MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Adobe Photoshop (Tools introduction) MFT#1
View Single Post
(#1)
Old
AYAZ's Avatar
AYAZ AYAZ is offline
 


Posts: 12,370
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: Karachi
Gender: Male
Good Adobe Photoshop (Tools introduction) MFT#1 - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-20-2008, 06:09 PM

AS SALAAM O ALIKUM to all Members

main ek aur tutorial ke sath hazir ho jis mei ap ko adobe photoshope ke tools ke barey mei bataiya jaye ga ke kis tools sei kia work kia ja sakta hai wesay tou adobe photoshop mei itney tools hai ke sub ko detail mei explain karna kafi mushkil hai likan mai nei phir bhi koshish kari hie ke ziyada sei ziyada tools ap ko samjha diye jai tou chalain ab start kartey hai

tou sab sai pehlay main aap ko Batata hon k yeh tool bar hai kia bala...basically tool bar main woh tamam cheezain hain jin ki madad sai aap photoshop main kam kartay hain....yeh tool bar kuch is terha sai dikhta hai




aksar jab hum photoshop open kartay hain tou tool bar show nahi ho rahi hooti...is ko active karnay k liay aap ko menu bar main Windows k sub menu main ja k Tools k option ko check karna hoo ga...







okay ab jab ap k samnay tool bar aa chuka hai tou kion na daikh lia jaiy k is main kon kon sai tools hain







aab hum zara is tool bar ko khooltay hain aur daikhtay hain k is main aur kia kia hai







itney sarey tools ko dekh kar pareshan honey ki zarorat nahi hai .ziyada tar tools tou aun ke name sei hi samj ajata hie ke kis work ke liye use kartey hie aur kuch main batata ho .

Marquee...Move...las oo aur Magic wand yeh 4 tools..Selection tools main shumar kiay jatay hain..





Crop...slice...brush es....clone stamp tool...histary brushes...eraser fill tools...blur and sharpen...dodge and burn tools creatice use tool kahlaiy jatay hain...




Vector tools main...path selection....type... pen aur shape tools shamil hain



notes...eyedropper.. .hand aur zoom...Navigation and information tools consider kiay jatay hain




color swatches...quick mask....view....jump to img ready...ps k bachay kuchay mager useful tools hain




YEH tha overview tool box ka ab tools ki taref atey hei

Marquee tool....

ager aap is per click karain aur usay hold rakhain tou aap ko aik flyout menu nazar aiay ga additional tools k saath






Rectangle Marquee Tool wesay tou ais section ke sab hi tools kaam atey hie likan ais ko ziyada use kia jata hie





Rectangle aur Elliptical Tools....sai perfect square aur circle draw karnay k liay aap ko seclection kartay waqat shift key ko hold rakhna hoo ga...is img main main aap ko Marquee selection k sabhi tools sai selection nazar aaiy ga




Move tool...




jaisa k naam sai zahir hai...yeh tool photoshop main objects ko move karnay k liay use hota hai..aap kisi bhi cheez ko is ki madad sai move kar saktay hain

Zoom tool...



Zoom tool kisi img ko bara aur chota kar k us ki magnification change karnay main kam aata hai....Zoom in k zariay hum img bara aur zoom out ki madad sai hum img choota kar saktay hain...zoom in aur zoom out ki options aap ko option bar main millain gi..again ager aap k photoshop main option bar show nahi hoo raha tou aap menu bar main windows main ja k option bar ki option ko chk kar saktay hain



Crop tool...


kisi bhi img ka woh hisa jis ki aap ki zarorat nahi aap is tool ki madad sai cut kar saktay hain...img ko crop karnay k liay tool box sai crop per click karain...aur img per ja k woh area jou aap ko chahiay usay select karain...

jaisy k is img main ager mujhay yeh butterfly nikalni hai tou main usay chor k baqi img select karoon ga





aab jab is selected area per main double click karoon ga tou titli ghaib hoo jaiy ga....yeh daikhain




Hand Tool...



jab img photoshop ki window sai bara hoo aur pori terha sai nazar na aa raha hoo tou hand tool sai hum usay aagay peechay move kartay hain


yeh tha tools sei related tutorial INSHALLAH next tutorial mei main ap ko border banan sikhaonga

umeed hai ke ap logo ko samj aiya hoga
takecare
ALLAH HAFIZ

Attached Files
File Type: rar MFT#1.rar (1.33 MB, 0 views)

 







ALLAH FARMATA HAI :
AEY BANDEY JO HUA
WO ACHA HUA .
JO HORAHA HAI ACHA HO RAHA HAI.
JO HOGA WO BHI ACHA HOGA.
TERA KIYA GAIYA JO TU ROTA HAI
TU KIA LAYA JO TU NE KHO DIYA.
JO LIYA YAHIN (DUNYA) SEI LIYA
JO DIYA YAHIN (DUNYA) PE DIYA
JO AAJ TERA HAI PEHLAY KISI AUR KA THA
AUR KAL KISI AUR KA HOGA.
TABDEELI KAINAAT KA MAMOOL HAI
BAS TU WO JAMA KAR JO TU SATH LEI KAR JANEY WALA HAI
YANI NAIK AMAAL.


Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links