MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - new islamic year....ek mohlat.
View Single Post
(#1)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Loading new islamic year....ek mohlat. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-07-2010, 03:24 PM

Assalam Alaikum Fellows

waqt guzargaya
ek aur saal
insaan paida hota hai ........dunya me ata hi hai abhi ...log khushyaan mana rahey hotey hain
main khush horahi hoti hai ..baap sab ko fone karha hota hai....dada daadi beqaraaaaaaar bechaain ke naye aanei walei ko goad me leilein .... her taraf khushi khushi khushi
khushi ke ab yah bara hoga sahara banei ka
khushyaan dekhei ga
mukammal karei ga khandaan ko
aur aur aur hota yah hai ke
waqt usi lamha us per hamla aawar hota apne tamaam hashar samaanio ke sath
jo her her pal us ko maut ki taraf ghaseet ta hai
ek saal 2 saal 4 saal 8 saal aur hotey hotey hotey
wo maut ki taraf jata hai


aur jab maut ati hai tou kahta hai
tum abhi sei kahaan sei agai
mohlat tou di hoti
khabardaar tou kiya hota
koi signal koi ishara koi paighaam
abhi tou itnei plans hain
abhi tou itni khuwahishein
abhi tou nahi marna

tou maut kahti hai
dia tha ishara
bhejey they qasid apne
borho ko kahti hai
jab teri haddiyaa charcharaai thein
jab dil ka daura para tha
jab uthtey bethtey me sahara ki zaroorat pari thi
jab seerhiyaa charhne me mushkil horahi thi
tou yahi tou they merei qasid
kei baj gaya
naqaara
agaya waqt
tum ne care hi nahi ki
dhiyaan nahi dia


jawano ko kahti hai
dia tha signal
jab terei samnei terei dosto me sei falaan ki maut hooi thi
wo bhui tou teri hi umr ka tha
jab bomb blast aur roz beshumaar jawan log marrahey they
tou kia tunei ibrat nahi pakri ke kal ko kia pata tu bhi in me sei ho
zameen khaagai naujawaan kaisey kaisey



jo guzargaya ghaflat me
wo guzargaya
jo hasil hai us pei shukr karo
aur tauba karo
aaj her bura kaam karahey hain hum
pal pal ki zindagi gunah hai gunah hai
sunnato ko torna
rab ko jhutlana
sab kuch shamil hai meri zindagi me
meri job me khayanat
meri bayan me jhoot
merei wadey bhi jhootey
meri qasmein bhi jhooti
mera karobaar bhi be imaani
mera rehna uthna chalna sab apni marzi sei
jo dil me aya kiya jo nahi samjha nahi kiya


aisey tou nahi jeeta musalman


socho aur badlo dosto
waqt thora hai
maan jaao us Allah ki
wo pukarta hai roz
us a nabi bohat dukhi hota hai dekh kar hum ko

ahsan faramoshi na karo
maan jao
yah saal kudh ki zindagi ko badlo
Allah ke dhang per laao
muhammad ki sunnat per lao


Allah mujhey aur aap sab ko SIRAT E MUSTAQEEM per laaye
ameen.

 




ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے


And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links