM

still waiting : )

 




ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے


And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
(#3)
Old
CaReLeSs CaReLeSs is offline
 


Posts: 16,486
My Photos: ()
Country:
Join Date: Aug 2010
Gender: Male
Default Re: A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-15-2011, 01:13 AM

Shaam bhai aisay sawalon k jawab mairay pass to nae

 

(#4)
Old
cupid2020 cupid2020 is offline
 


Posts: 19
My Photos: ()
Country:
Join Date: Jul 2011
Gender: Male
Default Re: A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-15-2011, 11:19 AM

nice post

 

(#5)
Old
!~*SOoLi !~*SOoLi is offline
Girl Heart Black!!! .. =D
 


Posts: 12,518
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: Lahore..
Gender: Male
Default Re: A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-16-2011, 03:30 PM

Assalam Alaikum
Walaikumsalam!



1. kiya koi yah decide karsakta hai ke kisi ke kisi bhi amal ke peechey niyat kia hai mehez dikhawa ya koi behter maqsad ? Possible or Not
Jisay Allah Nay ILM UL GHAYEB Ata Kiya Hay, Wo Jansakta Hay.. Baki To Mahez Qayas Araiya'n!


2. kia ek teacher ke ek sath class ko parhana ya sar e member kisi wayiz ka islaahi bayan deina in general aur muaashrey ki kharabio ka zikr karna ya sab sei barh kar Allah ka poori insanyat ke lia ek general paigham deina SAHI hai YA GHALT?
Bayshaq Sahi Hay..

3. kia ko act sirf is lia sahi hosakta hai ke majority wo perform karahi ho ? kia sirf yahi ek criteria hai kisi bhi amal ke sahi ya ghalt honei ka ?
Sahi Sahi Hay Aur Ghalat Ghalat, Jis Ki Pehchan Humain Shariyat Kay Ehkamaat Karwatay Hain..

4. agr me ek insan ka ko zakhmi karoo aur reason yah doo ke loge tou qatal bhi kartey hain tou yah reason kaisa hai ?
Ahmaq Pun Hay..

5. kia ISLAM sirf us waqt implement hota hai jab hum masjid me dakhil hotey hain ya namaz ke lia kharey hotey hain ya phir 24 ghantey her amal me Allah aur us ke rasool ke hukum ka khayal rakhna islam hai ?
Ye Gaud Say Gaur Tak Humain Har Cheez Ki Taleem Daita Hay, Ye Poora Aik Nizam Hay




Jazak'Allah

 



Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar!
(#6)
Old
fog fog is offline
 


Posts: 910
My Photos: ()
Country:
Join Date: Feb 2010
Gender: Female
Default Re: A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-22-2011, 09:55 PM

waalaikum assalam

1. Kiya koi yah decide karsakta hai ke kisi ke kisi bhi amal ke peechey niyat kia hai mehez dikhawa ya koi behter maqsad ?
Possible or not
not decide par guess kiya ja sakta hay in case k agar aap aik ache face reader ho ya aapki six sense mostly sahi time pe alert karti hay lakin ye har baar sahi nhi hota iska sab se behtareen hal istakhara hay allah se mashwara kiya jaaey to faisla kabhi ghalat nhi ho sakta



2. Kia ek teacher ke ek sath class ko parhana ya sar e member kisi wayiz ka islaahi bayan deina in general aur muaashrey ki kharabio ka zikr karna ya sab sei barh kar allah ka poori insanyat ke lia ek general paigham deina sahi hai ya ghalt?

in some cases sahi hay sometimes ghalat hay (if u r talking about lecture in a co_education system) to us may aik saath nhi daina chahiye aik limit rehni chahiye har masla dono k saamne aik saath discuss nhi kiya ja sakta sharm_o_haya ko prefer karna chahiye hamesha

3. Kia ko act sirf is lia sahi hosakta hai ke majority wo perform karahi ho ? Kia sirf yahi ek criteria hai kisi bhi amal ke sahi ya ghalt honei ka ?

bilkul bhi nhi kisi bhi amal k karne se pehle daikhain hmare mazhab may kia kaha gya us k liye na k ye daikhey k ziada log kar rhe hain to main bhi kar lun(agar koi ghalat amal ho to ye wohi haal hay sab gunah kama rhe hain main q peeche rahun) waise bhi kisi bhi amal k darust hone ya ghalat hone may hmara zameer hi hamain forun agah kar daita hay ghalat kaam karte hue aik baar to zaroor alert karta hay hamain hmara zameer ab zameer ki aawaz se frar hone ki koshish ki jaaey to ye alag baat hay..


4. Agr me ek insan ka ko zakhmi karoo aur reason yah doo ke loge tou qatal bhi kartey hain tou yah reason kaisa hai ?

flop reason hay koi aur sochain
aap apne amal k zumedaar hain logon k nhi aap k amal ka jawab aapko daina hay logon ne nhi

5. Kia islam sirf us waqt implement hota hai jab hum masjid me dakhil hotey hain ya namaz ke lia kharey hotey hain ya phir 24 ghantey her amal me allah aur us ke rasool ke hukum ka khayal rakhna islam hai ?

i dun know k aap ne ye sawal poocha hay ya maashrey k mojooda halat logon k mojooda amal par tanqeed ki hay
islam zindagi k har kisam k har mamley may implement hota hay aur hamesha bext result issi ko follow karne may milta hay
masla ye hay k log short term planning kartey hain short term aur quick results daikh k chamak se attract hotey hain
long run may un k mojooda amal aur faislo k kia nuqsanat hain ye wo zahri chamak may daikh nhi paatey
islamic taleemat ko follow karain to saare raastey hamesha k liye hamwar ho jaatey hain


hope mujhey kuch guidance mil jaye gi

may allah show us the right path aameen

 


Last edited by fog; 08-22-2011 at 09:58 PM..
(#7)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-24-2011, 04:59 PM

actualluy ek thread banai thi
avators aur signaturs ke hawalei sei
loge biphar gaye
aur aisy hi batein sunney ko mili


kisi ne kaha ke niyat me hi khote hai lolz acha sahab

kisi ne kaha ke sab kartey hain acha ji

kisi ne kaha ke phir yah bhi na karo wo bhi na karo matlab namaz nahi partey tou rozey sei bhi jao ok sir

kisi ne kaha islaah infiradi hoti hai ok ji


tou phir yah sawalaat kulbulaaye they
jawabaat lei liye lekin mazei ki abat unme sei siwaye ek ko chor ke kisi n koi jawab nahi dia : )

khair Allah mujhey sab sei pahlei hidayat dei

zaroorat sab sei zaida mujhey hai ,,,,

 




ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے


And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
(#8)
Old
aryan aryan is offline
 


Posts: 598
My Photos: ()
Country:
Join Date: Apr 2009
Location: dreamland
Gender: Male
Default Re: A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   09-10-2011, 09:37 AM

Assalam Alaikum
wa alai kom w.salam

Chand Sawalaaat Zehen mei aye hain

socha jawabaad ke lia ap ka nuqta e nazar bhi jaan lia jaye

maqsad ek behter soch ki takmeel hai kudh ke lia

bhai hum ne bhi apni choti se soch aor torhi se ilam ke bonyaad per Jawab diye hai, kuch ghalti ho tu sorry.

1. kiya koi yah decide karsakta hai ke kisi ke kisi bhi amal ke peechey niyat kia hai mehez dikhawa ya koi behter maqsad ?
Possible or Not

Decide kar sakte ho, lekan Jab tak Yaqeen na ho ghalat nai mano aor Jab yaqeen ho jaye aor koi soboot na ho tu prove na hi kar sakte aor na hi koshish karna agar prove karna chaho ge ulta tum phas jaoge.

2. kia ek teacher ke ek sath class ko parhana ya sar e member kisi wayiz ka islaahi bayan deina in general aur muaashrey ki kharabio ka zikr karna ya sab sei barh kar Allah ka poori insanyat ke lia ek general paigham deina SAHI hai YA GHALT?
muashrey may hum ijtemayee tor pe mil jol ke reh rahe hai, aor jo ghaltia hoti hai woh bhi ijtemaye hi hoti hai, so sahee hai.

3. kia ko act sirf is lia sahi hosakta hai ke majority wo perform karahi ho ? kia sirf yahi ek criteria hai kisi bhi amal ke sahi ya ghalt honei ka ?
zarori nae hai ke majority hi authority ho, humari shariyaat may har ek chez keliye apni Usool hai. Majority of the pplz jo kam karte hai woh isliye sahe hota hai, kionke os act ke pechay har ek ka inferadi alag alag soch hota hai, woh on socho ke bonyaad pe woh act sahe hai, so ek inferadi soch majority ke ziyada socho ko ghalat nae kar sakta.

4. agr me ek insan ka ko zakhmi karoo aur reason yah doo ke loge tou qatal bhi kartey hain tou yah reason kaisa hai ?
hum Jis muaashre may rehte hai , waha kisi se reham ki omeed na karo tu acha hoga. agar tum aisa kaho gi bhi tu tumhari sadgi hogi

5. kia ISLAM sirf us waqt implement hota hai jab hum masjid me dakhil hotey hain ya namaz ke lia kharey hotey hain ya phir 24 ghantey her amal me Allah aur us ke rasool ke hukum ka khayal rakhna islam hai ?
hadees may ata hai, ke agar tum logoon se chop kar koi gunnah karo tu yaad rakhnaa ke Allah tumhay dekh raha hai, aor agar tum zamane se koi gunnah chop kar karo bhi tu wah azeem zaat tumhay dekh raha hai, aor tum os say kuch bhi nae ch isliye humein har waqt islaam ko follow karna chahiye.a chahiye.
darasal shariyaat wahaan se shoro ho jati hai jahan hamari aqal kam chorh deti hai, isliye humein sirf woh karna chahiye jis ka quran aor sunnat ne karne ka kaha ho.

 





ι нαтє мιѕѕιиg уσυ
fσя му ¢нєѕт тιgнтєиѕ
ι ¢συℓ∂ нαя∂ℓу вяєαтнє
тнιикιиg ι αм αℓσиє
fєєℓιиg υ ∂σи’т ¢αяє
вυт
ι ℓσνє нανιиg υ тσ мιѕѕ
(#9)
Old
malik farrukh nadeem's Avatar
malik farrukh nadeem malik farrukh nadeem is offline
 


Posts: 21
My Photos: ()
Country:
Join Date: Jan 2012
Gender: Male
Default Re: A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   01-23-2012, 01:34 PM

all the best

 

(#10)
Old
Ragnarok Ragnarok is offline
 


Posts: 212
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Oct 2011
Location: Oman
Gender: Male
Default Re: A Few Questions - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-01-2012, 04:31 PM

1- naiki ka amal nigaho mein poshida reh k
2- genrally guidance 2 raasto me se aik rasto ki chali arahi hai NAIKI ya BADI
3- dikhawa ka dor hai bhai soch kum josh ziada ka issue common hai
4- samna uska ek din kerna hai jisne hisaab lena hai to yhi kahuga.........bewakoofi !!!
5- islam DILLI yaqeen se mukammal huwa hai bas mazbooti ki kami beshi hai......or kuch nahi

brielfy define kia hai soch ap k pas bhi hai smjhne k liye good luck

 



[SIGPIC][/SIGPIC]
Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
questions

« Previous Thread | Next Thread »

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Questions and answers ROSE Quran 10 07-05-2012 02:08 PM
questions and answers ROSE Quran 3 07-04-2012 03:48 PM
Questions and answers ROSE Quran 5 07-04-2012 03:22 PM
Questions pe questions ! HEER Posting Games 222 02-13-2011 09:17 PM
Funny questions LAMS GupShup 17 09-04-2010 05:37 AM


All times are GMT +5. The time now is 07:46 AM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG