Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A) - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Baat Cheet -----Chat-Room(USERS) » Quotes » Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)
Quotes !! Here You Can Share Ur Favourite Quotes !!

Advertisement
 
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#1)
Old
ROSE ROSE is offline
 


Posts: 52,341
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender: Female
Default Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A) - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-26-2011, 12:22 PM

1.Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.


2.Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.


3.Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy


4.Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.


5.Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.


6.Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.


7.Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.


8.Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.


9.Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa "Zarf" waisi Uss ki "Takhleeq"


10.Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.


11.Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.


12.Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.


13.Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay


14.Acha Dost Kitni Dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k Tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain


15.Koi mumlikat Kufer ke saath to chal sakti hai magar na insaafi ke saath nahi


16.Main ne Allah Ko apney iraadon ke totney se pehchana hay


17.Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke Allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua radd hojati hai to mujhey aur bhi zayada khushi hoti hai ke ye mere Allah ki marzi nahi


18.Tumhari woh khamoshi jis ke baad tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey, tumharey uss kalam sey behtar hay jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.


19.Khoobsorati kaproun se nahe ilm o adab se hoti hay


20.Her shakhas ki qeemat woh hunar hay jo us ke ander hay


21.Woh Gunah jis ka tumhein ranj ho Allah Tala k nazdik us neki se behtar hy ji se tum mein ghuroor paida ho jaiy.


22.Ikhtiar, Taqat Aur Dolat Milney Per Log Badaltay Nahi, Balkeh Be-Naqab Hotey Hain


23.Dolat Mitti ki tarhan hy aur mitti ko pair k niche rehna chahyay. Agar Sir pe charhao gay to Qabar Ban jaiy gi Aur Qabar zinda Insano k liye Nhe hoti...


24.Sab se bari khayanat apni Qaum se Ghaddari hay


25.Gunah Jawan ka bhi bad hy magar borhay ka bad tar hay


26.Azaadi ki hifazat na kernay wala Ghulami mien griftaar h jata hay


27.Insan Dukh nahe detay, Insano se Wabasta Umeedein dukh deti hain


28.Agar Tum kisi ko chota dekh rahay ho to ya usay door se dekh rahay ho ya gharoor se


29.Jab Tum dunya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi rasta na niklay to Sadqa day ker Allah se tajaarat kiya kero.


30.Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy


31.Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai


32.AY ALLAH PAK, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya ... tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare


33.Agar kisi ka BANNA chatay ho to puri HAQEQAT se ban jao… Warna,apni Zaat mein aisi HAQIQAT peda kar lo k,koi HAQIQAT main tumhara ban jaye.


34.Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khobiyon mein izafa kary.


35.Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do. Woh alaa zaraf hua to ap ko aur izat day ga aur kam zaraf hua to khud ko AALA ZARAF samjhey ga.


36."Bura Dost Aag Ki Manind Hy" "Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega" "Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega"


37.Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota hon k is main meri marzi hai aur Jub kabol na ho tu mein aur khus hota hon k ye ALLAh ki marzi hai


38.Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.


39.Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Yeh Ebadat Nahe Tijarat Hay
Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
K yeh Ebadat Nahe Ghulami Hai...
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
K Mera RuB ebadat K Qabil Hai.......


40.Bay shak dunya or akhrat ki misal aisay hy jaisay 1 shaks ki 2 wifes hon 1 ko razi karta hay to dosri roth jati ha


41.Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho Aur us se bhi Zyada Kamzor Wo hy Jo Haath aaiy howe DOST ko ganwa dy


42.2 cheezein saari zindagi kaam ayengi, 1 Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo! 2 Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!


43.Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy, Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy. Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy..


44.Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.


45.Acha Dost Kitni Dafa He Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa He Kyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!


46."Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..."


47.
kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.


48.4 Batain Ilm Ka Nichor Hain,

1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!


49.

 






Kabhi zindagi me kisik liay mut rona**
q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga''
or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''*****
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
(#2)
Old
Abewsha Abewsha is offline
Banned
 


Posts: 18,452
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2011
Gender: Female
Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A) - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-05-2011, 10:27 PM

wow nice words...

 

(#3)
Old
*NRB* *NRB* is offline
 


Posts: 64,330
My Photos: ()
Country:
Join Date: Oct 2011
Gender: Male
Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A) - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-21-2011, 09:29 PM

Cha gai ho Rose...

 



(#4)
Old
ROSE ROSE is offline
 


Posts: 52,341
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender: Female
Default Re: Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A) - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-23-2011, 03:03 PM

Thanksssssssssssssssssss

 






Kabhi zindagi me kisik liay mut rona**
q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga''
or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''*****
Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
ali, beautiful, hazrat, quotes

Thread Tools
Display Modes

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Hazrat ALI Quotes D.M Quotes 18 10-17-2012 07:58 PM
Great Quotes.....‏HAZRAT ALI D.M Quotes 19 10-16-2012 07:38 PM
Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A) (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) Quotes 15 01-25-2012 04:16 AM
Memorable Quotes and quotations from Hazrat Ali Ibn-e-Abi Talib ROSE Quotes 3 12-23-2011 03:38 PM
Quotes Of Hazrat Ali (R.A) "K.G" Quotes 53 12-22-2011 02:39 PM


All times are GMT +5. The time now is 07:05 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG