Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Baat Cheet -----Chat-Room(USERS) » Personal » Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata.
Personal This section is for your personal images. Post your pictures, your family, friends, your backyard etc whatever you feel like sharing with others.

Advertisement
 
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#1)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Loading Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-25-2011, 10:19 AM

Assalam Alaikum

Bohat se logo ka mujh pe aitraaz hai ke mei na saalgirah ki wish karta hoo na manata hoo na hi shikrat karta hoo. even tou me meri behen ki bachi ki saalgirah me nahi gaya aur phir us shaks ki saalgirah ki wish nahi ki jo mujhey apni jaan sei ziada aziz hai. logo ke baaz sawalo ke jawab hotey huawy bhi khamoshi ko behter jana kei behes maqsood nahi thi. Phir aaaj socha ke apna nuqta e nazar wazei kardoo.


SAALGIRAH ko me thora sa alag likhna chahooga aur aqalmand ke lia ishara kaafi hoga ... SAAL GIRAH.

Ek sawal ka jawab me chahooga ke ke ger aap ke pass ek lakh rupei hon aur her 5 hazaar ki kami per aap khush honge ya aap ko fikr hogi ke yah tou khatam honei walei hain.

meri umr bhi Allah ki ata ki hooi aisy dolat hai... poori di barh nahi rahi .. kam horahi hai.. waqt kam bach raha hai tou kam honei ki khushi manana ahmaqana fayel hai ya nahi ?

han zaroor manata ger pata ho jo kharch kia jo guzar gaya wo bahter tha ya us me kuch acha hogaya ya kiya.... aur jab ke aisa hai nahi tou phir kis baaat ki khushi.

aaney walei saal ki khushi bhi manai jasakta hai per ger surity deido ke us me kuch bura nahi hoga ya wo akhri saal nahi hoga...... her baat sei be khabar andhey bahro ki tarha khushyaa manana ajeeb si baat nahi.

phir akhri baat.. saalgirah manana hamara sheva nahi.. hum bahasiyat Qome ek identity rakhtey hain aur hamarei lia follow karna kisi aisey ko pahlei hi mardood hain ghalt hai mana hai.....


baaqi aap logo ke pass koi reason hai tou batadein. : )

 




ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے


And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
(#2)
Old
Sami Sami is offline
 


Posts: 2,420
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2010
Location: .. In My Gfs Heart ..
Gender: Male
Default Re: Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-28-2011, 05:49 AM

Shaam Bhai Ye Apki Thinking Hai .. !!
Meri Thinking Bhi Issy Kafi Milti Hai .. Lekn ME Apk0 Ek Bat Kah0nga K Jitni Life Mili Hai W0 Alag Bat Hai ..
Lekn D0sr0n Ki Khushi K Liye Agar Ap Celebrate Karlengy Ya D0sr0n K0 Wish Kardengy T0u Apk0 Acha Feel H0ga 0r D0sr0n K0 Bhi ..
Bura Lagey T0u S0ry Br0 ..

 



!! .. Back To Hunt Again .. !!
(#3)
Old
!~*SOoLi !~*SOoLi is offline
Girl Heart Black!!! .. =D
 


Posts: 12,518
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: Lahore..
Gender: Male
Exclamation Re: Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-28-2011, 07:20 AM

Quote:
Assalam Alaikum
Walaikum'Assalam!


Quote:
meri umr bhi Allah ki ata ki hooi aisy dolat hai... poori di barh nahi rahi .. kam horahi hai.. waqt kam bach raha hai tou kam honei ki khushi manana ahmaqana fayel hai ya nahi ?
Bhai,.. Apki Sari Statement Mein Sirf Ye Line Na Hoti.. To Shayad Mein "Good Shaam Bhaiya, Apnay Jo Socha Behtar Socha Hoga Apnay Liye" .. Keh Kar Chala Jata.. Daikhain Bhai, 2 Kisam Ki Batain Hoti Hain, Shariyat'W'Quran'O'Sunnat Par Mabni Batain Aur Daleeli Ya Aqli, Ya Soch Par Mabni Batain Hoti Hain.. Koi Insan Khilaf-e-Shariyat Chalay, To Usay Gumrah, Ahmeq, Baywaqoof.. Hat'Takay Kafir Tak Baat Pohanch Jati Hay.. [Kuch Fail Aisay Bhi Hotay Hain] Kaha Ja Sakta Hay.. Us Kay FAIL Kay Badlay.. Haan Jaha'n Aqli, Daleeli Ya Soch Par Mabni Batain Hoti Hain.. Waha'n Jab Apki Soch Say Koi Doosri Soch Takra Jaye, .. To Aqalmandi Yehi Hoti Hay Usay Doosri Soch Ko Ahmeqana Na Kaha Jaye, Aur Ahmeq Pun Yehi HOta Hay, Kay Doosri Soch Ko Ahmeqana Kehkay Dil Azaari Ka Saman Kardiya Jaye.. Us Ki Waja Dar'Asal Ye Hay.. K Jis Zawiye Say Ap Soch Rahain Hain Apnay Usko Apnay Liye Theek Paya, Aur Jis Zawiye Say Fareeq Dom Soch Raha Hay, Us Nay Apnay Nazriye Kay Mutabiq Apnay Mufad Mein Usko Theek Paya.. Dono Apnay Apnay Ghar Khush.. To Bilajawaz Ahmeqpun Ka Sabut Ahmeq Keh Kay Nahi Daina Chahiye..



Quote:
Bohat se logo ka mujh pe aitraaz hai ke mei na saalgirah ki wish karta hoo na manata hoo na hi shikrat karta hoo. even tou me meri behen ki bachi ki saalgirah me nahi gaya aur phir us shaks ki saalgirah ki wish nahi ki jo mujhey apni jaan sei ziada aziz hai. logo ke baaz sawalo ke jawab hotey huawy bhi khamoshi ko behter jana kei behes maqsood nahi thi. Phir aaaj socha ke apna nuqta e nazar wazei kardoo.
SAALGIRAH ko me thora sa alag likhna chahooga aur aqalmand ke lia ishara kaafi hoga ... SAAL GIRAH.

Ek sawal ka jawab me chahooga ke ke ger aap ke pass ek lakh rupei hon aur her 5 hazaar ki kami per aap khush honge ya aap ko fikr hogi ke yah tou khatam honei walei hain.



han zaroor manata ger pata ho jo kharch kia jo guzar gaya wo bahter tha ya us me kuch acha hogaya ya kiya.... aur jab ke aisa hai nahi tou phir kis baaat ki khushi.

aaney walei saal ki khushi bhi manai jasakta hai per ger surity deido ke us me kuch bura nahi hoga ya wo akhri saal nahi hoga...... her baat sei be khabar andhey bahro ki tarha khushyaa manana ajeeb si baat nahi.
hmmm, .. Security To Aglay Pul Ki Nahi Bayshaq, Aur Dua Go Hoo'n K Allah Sab Ka Khatma Imaan Par Karay, Magar Soch Ka Faraq Ye Hay K Jo Ap Soch Rahay Hain, Doosra Tabqa-e-Fiqr Ye Bhi Soch Sakta Hay, Kay Aik Saal Tajurbay Mein Izafa Howa, Daanai Mili, Aglay Saal Ki Zamanat Nahi Par HOsakat Hay Shahadat Milay.. Hosakta Hay Bura Ho Par Buray Ko Azmayesh Samjh Kay Usay Bakhushi Shukranay K Sath Saranjam Karo.. Us Buray Waqt Ko Apni Khuda Say Qurbat Ka Saman Karo, Shahadat Milay To Uspar To Afsos Bhi Jayez Nahi.. hmmmmm Agar Apkay 5 Lac Mein Say Aik Lac Kum Hota Hay To Ap Kehtay Ho 4 Lac Rehgya.. Afsos Sud Afsos.. Par Mein Kehta Hoon Aik Lac Lug Gya .. Buss 4 Aur Lagaonga To Mahel Tameer Hojayega.. Bhai Mein Apki Misalain Aphiko Doosri Soch K Mutabik Bayan Kar Raha Hoon.. hmmmm Agar Khushiya'n Mananay Ko Shariyat Mein Fatwa-e-Haram Diya Jata Hay, To Theek Hay Mein Khushi Nahi Manaonga.. Even Kay Meri Bhanji Ki Salgirah Hoti, To Mein Unki Khushi O Ghami Mein Khud Ko Shareek Karna Lazim Samjhta.. Mein Unki Baiti Kay "Baray" Honay Ki Khushi Mein, Mama Papa Allah Bolnay Ki Khushi Mein, Aur Agay Kuch Acha Seekhnay Ki Khushi Mein Zaroor Shirkat Karta.. Nakay Mein Chup Kar Kay Baith Jata Kay Bass Ab Uski Zindagi Ki Agay Koi Zamanat Nahi Hay.. Bass Uski Zindagi Ka Aik Saal Kam Hogya Hay.. Buss Bai Buss.. hmmmmm Khuda Say Achay Ki Umeed Rakhni Chahiye, .. Hamesha!


Quote:
phir akhri baat.. saalgirah manana hamara sheva nahi.. hum bahasiyat Qome ek identity rakhtey hain aur hamarei lia follow karna kisi aisey ko pahlei hi mardood hain ghalt hai mana hai.....

Identity Aur Hasiyat Rakhtay Hain Bayshaq, .. Magar Humain Apnai Hudood O Qayad, Apnay Tor Atwaar, .. Apni Shariyat Kay Dayere, Apni Sadgi, Apni Sadaqat, Apni Sharafat, Apni Amanat Dari.. Qul Mila Kay Apni Deen Dari.. Yehi Nahi, Insaniyat Ko Bhi Thais Nahi Pohnachni Chahiye Is Kaam Say.. Haan Shariyat Mein Humaray Liye Is Ki Mumaniyat Hoti.. To Ye Humaray Deen Say Takrati Aur Is RASM KO Haraam Qarar Diya Jasakta Tha.. [Agar Koi Aisi Baat Hay, To Mere ILM Mein Layi Jayi.. Banda Talib-e-ILM Hay, Mashqoor Hoga]


Wasalam Salman Gillanii!

 



Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar!
(#4)
Old
!~*SOoLi !~*SOoLi is offline
Girl Heart Black!!! .. =D
 


Posts: 12,518
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: Lahore..
Gender: Male
Default Re: Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-28-2011, 07:25 AM

Thanks Pressed! .. Apnay Humain Is Qabil Samjha Kay Apni Soch Say Agaaahi Di Jaye!

 



Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar!
(#5)
Old
iqra iqra is offline
 


Posts: 5,282
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2011
Gender: Female
Default Re: Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-28-2011, 10:35 AM

Sooli bhai bohat achi bat ki

 

(#6)
Old
AFghani_Laila AFghani_Laila is offline
 


Posts: 16,666
My Photos: ()
Country:
Join Date: Sep 2009
Location: Sangar
Gender: Female
Default Re: Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-28-2011, 10:46 AM

SOOli Ki Baat se Mai 100% Sehmat Hon

 



[SIGPIC][/SIGPIC]
(#7)
Old
AYAZ's Avatar
AYAZ AYAZ is offline
 


Posts: 12,370
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: Karachi
Gender: Male
Default Re: Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-28-2011, 01:18 PM

agree with shaaam . main bhi nahi manata salgira acha kartay ho

 







ALLAH FARMATA HAI :
AEY BANDEY JO HUA
WO ACHA HUA .
JO HORAHA HAI ACHA HO RAHA HAI.
JO HOGA WO BHI ACHA HOGA.
TERA KIYA GAIYA JO TU ROTA HAI
TU KIA LAYA JO TU NE KHO DIYA.
JO LIYA YAHIN (DUNYA) SEI LIYA
JO DIYA YAHIN (DUNYA) PE DIYA
JO AAJ TERA HAI PEHLAY KISI AUR KA THA
AUR KAL KISI AUR KA HOGA.
TABDEELI KAINAAT KA MAMOOL HAI
BAS TU WO JAMA KAR JO TU SATH LEI KAR JANEY WALA HAI
YANI NAIK AMAAL.


(#8)
Old
Zafina's Avatar
Zafina Zafina is offline
 


Posts: 16,987
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: Islamabad
Gender: Female
Default Re: Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-28-2011, 03:29 PM

Meray Khayal me tu chunkay humy Dosry Qoumo (Yahud wo nasara ) Ki taqleed sai maana kya gaya hay is liye nahi mannana chaye.. cox salgirah ka trend waha sai aya hay.. Agreed with you bhaya (y)

 




And Your Lord Never Forget
(#9)
Old
Zafina's Avatar
Zafina Zafina is offline
 


Posts: 16,987
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: Islamabad
Gender: Female
Default Re: Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-28-2011, 03:36 PM

Isi topic sai related aik chex mili hay


اس تہوار جسے لوگ " سالگرہ كا تہوار " كہتے ہيں اس كے متعلق شيخ ابن عثيمين رحمہ اللہ كہتے ہيں:

ہر وہ تہوار جسے عيد بنايا جائے اور وہ ہر ہفتہ ميں يا ہر سال تكرار سے آئے وہ مشروع نہيں يہ بدعت ہے، اس كى دليل يہ ہے كہ:

شارع نے بچے كى ولادت پر عقيقہ كرنا مشروع كيا ہے اور اس كے بعد كچھ نہيں، ان كا يہ تہوار بنا لينا جو ہر ہفتہ يا ہر سال ميں آئے اس كا معنى يہ ہوا كہ انہوں نے اسے اسلامى عيد اور تہوار كى مشابہ بنا ليا ہے، اور ايسا كرنا حرام ہے جائز نہيں اسلام ميں تين تہواروں اور عيدوں كے علاوہ كوئى نہيں يعنى عيد الفطر اور عيد الاضحى اور ہفتہ وار عيد جمعہ ہے.

يہ عادات ميں سے نہيں كيونكہ اس ميں تكرار ہے اسى ليے جب نبى كريم صلى اللہ عليہ وسلم مدينہ تشريف لائے تو مدينہ كے لوگ دو تہوار اور عيديں منايا كرتے تھے تو آپ صلى اللہ عليہ وسلم نے فرمايا:

" اللہ سبحانہ و تعالى نے ان دو تہواروں كے بدلے تمہيں دو بہتر اور اچھے تہوار ديے ہيں وہ عيد الفطر اور عيد الاضحى ہيں "

سنن نسائى حديث نمبر ( 1556 ) سنن ابو داود حديث نمبر ( 1134 ) علامہ البانى رحمہ اللہ نے سلسلۃ الاحاديث الصحيحۃ حديث نمبر ( 124 ) ميں اسے صحيح قرار ديا ہے.

حالانكہ يہ ان كے ہاں عادى امور ميں سے تھے " انتہى

منقول از: شرح كتاب التوحيد ( 1 /

 




And Your Lord Never Forget
(#10)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-28-2011, 07:14 PM

thanks for reading it

waisey tou zafna ne jo share kia hai wo kaafi hai
lekin actually hum sab ger baat hamarei haq me ho tu ek dallil kaafi hoti hai

aur na ho tou chahtey hain har zaviya clear hojay

sab se pehlei tu yah e fatwa me nahi deisakta jis ko ek halaal haraam mubaah honey ka sawal karna hai tou kisi aalim sei ruju karein aur zaroor karein

jaisey chitey chiotey mslo me doctors ko consult kartey hain
aisey hi chotey chotey mslo me ulma e karaam ke paas jana chaiye


khair
wapis atey hain

aqli dalil aur sath me tareeqa e Rasool

aap saw ne musalmano ke lia alag identity ki bohat sakhti sei wazahat ki hai
even
9 10 muharaam ka roza
yahoodi saafa bandhtey they khali sar per
aap saw ne kaha topi rakh ke bandho
aisy hazaaro misaalein
jo kisi ki waza qata aur tareeqay apnaye ga hasahar bhi unme hoga
phir ek aur baat simple si ke kia koi ek riwayat milti hai ke saalgirah ya saal poora hone pei kisi ne koi khushi manai ho\
even yah ke kisi saaal barei sei bara karnaama kardia tab bhi

merei bhai merei dost mere mohtram khushi kis baat ki
kia me ah kahsakta hoo ke mei nei kuch hasil karlia hai
ya me allah ki nazar me behter hogaya hoo
ya yah ke ab ke saal menei tayyari mukammall karli
ya kuch bater hasil karlia
yah khayal hi batil hai
me hamehsa sei gunaahgaar tha aur rahooga
aur qayamat ke din allah sei kahoo ke yah gunnah laya ho aur bohat sari umeed


khair
again wapis atey hain aqli dalil par


umr di Allah ne aulaad di Allah ne
ek saal ka hogaya aur ek saal umr barhgai
shukr karna hai Allah ka


ab betho khushyaa manao
kaisy

be pardigi horahi hai
lanat baras rahi hai

gaana bajana alag

shuker karna tha allah ka jaisy allah ke rasool na kaha
karne kia lagei : )

 




ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے


And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
kio, manata, mei, nahi, nazar, nuqta, saalgirah

« Previous Thread | Next Thread »

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mei Udaas Nahi !! SHAYAN Miscellaneous/Mix Poetry 10 08-28-2011 09:06 AM
Tere Chehre Se Nazar Hatati Nahi (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) Share Your Favourite Videos 3 07-26-2011 01:31 PM
Saalgirah Mubarrak Ho ... AYAZ ..!! AFghani_Laila Birthday & Other Wishes 33 02-08-2011 07:40 AM
Tere chehre se nazar nahi (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) Share Your Favourite Videos 3 06-15-2010 10:26 AM
~~~ saalgirah celebrate krna ~~~ umair8005 Islamic Issues And Topics 6 05-08-2009 05:48 PM


All times are GMT +5. The time now is 05:49 AM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG