!!~~ Rasool SAWW Se Aage Na Barho ~~!! - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Islam » Islamic Issues And Topics » !!~~ Rasool SAWW Se Aage Na Barho ~~!!
Islamic Issues And Topics !!! Post Islamic Issues And Topics Here !!!

Advertisement
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#1)
Old
Alia Alia is offline
 


Posts: 7,505
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jun 2009
Location: India
Gender: Female
Islam !!~~ Rasool SAWW Se Aage Na Barho ~~!! - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   09-01-2009, 02:08 PM

Bismillah Al-Rahman Al-Raheem

Asslamo Alaikum Wa Rahamatullah Wa Barakatuhu..!!

Allah SWT Ne Hamein Ek Kamil Deen Diya Hai Jiski Ratein Bhi Din Ki Tarhan Roshan Hain.... Allah SWT Ne Hamein Andhere Main Hargiz Nahin Chora........ Hamara Yeh Iman Hai Ke Rasool SAWW Deen Ki Har Choti Aur Barhi Baat Bata Kar Gaye Hain..... Ab Deen Main Na Koee Izafa Hoga Aur Na Hi Koee Kami Ho Sakti Hai Alhamdolillah Hamara Deen Mukammal Hai .........!!


Deen Ki Har Baat Hamein Quran Aur Ahdees Main Milegi Agar Baat QUran Ahadees Se Sabit Hai To WOh Sar Ankho Per Lekin Logon Ki Banayee Huee Bataein Hargiz Deen Nahin Ban Sakti....


Hum Deen Ki Baton Ko Bahot Halke Main Lene Lag Gaye Hain Koee Bhi Aakar Kuch Bata Deta Hai Deen Ke Naam Per Aur Hum Aankhe Band Kiye Hue Use Qabool Kar Lete Hain Nahin Janne Ki Koshish Karte Hain Ke Jo Baat Batayee Gayee WOh Quran Ahdees Se Sabit Bhi Hai Ya Nahin .......

Choti Si Baat Hi Lelijiye Namaz Aur Roze Ki Niyat Zaban Se Karna ... Koee Bhi Aalim Mufti Kisi Bhi Hadees Se Yeh Sabit Nahin Kar Sakta Ke Rasool SAWW Ne Zaban Se Niyat Karna Bataya Ho..... Niyat Naam Hai Dil Ke Irade Ka AUr Yeh Baat Sab Mante Bhi Hain Sabko Patah Hai Ke Jo Zaban Se Niyat Ke Alfaz Kahe Jate Hain WOh Kisi Bhi Hadees Main Nahin....... Log Likh Dete Hain Ke Niyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Lekin Zaban Se Karlo To AUr Acha Hai ....... Unse Poocha Jaye Ke Aapko Kaise Patah Ke Zaban Se Niyat Ki Jaye To Woh AChi Hogi ? Aapko Kisne Bataya ? Ya Aap Yeh Dawah Karte Ho Ke Nauzobillah Rasool SAWW ko Yeh Baat Patah Nahin Thi AUr Aapko Patah Chal Gayee? Ya Aapka Yeh Dawah Hai Ke Rasool Allah SAWW Sahaba Kiram Ko Nauzobillah Batana Bhool Gaye ? Kis Base PEr Aap Keh Dete Ho Ke Zaban Se Kaho To Aur Acha Hai ? Jo Bhi Deen ki Baat Thi Jab Rasool SAWW Sab Bata Kar Gaye Hain To Kyon Hum Usi Main Razi Ho Jate Hain ? KYon Apni Taraf Se Izafa Karke Hum Rasool SAWW Ki Mukhalfat Karte Hain ? AUr Jane ANjane Main Rasool SAWW Ki Toheen Kar Beth Te Hain ......... Allah Ki Panah

Lekin Afsos Hum Dawah To Karte Hain Ke Hum Hi Sache Aashiq-E-Rasool Hain Lekin Hamara Amal Sunnaton Ke Khilaf Hota Hai Jo Aaj Sabse ZYada Aashiq-E-Rasool Hone Ka Dawah Karte Hain WOhi Sabse ZYada Shirk AUr Bidat Main Doobe Hue Hain .........
Aur Yaad Rakhiye Jahan Bidat Aajati Hain Wahan Sunnat kabhi Nahin Rehti Hai Sunnat Aur Bidat Ek Jagah Reh Hi Nahin Sakti Hain Isliye Bidato Ko chota Gunah Na Samjho Yeh Bahot Barha Fitna Hota hai ... Dheere Dheere Yehi Bidate Deen Ka Hissa Banti Chali Jati Hain Logon Ki Nazro Main, Aur WOh Asal Deen Ki Baat Se Door Ho Jate Hain ............


Allah SWT Ka Farman Suniye....:
" Aiy Logon Jo Iman Laye Ho Allah Aur Uske Rasool SAWW Se Aage Na Barho ( Surah Hujrat Aayat-1)"

Rasool SAWW Ki Ata'at Karne Karne Ka Hukum Diya Gaya Hai Rasool SAWW Ki Itteba Ke Muqable Main Kisi Doosre Ki Ata'at Aur Itteba Karke Apne Aamaal Ko Barbad Na kijiye.....
Irshad-E-Bari Ta'ala Hai :
" Aiy Logo Jo Iman Laye Ho Allah Ki Ata'at Karo, Rasool SAWW Ki Ata'at karo Aur ( Kisi Doosre Ki Ata'at Karke) Apne Aamaal Barbad Na Karo (Surah Mohammed Ayat-33 )"


Bidat Ko Choti Baat Na Samjhiye Yeh Ek Bahot Barha Gunah Hai Jisse Bachne Ka Hukum Rasool SAWW Ne Diya Hai .......
Rasool SAWW Ka Farman hai :
" Jisne Hamare Deen main Koee Nayee CHeez Ijad Ki Jiska Deen Se Koee Taulluq Nahin Hai Tu WOh Mardood Hai " (Saheeh Bukhari 2697)

Ek Aur Hadees Hai " Deen ke Andar Nayee Nayee Cheeze Dakhil Karne Se Baaz Raho Bila shubha Har Nayee Cheez Bidat Hai Aur Har Bidat Gumrahi Hai " (Abu'daud Kitab Al Sunnah 7064)

Allah SWT Hum Sabko Apne Deen Se Mohabbat Karne Wala Bana Dey Aur Hamein Us Deen Per Sabit Qadam Karde Jo Rasool SAWW Hamein Dekar Gaye Aur Huq Baat Logon Ke Samne Kehne Ki Hamein Himmat de... Aameen Ya RabbulAalameen ...!!

Khush Rahiye Dua Main Yaad Rakhein
Wa'Assalam WR Wb

 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
(#2)
Old
K@IN@@T K@IN@@T is offline
 


Posts: 13,084
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2009
Location: In The World of Reality
Gender: Female
Default Re: !!~~ Rasool SAWW Se Aage Na Barho ~~!! - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   09-01-2009, 04:58 PM

jazakallah
v nice sharing

 

(#3)
Old
Alia Alia is offline
 


Posts: 7,505
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jun 2009
Location: India
Gender: Female
Default Re: !!~~ Rasool SAWW Se Aage Na Barho ~~!! - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   09-01-2009, 09:11 PM

thnx u 4 replying hafsa

 

(#4)
Old
safa safa is offline
 


Posts: 21,143
My Photos: ()
Country:
Join Date: Aug 2008
Location: India
Gender: Female
Default Re: !!~~ Rasool SAWW Se Aage Na Barho ~~!! - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   09-02-2009, 03:50 PM

jazakallah

 

(#5)
Old
!«╬Ĵamil Malik╬«! !«╬Ĵamil Malik╬«! is offline
 


Posts: 19,769
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2008
Location: lahore
Gender: Male
Default Re: !!~~ Rasool SAWW Se Aage Na Barho ~~!! - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-02-2010, 07:26 PM

 

Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
aage, barho, rasool, saww


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Farman e Rasool SAWW! pinky Hadees Shareef 4 08-16-2012 01:59 AM
Chaahat Rasool Ki ’Alayna‘ Say For Islam 14 09-01-2011 07:19 AM
Bazecha e atfaal hai duniya mere aage (Ghalib) AYAZ Miscellaneous/Mix Poetry 5 08-05-2011 02:30 AM
Ya rasool allah ~ Bikhre Lamhe ~ Hamd O Naat 2 10-18-2009 08:15 PM
Rasool-e-Akram ke.... safa Islamic Issues And Topics 0 03-13-2009 09:26 PM


All times are GMT +5. The time now is 08:51 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG