Qasam Aur Uski Haqeeqat - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Islam » Quran » Qasam Aur Uski Haqeeqat
Quran !!!!Quran ki Nazar Sey!!!!

Advertisement
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#1)
Old
PRINCE SHAAN PRINCE SHAAN is offline
 


Posts: 7,688
My Photos: ()
Country:
Join Date: Jul 2010
Location: PAKISTAN
Gender: Male
hearts Qasam Aur Uski Haqeeqat - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   05-14-2011, 04:14 PM

Assalamu Alaykum Wrwb

koi bhi cheez ki ahmiyat uski sachchai aur uski haqqaniat ko batane k liye Qasam khayi jati hai

yane samne wala ye soche ki Qasam kha kar keh rahe hain to ye baat sach hogi

Quran me bhi kayi maqamat par Allah ne apni maqloog ki Qasam khayi hai
jaise sure ASR me Allah tala ne zamane ki Qasam khayi hai
aur kayi hadeeson se hame ye bhi pata chalta hai ki Allah k Rasul sallellahu Alayhi wa sallam ne Allah ki Qasam khayi hai


to kisi haq baat k sath usko zor dene k liye Qasam khayi ja sakti hai par har choti baat k liye ya mazakh mazakh me Qasam khana sahi nahi
agar koi jhooti Qasam khata hai to usko uska kuffara dena padega aur sath me tauba bhi ye kuffara hai us galti ka

ab rahi baat Qasam kiski khayi jaye
loog Qasam maa baap ki khate hain apne mehboob ki khate hain Quran ki Qasam khayi jaati hai
kya ye sahi hai...nahi ye bilkul sahi nahi haram hai balke ye Qasm shirk tak lejati hai hame
kyun k hame sirf aur sirf Allah ki Qasam khane ki ijazat hai wo bhi sachi Qasam zaroorat par

aur Allah jiski chahe Qasama kha sakta hai

Qasam k mane aur qism ki bhi wazahat kardete hain insha Allah

لاَ يُؤَاخِذُكُمُ اللّهُ بِاللَّغْوِ فِيأَيْمَانِكُمْ وَلَكِن يُؤَاخِذُكُم بِمَا عَقَّدتُّمُ الأَيْمَانَ فَكَفَّارَتُهُإِطْعَامُ عَشَرَةِ مَسَاكِينَ مِنْ أَوْسَطِ مَا تُطْعِمُونَ أَهْلِيكُمْ أَوْكِسْوَتُهُمْ أَوْ تَحْرِيرُ رَقَبَةٍ فَمَن لَّمْ يَجِدْ فَصِيَامُ ثَلاَثَةِأَيَّامٍ ذَلِكَ كَفَّارَةُ أَيْمَانِكُمْ إِذَا حَلَفْتُمْ وَاحْفَظُواْأَيْمَانَكُمْ كَذَلِكَ يُبَيِّنُ اللّهُ لَكُمْ آيَاتِهِ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

Allah will not call you to account for what is futile in your oaths, but He will call you to account for your deliberate oaths: for expiation, feed ten indigent persons, on a scale of the average for the food of your families; or clothe them; or give a slave his freedom. If that is beyond your means, fast for three days. That is the expiation for the oaths ye have sworn. But keep to your oaths. Thus doth Allah make clear to you His signs, that ye may be grateful. 5:89

Allah tala tumhari Qasmon me lagu Qasm par tum se mowakhiza nahi fermata lekin mawakhiza is par fermata hai ke tum jin Qasmon ko mazboot kardo iska kaffara 10 mohtajon ko khana dena hai ausat darje ka jo apne ghar walon ko khilate ho ya inko kapda dena ya ek gulam ya ek laundi aazad karna hai aur jisko muqaddar na ho to teen din ke roze hain ye tumhari Qasmon ka kaffara hai, jabke tum Qasm khalo aur apni Qasmon ka khayal rakho istarah Allah tala tumhare waste apne ahkaam bayan fermata hai take tum shukar karo 5:89

Qasam jisko Arabic me Halfun ya Yameenun kehte hain jin ki jama Ahlafun aur Iamaan hai
Iske teen qism hain 1. Lagvun 2. Gamoosun 3. Muaqqadatun

1. Lagvun : wo Qasm hai jo insaan baat baat me aadatan bagair kisi irade aur niyyat k khata rehta hai ispar koi mawakhiza nahi

2. Gamoosun : wo jhooti Qasm hai jo insaan dhoke aur fareb dene k liye khaye, ye kabeerah gunah balke akbar ul kabair hai, lekin is par kuffara nahi

3. Muaqqadatun : wo Qasm hai jo insaan apni baat me takeed aur pokhtagi k liye iradatan aur niyyatan khaye, aisi Qasm agar todega to iska kuffarah hai

To abhi yahan baat aur bhi wazhe hogayi hai k Qasam ki ahmiyat aur isko todhne ka kuffara aur jhooti Qasam ka kabeerah gunah aur aadatan Qasam ki mumaniat
Aadatan aksar ye cheez arab me payi jati hai jo hamne khud yahan dekha hai isme unka koi iradah nahi hota bas aise hi keh dete hain lekin isse bhi parhez karna chahiye

Umeed karte hain ki Qasam aur kuffara kya hai tafseel se apko samajh me agaya hoga

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen

 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
(#2)
Old
!~*SOoLi !~*SOoLi is offline
Girl Heart Black!!! .. =D
 


Posts: 12,518
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: Lahore..
Gender: Male
Default Re: Qasam Aur Uski Haqeeqat - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   05-16-2011, 02:22 PM

Bohat Hi Achi Information Hay Bhai, .. Jazak'Allah Apnay Humain Qasam Ki Ehmiyat Say Agahi Di..

 

(#3)
Old
X!N X!N is offline
 


Posts: 184
My Photos: ()
Country:
Join Date: May 2011
Gender: Female
Default Re: Qasam Aur Uski Haqeeqat - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   05-21-2011, 12:11 AM

jazakAllah

 

(#4)
Old
ღƬαsнι☣Rασ™ ღƬαsнι☣Rασ™ is offline
 


Posts: 29,879
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2010
Gender: Male
Default Re: Qasam Aur Uski Haqeeqat - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-06-2012, 09:08 PM




Jazak Allah
Thanks fOr Shar!ng

 

(#5)
Old
Rania Rania is offline
 


Posts: 11,221
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jul 2011
Gender: Female
Default Re: Qasam Aur Uski Haqeeqat - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   04-26-2015, 04:47 PM

اللہ تعالیٰ آپکو اس کی جزا دے
جزاک اللہ

 

Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
aur, haqeeqat, qasam, uski


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Haqeeqat Samjho Ya Afsana Ghuncha Funny Poetry 15 08-24-2011 04:55 PM
Bharam Uski Nafrat Ka Aaj Aur Reh Jane Do Dil Wale Miscellaneous/Mix Poetry 6 08-05-2011 06:47 PM
Haqeeqat aashna mere... ! HEER Miscellaneous/Mix Poetry 6 01-02-2011 11:43 PM
~Tanha Aur Uski Yaad Thi~By ADoO !~*AdOrAbLe*~! Miscellaneous/Mix Poetry 5 12-05-2009 04:50 PM
Dunia ki HaQeeQat safa Islamic Issues And Topics 4 01-16-2009 05:27 PM


All times are GMT +5. The time now is 07:40 AM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG